dard barhta hai keh aanchal mein chupa lay mujhko
dil ki har aik kadi tor na dale mujh ko
itni fursat hai kahan gham keh utha lon apne
jism be jan ki tarah moj uchalay mujh ko
zindagi tere marahil se to dar lagta hai
phir koi dard ke sanche mein na dhalay mujh ko
dho ke phir chaadar tatheer pila de janam
zahar furqat ka kahin mar na dale mujh ko
moj kuch aisi uthi toot giya hon pal pal
main to bikhra hon koi phir se bana le mujhko
raat ke pichle pahar dard ka mazraab liye
geet furqat ka agar hai to sunale mujh ko
so giya thak ke ghazali jo ghani chayon mili
orh li main ne zameen aake jga le mujh ko

Comments
Post a Comment