Skip to main content

Ye dagh dagh ujala, ye shab-gazida sahar

Ye dagh dagh ujala, ye shab-gazida sahar,
Vo intizaar thaa jis-kaa, ye vo sahar to nahii,
Ye vo sahar to nahiiN jis-kii aarzu lekar
Chale the yaar ke mil-ja`egi kahiiN na kahiN

Falak ke dasht meN taroN kii aakhiri manzil,
KahiN to hogaa shab-e sust mauj kaa sahil,
KahiN to jaake rukegaa safiina-e-gham-e-dil.
JawaaN lahu kii pur-asraar shaahrahoN se
Chale jo yaar to daaman pe kitne hath paRe;
Diyaar-e-husn kii be-sabr khwaabgaahoN se
Pukaarti-rahiiN baahen, badan bulaate-rahe;
Bahut ‘aziiz thii lekin rukh-e-sahar ki lagan,
Bahut qariin thaa hasiinaN-e-nuur kaa daaman, ,
Subuk subuk thii tamannaa, dabii dabii thii thakan.
Sunaa hai ho bhii chukaa hai firaaq-e-zulmat-o-nuur,
Sunaa hai ho bhii chukaa hai visaal-e-manzil-o-gaam;
Badal-chukaa hai bahut ahl-e-dard kaa dastuur,
Nishaat-e-vasl halaal o ‘azab-e-hijr haraam.
Jigar kii aag, nazar kii umang, dil kii jalan,
kisii pe chaara-e-hijraaN kaa kuchh asar hii nahiiN.
KahaaN se aa’ii nigaar-e-sabaa, kidhar ko ga’ii?
Abhii charaagh-e-sar-e-rah ko kuchh khabar hii nahiiN;
Abhii giraanii-e-shab meN kamii nahiiN aa’ii,
Najaat-e-diidaa-o-dil ki ghaRii nahiiN aa’ii;
Chale-chalo ke vo manjil abhii nahiiN aa’ii
****
This leprous daybreak, dawn night’s fangs have mangled –
This is not that long-looked-for break of day,
Not that clear dawn in quest of which those comrades
Set out, believing that in heaven’s wide void
Somewhere must be the stars’ last halting-place,
Somewhere the verge of night’s slow-washing tide,
Somewhere an anchorage for the ship of heartache.
When we set out, we friends, taking youth’s secret
Pathways, how many hands plucked at our sleeves!
From beauty’s dwellings and their panting casements
Soft arms invoked us, flesh cried out to us;
But dearer was the lure of dawn’s bright cheek,
Closer her shimmering robe of fairy rays;
Light-winged that longing, feather-light that toil.
But now, word goes, the birth of day from darkness
Is finished, wandering feet stand at their goal;
Our leaders’ ways are altering, festive looks
Are all the fashion, discontent reproved; –
And yet this physic still on unslaked eye
Or heart fevered by severance works no cure.
Where did that fine breeze, that the wayside lamp
Has not once felt, blow from — where has it fled?
Night’s heaviness is unlessened still, the hour
Of mind and spirit’s ransom has not struck;
Let us go on, our goal is not reached yet.
translated by V.G. Kiernan

Comments

Popular posts from this blog

Roshni mizajon ka kya ajab muqadar hay

روشنی مزاجوں کا کیا عجب مقدر ہے زندگی کے رستے میں بچھنے والے کانٹوں کو ...راہ سے ہٹانے میں ایک ایک تنکے سے .... آشیاں بنانے میں خوشبوئیں پکڑنے میں ....گلستان سجانے میں عمر کاٹ دیتے ہیں !!!....عمر کاٹ دیتے ہیں اور اپنے حصّے کے پھول .....بانٹ دیتے ہیں کیسی کیسی خواہش ہو قتل کرتے جاتے ہیں ...درگزر کے گلشن میں ابر بن کر رہتے ہیں ...صبر کے سمندر میں کشتیاں چلاتے ہیں یہ نہیں کے ان کو اس روز و شب کی کاہش کا کچھ صلہ نہیں ملتا مرنے والی آسوں کا خون بہا نہیں ملتا زندگی کے دامن میں جس قدر بھی خوشیاں ہیں سب ہی ہاتھ آتی ہیں سب ہی مل بھی جاتی ہیں ....وقت پر نہیں ملتیں !!!!....وقت پر نہیں آتیں یعنی ان کو محنت کا اجر مل تو جاتا ہے لیکن اس طرح جیسے قرض کی رقم کوئی قسط قسط ہو جائے اصل جو عبارت ہو پس نوشت ہو جائے فصل گل کے آخر میں !!!....پھول ان کے کھلتے ہیں ان کے صحن میں سورج !!!....دیر سے نکلتے ہیں

Ye kamyabian ye izzat ye naam tum se hain

Ye kamyabian ye izzat ye naam tum se hain Khuda ne jo bi diya hain maqam tum se hain Tumhare dam se hain mere laho main kilthe ghulab Mere wajood ka sara nizam tum se hain Kahan bisat jahan aur main kamsin wa nadan ye mere jeet ka sab aihtemam tum se hain jahan jahan hain meri dushmani sabab main hoon jahan jahan hain mera aihteram tum se hain

chalo ek kaam karte hein

Chalo ek kaam karte hein phir apnee nazm ko janam tumhare naam karte hein mohabbat naam hai khud ko kisi ke naam kardena wafa kee shahrah pe zindagi kee shaam kardena ye apne aap hee barbad aur abad hoti hai mohabbat har tarha kee qaid se azad hotee hai daleelen lakh dee jaein kabhi qayal naheen hatee mohabbat ke safar mein umr bhee hayel naheen hotee kisi be naam jazbe se kisi khwahish se hotee hai mohabbat abr ka mausam ho to barish se hotee hai waja koi bhi ho kaisa hi mausam ho koi rut ho mohabbat jab hi hojai mohabbat jis se ho jai kabhi dil lag sa jata hai kabhi wahshat si hoti hai mohabbat jab bhi hotee hai usee shiddat se hoti hai chalo ek nazm likhte hain chalo ek kaam karte hai phir apnee nazm ko janam tumhare naam karte hain