Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2012

Kahan Dhoondte Ho Tum Ishq Ko Ay Be Khabar

Kahan Dhoondte Ho Tum Ishq Ko Ay Be Khabar  Ye Khud Hi Dhoond Leta Hai Jise Barbad KarNa Ho...!!!

Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota Hai

Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota Hai Apne Malbay Pe Kon Sota Hai ???????? Khushbuein Gair Tan Se Aati Hai Baazuoun Mein Mujhe Samota Hai Mere Dil ! Aansuoun Se Haath Utha Kaisi Baarish Se Zakham Dhota Hai Shaam Hotay Hee Meri Palkon Per Kon Ye Haar Sa Pirota Hai Raat Ke Bekaraan Andheray Mein Koi Jugnu Ki Neend Sota Hai

ye qafas he muj ko azeez hy yahan je to lunga qarar sy

ye qafas he muj ko azeez hy yahan je to lunga qarar sy, Mujay tum chaman main na le chalo main dara hua hun bahar se

Mairay khawaboon k gulshan mai hawaien raqs karti hain

Mairay khawaboon k gulshan mai hawaien raqs karti hain Mairay hontoon ki larzish mai wafaien raqs karti hain Mujhay wo lakh tar’pai magr us shaksh ki khatir Mairay dil kay andheron mai dua’ien raqs karti hain Ussay kehna kay loat aaye sulgati shaam say pehlay Kisi ki khushk ankhoon mai sad’ain raqs karti hain Utar’ta hoon jab kabhi kitabo kay samundar mai Khawabeeda chehray ki ada’ain raqs karti hain Khuda janay kon si kashish hai tairi yadoon mai Taira zikr chairoon to hawa’ain raqs karti hain

Rasta koi safar koi musafat koi

راستہ کوئی سفر کوئی مسافت کوئی پھر خرابی کی عطا ہو مجھے صورت کوئی سارے دریا ہیں یہاں موج میں اپنی اپنی میرے صحرا کو نہیں ان سے شکایت کوئی جم گئی دھول ملاقات کے آئینوں پر مجھ کو اس کی نہ اسے میری ضرورت کوئی میں نے دنیا کو سدا دل کے برابر سمجھا کام آئی نہ بزرگوں کی نصیحت کوئی سرمئی شام کے ہمراہ پرندوں کی قطار دیکھنے والوں کی آنکھوں کو بشارت کوئی بجھتی آنکھوں کو کسی نور کے دریا کی تلاش ٹوٹتی سانس کو زنجیر، ضرورت کوئی تو نے ہر نخل میں کچھ ذوقِ نمو رکھا ہے اے خدا میرے پنپنے کی علامت کوئی

Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye

Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye Logo'n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye Zad Mein Tha Khizaao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye Hum Kartay Rahay Aaj Talak 'Uss Chaand' Ki Khwahish Yaad Aayi Jo Auqaat

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey es dil kay hathon bohat majboor rahey

Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain

Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain, Har Naye Mod Par Ek Zakhm Naya Dete Hain, Tum Se To Khair Ghadi Bhar Ki Mulakat Rahi, Log Barson Ki Rafakat Ko Bhula Dete Hain, Kaise Mumkin Hai Ke Dhuwan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jale, *** Padti Hai To Patthar Bhi Sada Dete Hain, Kaun Hota Hai Musibat Mein Kisika Aye Sanam, Aag Lagti Hai To Patte Bhi Hawa Dete Hain, Jinpe Hota Hai Bahut Dilka Bharosa Jane Kyon, WaQt Padne Pe Wohi Log Daga Dete Hain...

Rabita duniya se barhany ki zarorat kya hai

Rabita duniya se barhany ki zarorat kya hai, Tu mera hai to duniya ki zarorat kya hai

yaar ko humne jabaja dekha

yaar ko humne jabaja dekha,  kahin zahir kahin chupa dekha,  kahin mumkin hua kahin wajib,  kahin faani kahin baqa dekha,  kahin woh badshah-e-takht nashein,  kahin kaasa liye gada dekha,  kahin wo der libaas-e-mashokan,  barsare naaz aur aada dekha,  kahin zahir jahin chupa dekha,  kahin aashiq niyaz ki soorat,  seena girya-o-dil jala dekha,  yaar ko humne jabaja dekha,  kahin zahir kahin chupa dekha,  yaar ko humne jabaja dekha...

jese Jese Waqat Guzarta Jata Hai

jese Jese Waqat Guzarta Jata Hai Zakham Tumhare Hijar Ka Bharta Jata Hai Kankar Pehnkne Walon Ko Kuch Ilm Nhi Pani Main Ik Aks Bikharta Jata Hai Dil Ki Gurbat Saray Ghar Main Phel Gai Tasveeron Se Rang Utarta Jata Hai Bujhti Ankh K Sa’aye Phalty Jaty Hain Sham Ka Manzar Or Nikharta Jata Hai”Mohsin” Is Ne Dil Ka Shaher Ujar Diya Main Smjhta Tha Bakht Sawanarta Jata Hai……

Kanch K Raizon Se Lekha Hua Naam Ho Tum

Kanch K Raizon Se Lekha Hua Naam Ho Tum,  Chuban Si Dil Main Lagayi Hui Shaam Ho Tum,  Tumhari Ankh K Taiwar Bata Rahe Hain Mujhe,  Meri Ankh Se Jhalki Hui Jaam Ho Tum,  Tumhein Acha To Laga Hoga Mere Rone Ka,  Meri Ujhri Hui Basti Ka Ek Makaan Ho Tum,  Mujh Se Aksar Ye Kehta Hai Mere Undar Ka Admi,  Raat Main Rote Hue Aabar Ka Chand Ho tum,  Bhala Ye Umar Hai K Khud Ko Main Kho Don,  Abhi To Pehli Muhabbat Hai Pareshan Ho Tum,  "Saagar" Meri Basti Se Wo Koch Kar Jayein,  Hansta Hua Chehra Hai Pal K Mehman Ho tum.

kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai

kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai ye zindagi teri zulfo’n ki narm chao’ main guzarne paati, to to shaadaab ho bhi sakti thi ye ranj o gham ki siahi jo dil pe chai hai ….. teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi magar ye ho na saka … magar ye ho na saka … aur ab ye aalam hai … k tu nahi … tera gham, teri justuju bhi nahi guzar rahi hai zindagi is tarah k jese .. isay kisi k saharay ki aarzu hi nahi! na koi raah … na manzil ! … na roshni ka suraagh … bhatak rahi hai andhero main zindagi meri Inhi andhero main reh jaun ga kabhi kho kar … main jaata hoon meri ham nafs .. magar yunhi … kbhi kbhi mere dil main khayal aata hai … kabhi kabhi …

A Better Tomorrow

A Better Tomorrow I never knew there would be a better tomorrow But you've come into my life and taken away all my sorrow My days of sadness are a thing of the past Because I have found true love at last My days of emptiness are gone for good Because you fill a void in my heart that you should You've opened a window You've shown me the light And my love for you will continue to burn bright.

Kuch apne lub-o-lehje ko tabdeel woh karta

Kuch apne lub-o-lehje ko tabdeel woh karta Phir hum se bayan ranj ki tafseel woh karta Yak tarfa takazay to nibhaiy nahi jatay Kuch apne faraaiz ki bhi tameel woh karta Ilzamm lagata woh barey shauq say par Kuch apne kiye wadoon ki takmeel woh karta Kuch us ko bhi ehsaas to hota tanhai ka Kuch khuwab mere khud mein tabdeel woh karta..

Es EID Pe Lot K Aa Jana

Es EID Pe Lot K Aa Jana, Kuch Yadain Taaza Karni Hain, Kuch Lamhay Morr K Laney Hain, Kuch Tarey Torr K Laney Hain, Wo Masti Or Madhoshi, …Wo Bachpan Morr K Lana Hai, Es EID Pe Lot k Aa Jana, Ab Dil Ko Dil ki Dharkan Se, Phir EID Mubarak Kehna Hai, Ab Sath Boht Din Rehna Hai, Es EID Pe Lot K Aa Jana..!!!

Ab ke per eid ka din aa pohncha

Ye eid tere wasty khushbo ka naghar hay

Ye eid tere wasty khushbo ka naghar hay kya khooob ho har roz tari eid aghar ho har raat hasrat ke naye gheet sunaye Lamhat ke pairon pe bhi shabnam ka samar ho

Eid ab ke baras nahi aye

Eid ka chand nazar ayega jis dam mujko

Eid ka chand nazar ayega jis dam mujko, Main tere wisl ki ay dost dua mangu ghi Main jo barson se hon tanhai ke sehra main muqeem, Ab tere ehd rafaqat ki ghata manghu ghi

Ab mujhe na dilaye koi muhabbat ka yaqeen

Ab mujhe na dilaye koi muhabbat ka yaqeen Jo mujhe bhool na sakte thay wohi bhool gaye

wahi kaghaz, wahi kamrah, wahi ansooo wahi AAbi

wahi kaghaz, wahi kamrah, wahi ansooo wahi AAbi, wahi yaadoon ka sarmaya, wahi ashaaar ki batain..

Es bar mari jung hai khud apni zat se

Es bar mari jung hai khud apni zat se, Es bar haar jany ka imkan hay buht

Tum aao to hum bhi EID karen

"Tum aao to hum bhi EID karen" Hasrat hai tumhari deed karen Kuch der to dil ko chain mily Kuch roz to mann k phool khilen Kehty hain k EID ki aamad hai Hum log bhi kuch taaeed karen Tumse ik ye guzarish hai Ye apny dil ki khwahish hai Ik bar milo Ik bar milo Hr bar ye hi taakeed karen Maana k hum deewany hain Sab baaton se anjany hain Jab apny bhi begany hain, Kiya ghairon se ummeed krain Tum aao to hum bhi Eid karen Tum aao to hum bhi Eid karen...!!! 

Subh e Azadi by Faiz Ahmed Faiz -- Recited by Zia Muhaiyudeen

yeh daag daag ujala,yeh shab guzida sehar, wo intezar tha jis ka,yeh wo sehar to nai, yeh wo sehar to nai,jis ki arzoo lekar, chale te yaar ke mil jaye gi kai na kai, falak ke dasht mai taaro ka akri manzil, kai to hoga shab-e-sust moj ka sahil, kai to jake ruke ga safina-e-gham dil, jawan lahoo ki pur’israr sharahon se, chale jo yar to daman pe kitne haat pare, dayar-e-husan ki be-sabar khawab gao se, pukarti rai baahen, badan bulate rahe, baut aziz ti lakin rukh-e-sehar ki lagan, baut qarin ta hasinan e noor ka daman, subak subak ti tamanna,dabbi dabbi ti thakan, suna hai ho bi chuka hai firaq-e-zulmat o noor, suna hai ho bi shuka hai wisal-e-manzil o gaam, badal chuka hai baut ail-e-dard ka dastoor, nishat-e-wasal halal ho azab-e-hijar haram, jigar ki aag,nazar ki umang,dil ki jalan, kisi pe chara-e-hijran ka kuch asar hi nai, kaha se ayi nigar-e-saba,kidar ko gai, abi charg-e-sar e rah ko kuch kabar hi nai, abi girani-e-shab mai kaami ayi nai, n

Ye dagh dagh ujala, ye shab-gazida sahar

Ye dagh dagh ujala, ye shab-gazida sahar, Vo intizaar thaa jis-kaa, ye vo sahar to nahii, Ye vo sahar to nahiiN jis-kii aarzu lekar Chale the yaar ke mil-ja`egi kahiiN na kahiN Falak ke dasht meN taroN kii aakhiri manzil, KahiN to hogaa shab-e sust mauj kaa sahil, KahiN to jaake rukegaa safiina-e-gham-e-dil. JawaaN lahu kii pur-asraar shaahrahoN se Chale jo yaar to daaman pe kitne hath paRe; Diyaar-e-husn kii be-sabr khwaabgaahoN se Pukaarti-rahiiN baahen, badan bulaate-rahe; Bahut ‘aziiz thii lekin rukh-e-sahar ki lagan, Bahut qariin thaa hasiinaN-e-nuur kaa daaman, , Subuk subuk thii tamannaa, dabii dabii thii thakan. Sunaa hai ho bhii chukaa hai firaaq-e-zulmat-o-nuur, Sunaa hai ho bhii chukaa hai visaal-e-manzil-o-gaam; Badal-chukaa hai bahut ahl-e-dard kaa dastuur, Nishaat-e-vasl halaal o ‘azab-e-hijr haraam. Jigar kii aag, nazar kii umang, dil kii jalan, kisii pe chaara-e-hijraaN kaa kuchh asar hii nahiiN. KahaaN se aa’ii nigaar-e-sabaa, kidhar ko ga’ii? Abh

Khuda kary ke mere arz e pak par utry

Khuda kary ke mere arz e pak par utry, wo Fasle e gul jese andesh e zawaal na ho. Ameen

jub pas thi to pane ki aarzo na thi

jub pas thi to pane ki  aarzo na thi Ab ja rahi hai to muhabt howi jawan.

Har baar ki tarha is bar b EiD Tujh pe Qurban kar jaon ga

Har baar ki tarha is bar b EiD Tujh pe Qurban kar jaon ga. Main ye EiD b Teri Rakhwali me guzarun ga. Hathon me Raifal Seeney pe Golian sajaun ga Ay Watan Main ye EiD b Teri Sarhadon pe manau ga. Apni Khushiyan Gham Apne Tere Sath hi manau ga. Ay Watan katt jae sar tan se par Teri Qassam Tujhe bachaun ga. Main ye EID b Teri Sarhadon pe manaun ga. SALAM PAK FORCE.

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye To wo hamla nahin kerta, Suna hai jab kisi nadi k paani main Bue k ghonsle ka gandami saaya larazta hai To nadi ki ro pehli machhilyaan us ko Parosi maan leti hain, Hava k taiz jhonke jab darakhton ko hilaate hain To Meena apne ghar ko bhool ker Ka’uve k andon ko paron main thaam leti hai Suna hai Ghonsle se jab koi bacha gire to Saara jangle jaag jaata hai. Naddi main baar aa jaaye Koi Pull toot jaaye To kisi lakri k takhte per Gulahri, Saanp, Cheeta aur Bakri Saath hote hain. Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai, Khuda-wanda Jaleel-o Mu’atbar, Daana-o Beena Munsif-o Akber, HUMARE SHAHAR MAIN AB, JANGLON KA HI KOI DASTOOR NAAFIZ KER..!!

Hum ny Tou Yoon Ujarr Di Jaisy

Hum ny Tou Yoon Ujarr Di Jaisy. . Zindagi Baap ki Kamaayi ho...........

Ye zindagi tere saath ho

Ye zindagi tere saath ho, Ye arzoo din raat ho. Main tere sang sang chalu, ... Tu har safar mein mere sath ho, Main Kanton par b chal paru, Tere pyar ki jab barsat ho. Kabi sham dhale jab hum miley, Na din dhale na raat ho. Ye zindgi tere sath ho..

Roshni mizajon ka kya ajab muqadar hay

روشنی مزاجوں کا کیا عجب مقدر ہے زندگی کے رستے میں بچھنے والے کانٹوں کو ...راہ سے ہٹانے میں ایک ایک تنکے سے .... آشیاں بنانے میں خوشبوئیں پکڑنے میں ....گلستان سجانے میں عمر کاٹ دیتے ہیں !!!....عمر کاٹ دیتے ہیں اور اپنے حصّے کے پھول .....بانٹ دیتے ہیں کیسی کیسی خواہش ہو قتل کرتے جاتے ہیں ...درگزر کے گلشن میں ابر بن کر رہتے ہیں ...صبر کے سمندر میں کشتیاں چلاتے ہیں یہ نہیں کے ان کو اس روز و شب کی کاہش کا کچھ صلہ نہیں ملتا مرنے والی آسوں کا خون بہا نہیں ملتا زندگی کے دامن میں جس قدر بھی خوشیاں ہیں سب ہی ہاتھ آتی ہیں سب ہی مل بھی جاتی ہیں ....وقت پر نہیں ملتیں !!!!....وقت پر نہیں آتیں یعنی ان کو محنت کا اجر مل تو جاتا ہے لیکن اس طرح جیسے قرض کی رقم کوئی قسط قسط ہو جائے اصل جو عبارت ہو پس نوشت ہو جائے فصل گل کے آخر میں !!!....پھول ان کے کھلتے ہیں ان کے صحن میں سورج !!!....دیر سے نکلتے ہیں

Manzar ke ird-gird bhii aur aar paar dhund

Manzar ke ird-gird bhii aur aar paar dhund aa’ii kahaaN se aaNkh meN ye be-shumaar dhund kaise na us kaa saaraa safar raaygaaN rahe jis kaarvaan-e-shauq kii hai rahguzaar dhund hai ye jo maah-o-saal kaa melaa lagaa hu’aa kartii hai is meN chhup ke meraa intizaar dhund aaNkheN vo bazm, jis kaa nishaaN dolte chiraagh dil vo chaman, ke jis kaa hai rang-e-bahaar dhund kamre meN mere Gham ke sivaa aur kuch nahiiN khirkii se jhaaNktii hai kise baar-baar dhund firdaus-e-gosh thehraa hai mubham saa ko’ii shor nazaargii kaa shah’r meN hai aitbaar, dhund naaTak meN jaise bikhre hoN kirdaar jaa-ba-jaa “Amjad” fizaa-e-jaaN meN hai yuN be-qaraar dhund

Akhri khwaab

Mere chara ghar mere dard ki tujay kya khbr

میرے چارہ گر میرے درد کی تجھے کیا خبر تو میرے سفر کا شریک ہے نہیں ہم سفر؟ میرے چارہ گر،میری چارہ گر میرے ہاتھ سے تیرے ہاتھ تک وہ جو ہاتھ بھر کا تھا فاصلہ ....کئی موسموں میں بدل گیا اسے ناپتے اسے کاٹتے ...میرا سارا وقت نکل گیا نہیں جس پہ کوئی بھی نقشِ پا میرے سامنے ہے !!!....وہ رہ گز میرے چارہ گر،میرے چارہ گر !میرے درد کی تجھے کیا خبر یہ جو ریگ دشت فراق ہے میرے راستے میں بچھی ہوئی ...کسی موڑ پہ یہ رُکے کہیں یہ جو رات ہے میرے چار سو ...مگر اس کی کوئی سحر نہیں ...نہ چھاوںہے نہ ثمر کوئی میں نے چھان دیکھا شجر شجر میرے چارہ گر،میرے چارہ گر !!!میرے درد کی تجھے کیا خبر

wafa ki khair manata hun bewafai main bhi

وفا کی خیر مناتا ہوں بے وفائی میں بھی میں اس کی قید میں ہوں قید سے رہائی میں بھی لہو کی آگ میں جل بُجھ گئے بدن تو کھلا رسائی میں بھی خسارہ ہے نارسائی میں بھی بدلتے رہتے ہیں موسم، گزرتا رہتا ہے وقت مگر یہ دل کہ وہیں کا وہیں جدائی میں بھی لحاظ حرمتِ پیماں نہ پاس ہم خوابی عجب طرح کے تصادم تھے آشنائی میں بھی میں دس برس سے کسی خواب کے عذاب میں ہوں وہی عذاب در آیا ہے اس دہائی میں بھی تصادم دل و دنیا میں دل کی ہار کے بعد حجاب آنے لگا ہے غزل سرائی میں بھی میں جا رہا ہوں اب اس کی طرف اسی کی طرف جو میرے ساتھ تھا میری شکستہ پائی میں بھی

Sukhan e haq ko fazelat nahi milny wali

سخن ِحق کو فضیلت نہیں ملنے والی صبر پر دادِ شجاعت نہیں ملنے والی وقتِ معلوم کی دہشت سے لرزتا ہوا دل ڈوبا جاتا ہے کہ مہلت نہیں ملنے والی زندگی نذر گزاری تو ملی چادر ِخاک اس سے کم پر تو یہ نعمت نہیں ملنے والی راس آنے لگی دنیا تو کہا دل نے کہ جا اب تجھے درد کی دولت نہیں ملنے والی ہوس لقمٔہ تر کھا گئی لہجے کا جلال اب کسی حرف کو حرمت نہیں ملنے والی گھر سے نکلے ہوئے بیٹوں کا مقدّر معلوم ماں کے قدموں میں بھی جنّت نہیں ملنے والی زندگی بھر کی کمائی یہی مصرعے دو چار اس کمائی پہ تو عزت نہیں ملنے والی

Mere khuda mujay itna to moatabar kar dy

میرے خدا مجھے اتنا تو معتبر کر دے میں جِس مکان میں رہتا ہوں اس کو گھر کر دے یہ روشنی کے تعاقب میں بھاگتا ہوا دِن جو تھک گیا ہے تو اَب اس کو مختصر کر دے میں زندگی کی دعا مانگنے لگا ہُوں بہت جو ہوسکے تو دُعاؤں کے بے اثر کر دے ستارہ سحری ڈوبنے کو آیا ہے ذرا کوئی میرے سورج کو باخبر کر دے میری زمین، میرا آخری حوالہ ہے سو میں رہوں نہ رہوں اس کو بارور کر دے میں اپنے خواب سے کٹ کر جیوں تو میرا خُدا اُجاڑ دے میری مٹی کو در بدر کر دے

Enhe main jeety enhi bastion main mar rehte

انہیں میں جیتے انہیں بستیوں میں مر رہتے یہ چاہتے تھے مگر کس کے نام پر رہتے؟ پیمبروں سے زمینیں وفا نہیں کرتیں ہم ایسے کون تھے کہ اپنے گھر رہتے پرندے جاتے نہ جاتے پلٹ کے گھر اپنے پر اپنے ہم شجروں سے تو باخبر رہتے بس ایک خاک کا احسان ہے کہ خیر سے ہیں وگرنہ صورت خاشاک در بدر رہتے میرے کریم! جو تیری رضا، مگر اس بار برس گزر گئے شاخوں کو بے ثمر رہتے

Jah ki khwahish be faiz pe marne walay

جاہ کی خواہشِ بے فیض پر مرنے والے کسی انسان کی عزت نہیں کرنے والے وہی اب شہر کی نظروں میں شناور ٹھہرے لبِ دریا جو کھڑے تھے کئی ڈرنے والے کس قدر خواب میں ابھی شعر بنانے ہیں ہمیں کتنے خاکوں میں ابھی رنگ ہیں بھرنے والے وقت پر زور نہیں عمر چلی جاتی ہے سینکڑوں کام پڑے ہیں ابھی کرنے والے بھول ہوگی تو اُسے دل سے کریں گے تسلیم ہم نہیں دوش کسی اور پر دھرنے والے دیکھ لے آنکھ اٹھا کرہمیں اے سیلِ ہوس نہیں اس شہر کے سب لوگ بکھرنے والے پیار بٹنے سے کبھی ختم نہیں ہوگا امجد دل کے دریا تو نہیں ہوتے کبھی اترنے والے امجد اسلام مجد

Yaro kahan tak aur muhabbat nebaon main

یارو کہاں تلک محبت نبھاؤں میں دو مجھ کو بددعا کہ اسے بھول جاؤں میں دل تو جلاگیا ہے وہ شعلہ سا آدمی اب کس کو چھو کے ہاتھ اپنا جلاؤں میں سنتا ہوں اب کسی سے وفا کررہا ہے وہ اے زندگی خوشی سے کہیں مر نہ جاؤں میں اک شب بھی وصل کی نہ مرا ساتھ دے سکی عہد فراق آکہ تجھے آزماؤں میں بدنام میرے قتل سے تنہا تو ہی نہ ہو لا اپنی مہر بھی سر محضر لگاؤں میں

Sadma t0 haii mujhe Bhi k tujhSe juda huN main

Sadma t0 haii mujhe Bhi k tujhSe juda huN main lekin ye s0chta hun k ab tera kya hun maiN Bikhra para hai tere hi ghAr mein tera wajud bekAr mahfil0n mein tujhe Dhundta hun main main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf Apne badan ki qabr mein kabSe gara hun maiN kis-kiSka nam laun Zaban par k tere sath har r0z ek shakhs naya dekhta hun main Na jane kiis Ada se liya tune mera nAam duNiya samajh rahi hai k sab kuch tera hun maiN le mere tajurbon se sabak ae mere raqiib do chAr saAl Umr mein tujhse bara hun main jaga Hua zamiir wo Aiina hai "Qateel" S0ne se pahale rOz jiise dekhta hun maiN

Nabi na thy magar insan pe jan charkte te

Nabi na thy magar insan pe jan charkte te, Suna hy agly zamany ke log achai te, Wo bastian bhi ajab thi wo hastian bhi ajab, ke andion main bhi jin ke charag jalte te, Unhon ne muj se kaha ta kisi se lo na laga, ujar ke soch raha hun wo log sachai te, khud apni zat ka ghum bhi shareek hal raha, wagarna hum tere ghum se kahan behelte te, wo sheher kya hoye jin ke barhena tan basi, rawaye bargh ko maloboss jan samajte te, wo door beat gaya jub tere bagair bhi  tamam sheher ke raste udass lagte te, wo lafz bhool gaye jin ke ayinon main khabi, tere badun ke khado khal tak utarte te, wo ankh buj gayi jis ki kiran kiran ke liye, khabi khabi to tere hont bhi taraste te, wo seher toot gaya jis ke asry pe khabi , hum asman ko bhi tere gali samajte te, wo rung root gaya jo hawa e sham ke sath, tere khunak lab o rukhsar pe bekarte te, Tu kal edhar se jo guzra to ehl e sheher ke sath, Bura na man ke hum khud bhi tuj pe hanste te