Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2012

haseen is raat se niklay to bikher jain gain

haseen is raat se niklay to bikher jain gain hum teri zaat se niklay to bikher jain gain bohat adat hai is dil ko tumharay sath chalnay ki ye hath hath se niklay to bikher jian gain ik mudat se teri kahani ka unwan rahhay hain ab is rawayat se nikhlay to bikher jian gain hamain din rat socho tum bas itni se khawahish hai tere khayalat se nikhle to bikher jian gain

Namaaz Parhoon To Dua Mai Haath Uthati Hoon

Namaaz Parhoon To Dua Mai Haath Uthati Hoon, Akailay Mai Hoon To Faryaad Kar Leti Hoon, Hijar Ki Raaton Mai, Sisak Sisak Kay Roh Leti Hoon, Tanhayi Kay Dinon Mai Uss Ki Aik Jhalak Dekhnay Ko Taras Jaati Hoon, Chalte Chalte Raahon Mai Uss Ka Rasta Takti Hoon, Aik Din Insha’allah Humara Hoga Millan, Iss Umeed Kay Saharay Dil Behla Leti Hoon

Aafat Ki Shokhiyan Hain Tumhari Nigaah Mein

Aafat Ki Shokhiyan Hain Tumhari Nigaah Mein Mehshar K Fitnay Khailtay Hain Jalwa-Gaah Mein Woh Dushmani Se Dekhtay Hain Dekhtay To Hain Main Shaad Hon, K Hon To Kisi Ki Nigaah Mein Aati Baat Baat Mujhey Yaad Baar Baar Kehta Hon Dor Dor K Qasid Se Raah Mein Is Taubaah Par Hai Naaz Mujhey Zaahid Is Qadar Jo Toot Kar Shareek Hon Haal-e-Tabah Mein Mushtaq Is Ada K Buhat Dard-Mand Thay Ae “DAAG” Tum To Baith Gaye Ek Aah Mein

Apni khushian luta kar us pe qurban ho jaon

Apni khushian luta kar us pe qurban ho jaon, Kash kuch din us shehar mein mehman ho jaon, Wo apna nayab dil mujh ko de de aur phir mange, Main mukar jaon aur be-imaan ho jaon, Wo mujh pe sitam kare har kisi ki tarha, Main is ada par bhi meharban ho jaon, Wo mere paon k neeche se zameen khainch le, Aur phir main us ka aasman ho jaon, Ab tou mujhe itni muhabat ho gai hai us se k, Khuda koi mojzaa kare aur main us k naam ho jaon.

pyaar ka pehla khat likhne main waqt to lagta hai

pyaar ka pehla khat likhne main waqt to lagta hai naye parindon ko urhne main waqt to lagta hai jism ki baat nahin thi unke dil tak jaana tha lumbi doori tay karne main waqt to lagta hai gaanth agar lag jaaye to phir rishte hon ya dori laakh karein koshish khulne main waqt to lagta hai humne ilaaj-e-zakhm-e-dil to dhoond lia laikin gehre zakhmon ko bharne main waqt to lagta ha

Teri Chahat Dil Ke Andar Hai Basi

Teri Chahat Dil Ke Andar Hai Basi Chah Kar Bhi Tujhe Hum Bhula Nahi Sakte Khushiyaan Ubharti Hai Bauhat Tujhe Paane Ki Ye Raaz Aisa Hai Tujh Ko Bhi Hum Bata Nahi Sakte Tere Badan Ki Bheeni Beeni Khushboo Ne Madmast Tu Kiya Hai Per Hosh Hum Ganwa Nahi Sakte Hai Mashq-E-Sitam Hum Per Az Rahe Karam Jaari Dag Aise Mile Hai Dil Ko Jin Ko Hum Chupa Nahi Sakte Ae Yaar Tere Lab Ye Lale Hai Nastran Hain Ye Phool Kyun Meri Dastars Mein Aa Nahi Sakte Dil Bujh Gaya Jab Ghumo Se Nafees Tera Ye Phool Kyun Meri Dastars Mein Aa Nahi Sakte

MOHABBAT!

MOHABBAT! jis ke bagher app ki zindagi adhori hay. jis ke bagher her rishta be mayeni hay. MOHABBAT jis ke bagher kainat ka her rung be rung hay. jis ke bagher her ehsaas khali burtan ki terha. MOHABBAT. jis ke bagher insaan bemool. MOHABBAT. jo anmool bana deti hay her rishte her ehsaas ko. her shey her rung ko.

ZINDAGI MILI ZRA SI THI

ZINDAGI MILI ZRA SI THI KUCH IS MAIN KAMI ZRA SI THI WO ROZ HOTA GYA PAS MERE, LEKIN PHIR B DOORI ZRA SI THI CHAND JAGTE JAGTE SO B GYA RAAT ABI BEETI ZRA SI THI MOHABAT BANT DI US NE ZMANE ME JO MERE HISEY ME AI ZARA SI THI.

Kabhi Hum Unsey Kabhi Wo Hum Se Rooth Jaatey Hain

Kabhi Hum Unsey Kabhi Wo Hum Se Rooth Jaatey Hain Hawa Kuch Chalti Hai Ayssi K Kinary Choot Jaatey Hain Samunder Ki Gehrai Se Bhi Jo Hotey Hain Gehry Pal Bhar Mein Wo Rashtey Q Toot Jaatey Hain Jin Per Hota Hai Bharosa Apney Aap Se Bhi Barh Ker Wo Log Dil Ki Duniya Q Loot Jaatey Hain Teer Chaaltey Hain Jab Nafraat K Unki Aankhoon Se Dil Kaanch K Hotey Hain Aksaar Toot Jatey Hain Barra naaz hai mujhey un ki adaaon par, Zarra zarra si baat par jo aksar rooth jaatey hain