Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tah, Sar-E-Bazam Raat Ye Kia Hoa Mery Ankh Keyse Chalakh Pary, Mujhe Ranj Hai Ye Bora Hoa Mery Zindagi Ke Charagh Ka, Ye Mizaj Koi Nahi Naeya Kabhi Roshni Kabhi Tergi, Na Jala Hoa Na Bujha Hoa Mujhe Aap Kuen Na Samjh Saky, Ye Apny Dil Sey Hi Pocheye Mery Dastan-E-Heyat Ka, Hai Warq Warq Khula Hoa Abhi Abhi Mery Pass Sey, Jo Nazar Bacha Key Guzar Gaye Ye Mery Shahar Key Loog Han, Mery Ghar Sey Ghar Mila Hoa Mujhe Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,Wohi Pukhta Kar-E-Jafa Mila Na Kisi Ke Choot Ghalat Pary, Na Kisi Ka War Kahta Hoa Mujhe Ham Safar Bhi Mila Koi, Tu Mery Tarha Hi Luta Hoa Kabhi Manziloon Se Hata Hoa, Kabhi qafiloon Sey Luta Hoa Mujhe Ik Gali Men Para Hoa, Kisi Bad Naseeb Ka Khath Mila Kaheen Khoon-E-Dil Sey Likha Hoa, Kaheen Ansoon Sey Mita Hoa Hameen To Ye Bhi Haq Nahi, Ke Shareq Bazam Kohlos Hon Na Cehry Pey Apny Naqab Hai, Na Kuch Asteen Men Chupha Hoa