Teri judaii ka Munzar juda nahi karti
Ye aankh qaid se Khud ko reha nahi kerti
Baras gaii hai to is per Khuda ka sukar karo
K bar bar karm to Ghata nahi kerti
Badalti chal se is ke Chalan juda hain buhat
Zamana saz Muhabbat hawa nahi kerti
Unhain main Halqa yaran mein kyoun karon Shamil
Wo jin se mil k Tabbiyat khula nahi kerti
Hum apne aap Sitam ka shikar hote hain
Hamare sath ye dunya Jafa nahin kerti
Ajab hal hai dil ka Tumhari yadon mein
Gulon ke sath to aisa Saba nahi kerti
Guzrna perta hai ketne hi Imtahanon se
Ye zindagi hai kisi per Daya nahi kerti
Ulajh rahi hai abhi to kisi ke Jalwon se
Kidhar ko jaye Nazar faisla nahi kerti

Comments
Post a Comment