Skip to main content

Posts

Showing posts from March, 2012

Tak gya hay musalsal safar udassi ka

تھک گیا ہے مسلسل سفر اداسی کا اور اب بھی ہے میرے شانے پہ سر اداسی کا میرے وجود کے خلوت کدے میں کوئی تو تھا جو رکھ گیا ہے دیا طاق پر اداسی کا میں تجھ سے کیسے کہوں یار ِمہرباں میرے کہ تو علاج نہیں ہے میری ہر اداسی کا یہ اب جو آگ کا دریا میرے وجود میں ہے یہی تو پہلے پہل تھا شرر اداسی کا

Kabhi qataar say becheri hoi konjoon kay nohay par Nigah kirna...

Kabhi qataar say becheri hoi konjoon kay nohay par Nigah kirna... Kay kasay aik dojay ki judai par Tarap kar baen karti hain... Kabhi rukhsit kay lamhoon main kisi ki ankh say Laraktay howay Ansoon ko dakhoo gay To shaid jaan paaoo gay.. Judai mout hoti hay…… Abhi tum nay mohabat kay barastay bheegaty mosam nahe dakhay. Abhi tum titliyon kay rang muthi main chupatay ho. Abhi tum muskratay ho... Suno JANA..!! Kabhi jo zindgi nay ajnabi wiraan rahoon pay. Tumhari yeh hansi cheeni... To phir ansoon bahaoo gay... Tum itna jaan jao gay. Judai..... Mout hoti hay...!!

Kab tak tu onchi awaz main bolyga

کب تک تو اونچی آواز میں بولے گا تیری خاطر کون دریچہ کھولے گا اپنے آنسو اپنی آنکھ میں رہنے دے ریت پہ کب تک ہیرے موتی رولے گا آؤ شہر کی روشنیاں ہی دیکھ آئیں کون ہماری خالی جیب ٹٹولے گا لاکھ میرے ہونٹوں پر چُپ کی موہریں ہوں میرے اندر کا فنکار تو بولے گا دیکھ وہ اپنی میٹھی میٹھی باتوں سے اپنا سارا زہر تجھ ہی میں گھولے گا اے سوداگر چاہت کی جاگیروں کے کس میزان میں تو اس جنس کو تولے گا محسن اس کی نرم طبیعت کہتی ہے پل دو پل وہ میرے ساتھ بھی ہولے گا محسن نقوی

Kabhi Naraz Mat Hona

Kabhi Naraz Mat Hona Gilay Chahay Bohat Karna Rulana or Bohot Larna Suno Naraz Mat Hona Kabhi Aisa Jo Ho Jaye K Teri Yaad se Ghafil Kisi Lamhe Jo Ho Jaon Bina Dekhe Teri Surat Kisi Shab Main Jo so Jaon Tu Sapno Mein Chali Aana Mujhe Ehsas Dila Jana…! Suno Naraaz Mat Hona Kabhi Aisa Jo Ho Jaye Jinhen Kehna Zaroori Ho Wo Mujh Se Lafz Kho Jayein Anaa ko beech Mat Lana Meri Awaaz Ban Jana Kabhi Naraaz Mat Hona…

Khabi yaad awo to estarha

کبھی یاد آؤ تو اس طرح میرے آس پاس کنول کھلیں کبھی گنگناؤ تو اس طرح میرا درد پھر سے غزل بنے کبھی دل دُکھاؤ تو اس طرح میری دھڑکنیں بھی لرز اُٹھیں کبھی بھول جاؤ تو اس طرح !نہ سسک سکیں نہ بلک سکیں۔۔۔

Kahan jaaogay mujhe chor kar

Kahan jaaogay mujhe chor kar mein yeh pooch pooch ke thak gaya woh jawab mujhe na dai saka woh to khud sarapa sawaal tha woh mila to barson baad mila meray lub pe koi gila na tha ussay meri chup ne rula diya jissay guftugoo mein kamal tha

Khuloos e sajda, sujoud anqa

Khuloos e sajda, sujoud anqa Mohabbaton ka wujoud anqa Woh sache jazbey mehekne wale Khushi k panchi chehekne wale Jo ab tu nayab hogaye hain Andheri raaton mein kho gaye hain Woh arzonyen dhanak mein lipte Woh suratein chandani mein simtein Ana parasti ki zad mein aa ker Munafaqat k sanan k neche Her ik lamha sisak rahe hain Tamam sochein dehek rahe hain So kash koi Payam laye Mohabbaton k salam laye Kahin se bada o jaam laye Koi suhani se shaam laye Tu phir shikasta wujoud mera Banam e chahat duam paye Mager ye mumkin nahi hai shayad K dour e hazir ki Nafsanafsi mein Moujzon ka zahor anqa Buton ki surat mein, noor anqa

Maar Hi Daal Mujhe Chasm-E-Adaa Se Pahle

Maar Hi Daal Mujhe Chasm-E-Adaa Se Pahle Apni Manzil Ko Pahunch Jaun Qaza Se Pahle Ik Nazar Dekh Loon Aa Jaao Qaza Se Pahle Tum Se Milne Ki Tamanna Hai Khuda Se Pahle Hashr Ke Roz Main Puchhunga Khuda Se Pahle Tu Ne Roka Nahin Kyun Mujhko Khata Se Pahle Ai Meri Maut Thahar Unko Zara Aane De Zahar Ka Jaam Na De Mujhko Dawa Se Pahle Haath Pahunche Bhi Na The Zulf Dota Tak “Momin” Hathkadi Daal Di Zaalim Ne Khata Se Pahle

Kisey Hai Khabar?

Ye Sheesho'n k Sapne Ye Dhaaago'n K Rishtey Kise Hai Khabar K Kahan Toot Jayein Mohabbat K Darya Main Tinkey Wafa K Kise Hai Khabar K Kahan Doob Jayein Ajab Dil Ki Basti Ajab Dil Ki Halat Har Ek Morr Mausam Naii Chahto'n Ka Lagaye Hain Hum Ne Bhi Sapno'n K Podey Magar Kya Bharosa Yahan Barisho'n Ka Jinhein Dil Se Pooja, Jinhein Dil Se Chaha Kise Hai Khabar K Kahan Rooth Jayein ... !

Main Tanhai Se Darti Hun

khafa ho jain ge eik din fana ho jain ge eik din andheri qabr me mujh ko daba kay jain ge eik din tumhian aawaz hum den ge magar tum sun na pao ge manu'n matti talay mujh ko daba kay choor jao ge kay sar se peer tak liptay kafan me deekh kr mujh ko,tarap jaye ga dil tera bohat becheen kr de ga mera yun choOr kay jana tumhain phir yaad aaye ga mera aksar yehi kehna mai tanhai se darti hun tumhain phir yaad aaye ga wo mera boltay jana wo saray khuwab jo maine... tumhary saath boye thay adhoray reh gaye kesay..... wo saray rastay jin per tumhare sang chalna tha wo saray reeshmi lumhen jinhen mil kay choorana tha achanak kho gaye kesay..??? sonu..... yunhe'n kbhi tanha'n tum meri qabr per aana tu mera naam lay lena main phir se jaag jaun gi....

Na khuwaheshein na gila kery

Na khuwaheshein na gila kery koi aisa shakhs b hova karey jo meiri he khater saja kery jis ki zlf muj per girra karey kabi roye jaye vo bey pnah kabi bey tahasha hassa karey kabi chupky chupky dabey kadam meiry pichy akey uddas ho meiri khuwaheshein meiri chahtein koi yaad rakhey kadam kadam mein barey he lambey safer pe hon meiri wapsi ki dua kery na khuwaheshein na gilla karey koi aisa shakhs b hova kery

Hum apne khwaab keaue bechain

ہم اپنے خواب کیوں بیچیں فقیرانہ روش رکھتے تھے لیکن اس قدر نادار بھی کب تھے کہ اپنے خواب بیچیں ہم اپنے زخم آنکھوں میں لئے پھرتے تھے لیکن روکشِ بازار کب تھے ہمارے ہاتھ خالی تھے مگر ایسا نہیں پھر بھی کہ ہم اپنی دریدہ دامنی الفاظ کے جگنو لئے گلیوں میں آوازہ لگاتے خواب لے لو خواب لوگو اتنے کم پندار ہم کب تھے ہم اپنے خواب کیوں بیچیں کہ جن کو دیکھنے کی آرزو میں ہم نے آنکھیں تک گنوا دی تھیں کہ جن کی عاشقی میں اور ہوا خواہی میں ہر ترغیب کی شمعیں بجھا دی تھیں چلو ہم بے‌نوا محرومِ سقف و بام و در ٹھہرے پر اپنے آسماں کی داستانیں اور زمیں کے انجم و مہتاب کیوں بیچیں خریدارو! تم اپنے کاغذی انبار لائے ہو ہوس کی منڈیوں سے درہم و دینار لائے ہو تم ایسے دام تو ہر بار لائے ہو مگر تم پر ہم اپنے حرف کے طاؤس اپنے خون کے سرخاب کیوں بیچیں ہمارے خواب بے ‌وقعت سہی تعبیر سے عاری سہی پر دل ‌زدوں کے خواب ہی تو ہیں نہ یہ خوابِ زلیخا ہیں کہ اپنی خواہشوں کے یوسفوں پر تہمتیں دھرتے نہ یہ خوابِ عزیزِ مصر ہیں تعبیر جن کی اس کے زندانی بیان کرتے نہ یہ ان آمروں کے خواب جو بے ‌آسرا خلقِ خدا کو دار پر لائیں نہ یہ غارت‌ گروں کے خ...

Aurat! Hawwa Ki beti

Aurat! Hawwa Ki beti aur bint e peghambar e awwal itni majbur! itni bebas! aankhein hain! magar beenayi nahi zubaan hai! magar quwat e goyaei nahi bazahir haath hain magar qalm katey huwe pairun main rishtun ki zanjeer pehne dil main shoq e parwaaz liye dhundti rehti hai umr bhar kabhi beti, kabhi biwi, kabhi maa ban kar goud se le kar gour tak dhunti rahi magar na mila kahin bhi usko apna maqaam! apna ghar!

Hamy koi ghum nahi ta ghum ay ashaqi se pehly

ہمیں کوئی غم نہیں تھا، غم ِعاشقی سے پہلے نہ تھی دشمنی کسی سے، تیری دوستی سے پہلے ہے یہ میری بد نصیبی، تیرا کیا قصور اس میں تیرے غم نے مار ڈالا، مجھے زندگی سے پہلے میرا پیار جل رہا ہے، اے چاند آج چھپ جا کبھی پیار تھا ہمیں بھی، تیری چاندنی سے پہلے میں کبھی نہ مسکراتا، جو مجھے یہ علم ہوتا کے ہزار غم ملیں گے، مجھے ایک خوشی سے پہلے یہ عجیب امتحان ہے، کہ تم ہی کو بھولنا ہے ملے کب تھے اس طرح ہم، تمہیں بے دلی سے پہلے

Naya ek rishta paida keaue kary hum

نیا اک رشتہ پیدا کیوں کریں ہم بچھڑنا ہے تو جھگڑا کیوں کریں ہم خموشی سے ادا ہو رسمِ دوری کوئی ہنگامہ برپا کیوں کریں ہم یہ کافی ہے کہ ہم دشمن نہیں ہیں وفاداری کا دعویٰ کیوں کریں ہم وفا،اخلاص،قربانی محبت اب ان لفظوں کا پیچھا کیوں کریں ہم سنادیں عصمتِ مریم کا قصہ؟ پر اب اس باب کو وا کیوں کریں ہم زلیخا سے عزیزاں بات یہ ہے بھلا گھاٹے کا سودا کیوں کریں ہم ہماری ہی تمنا کیوں کرو تم تمہاری ہی تمنا کیوں کریں ہم کیا تھا عہد جب لمحوں میں ہم نے تو ساری عمر ایفاکیوں کریں ہم اٹھا کر کیوں نہ پھینکیں ساری فقط کمرے میں ٹہلا کیوں کریں ہم جو اک نسلِ فرومایہ کو پہنچے وہ سرمایہ اکٹھا کیوں کریں ہم نہیں دنیا کو جب پروا ہماری تو پھر دنیا کی پرواکیوں کریں ہم ہیں باشندے اسی بستی کے ہم بھی سو خود پر بھی بھروسا کیوں کریں ہم چبالیں خود ہی کیوں نہ اپنا ڈھانچہ تمہیں راتیں مہیا کیوں کریں ہم پڑی رہنے دو انسانوں کی لاشیں زمیں کا بوجھ ہلکا کیوں کریں ہم یہ بستی ہے مسلمانوں کی بستی یہاں کارِ مسیحا کیوں کریں ہم جون ایلیا

Mehfilain rut gaye jazbat ne dam tor diya

محفلیں لٹ گئیں جذبات نے دم توڑ دیا ساز خاموش ہیں نغمات نے دم توڑ دیا ہر مسرّت غم دیروز کا عنوان بنی وقت کی گود میں لمحات نے دم توڑ دیا اَن گِنت محفلیں محروم ِچراغاں ہیں ابھی کون کہتا ہے کہ ظلمات نے دم توڑ دیا آج پھر بجھ گئے جل جل کے امیدوں کے چراغ آج پھر تاروں بھری رات نے دم توڑ دیا جن سے افسانہ ہستی میں تسلسل تھا کبھی ان محبّت کی روایات نے دم توڑ دیا جھلملاتے ہوئے اشکوں کی لڑی ٹوٹ گی جگمگاتی ہوئی برسات نے دم توڑ دیا ہائے آدابِ محبّت کے تقاضے ساغر لب ہلے اور شکایات نے دم توڑ دیا

Meray piyasay khawab jazeeroon per

Meray piyasay khawab jazeeroon per Umeed tadapti rehti hai Ek aas machalti rehti hai Ek sawan aag lagata hai Bin barsay guzaray jata hai Yeh jeewan tanha tanha sa Yeh rahein sooni sooni sii Meri jagi jagi aankhoon ko Kion her pal chubhati rehti hain Kisi hamdam ki kisi rahi ki Umeed main jagti rehti hain Dil seenay k iss pinjaray main Kion baykal baykal rehta hai Khamoshi k iss parday main Janay mujh say kia kehta hai Hum khush hain bohat yeh baat alag Her sans sisakti rehti hai

Mere mehboob nama bar

Mere mehboob nama bar unhain kehna yehi jaa ker maraasim laakh gehrey hoon dilon ke dil se, phir bhi jab miley un ko na wo chahat k jis k khwab dekhe hoon tou aise main phir ehl e dard wafoor e gham se ghabra ker dilon main chot si khaa ker Maraasim toor detey hain safer jis ki na manzil hoo thakan hi jis ka haasil hoo musaafir thak k bil aakhir wo rastey chorr dete hain sukoon barbaad hota hai ye dil nashaad hota hai ba zaahir kuch nahin kehtey khamoshi se saleeqey se sanbhal ker toot jaatey hain baseraa ker nahin saktey kisi k dil main jab armaan thakey panchi ki soorat phir ye waapis lout jaatey hain phir un ko laakh bulwaao kiye apney peh pachtaao mager yeh roothney waley kabhi waapis nahin aatey khayalon ke safer main yeh sada pehchaan letey hain sabhi kuch jaan letey hain khata ko bhool janey ki dilon main thaan letey hain mager waapis nahin aatey mager waapis nahin aatey

musalsal bekali dil ko rahi ahi

musalsal bekali dil ko rahi ahi magar jeene ki surat to rahi hai main kyon phirta hoon tanha mara mara ye basti chain se kyon so rahi hai chal dil se ummidon ke musafir ye nagari aaj khali ho rahi hai na samjho tum ise shor- e- baharan khizan patton me chup ke ro rahi hai hamare ghar ki diwaron pe 'Nasir' udasi bal khole so rahi hai

Mohabbaton main hawas ke aseer hum bhi nahi

محبتوں میں ہوس کی اسیر ہم بھی نہیں غلط نہ جان کہ اتنے حقیر ہم بھی نہیں نہیں ہو تم بھی قیامت کی تند و تیز ہوا!! کسی کے نقشِ قدم کی لکیر ہم بھی نہیں ہماری ڈوبتی نبضوں سے زندگی تو نہ مانگ سخی تو ہیں مگراتنے امیر ہم بھی نہیں کرم کی بھیک نہ دے اپنا تخت بخت سنبھال ضرورتوں کا خدا تُو،فقیر ہم بھی نہیں شبِ سیاہ کے "مہمان دار" ٹھہرے ہیں وَگرنہ تیرگیوں کے سفیر ہم بھی نہیں ہمیں بُجھا دے ہماری انا کو قتل نہ کر کہ بے ضرر ہی سہی،بے ضمیر ہم بھی نہیں محسن نقوی

Jah ki khwahish be faiz pe marne walay

جاہ کی خواہشِ بے فیض پر مرنے والے کسی انسان کی عزت نہیں کرنے والے وہی اب شہر کی نظروں میں شناور ٹھہرے لبِ دریا جو کھڑے تھے کئی ڈرنے والے کس قدر خواب میں ابھی شعر بنانے ہیں ہمیں کتنے خاکوں میں ابھی رنگ ہیں بھرنے والے وقت پر زور نہیں عمر چلی جاتی ہے سینکڑوں کام پڑے ہیں ابھی کرنے والے بھول ہوگی تو اُسے دل سے کریں گے تسلیم ہم نہیں دوش کسی اور پر دھرنے والے دیکھ لے آنکھ اٹھا کرہمیں اے سیلِ ہوس نہیں اس شہر کے سب لوگ بکھرنے والے پیار بٹنے سے کبھی ختم نہیں ہوگا امجد دل کے دریا تو نہیں ہوتے کبھی اترنے والے امجد اسلام مجد

Gham e hijran main apni ye bhi halat kon karta hay

غمِ ہجراں میں اپنی یہ بھی حالت کون کرتا ہے بھلا اِس عہد میں ایسی محبت کون کرتا ہے جو دل میں ہو وہی اپنی زباں سے بھی بیاں کرنا سوا میرے یہاں ایسی جسارت کون کرتا ہے عَلم سچ کا کھل گیا یہ راز مجھ پر بھی منافق عہد میں سچ کی حمایت کون کرتا ہے ہر اک کو دوسرے کی چاک دامانی نظر آئے گریباں دیکھ لے اپنا،یہ زحمت کون کرتا ہے اُدھر اُن کےستم اتنے کہ جن کی حد نہیں کوئی اِدھر بھی ظرف والے ہیں شکایت کون کرتا ہے زمانہ مجھ سے لوگوں کے لئے مقتل ہوالالی پرایا ہو کہ اپنا ہو،رعایت کون کرتا ہے

azaab-e-deed me aankhein lahu lahu kar k

Azaab-e-deed me aankhein lahu lahu kar k Mein sharamsaar huwa teri justuju kar k Suna hai shehar me zakhmi dilon ka mela hai chaleinge hum bhi magar pairahan rafu kar k musafat-e-shab-e-hijraan k baad bhaid khula hawa dukhi hai charaghon ko aabru kar k ye kis ne hum se lahu ka khiraaj phir maanga abhi to soye thay maqtal ko surkhru kar k

Bahar rut main ujar rasty taka karogy to ro parogy

بہار رُت میں اُجاڑ رستے تکا کرو گے تو رو پڑو گے کسی سے ملنے کو جب بھی سجا کرو گے تو رو پڑو گے تمہارے وعدوں نے یار مجھ کو تباہ کیا ہے کچھ اس طرح سے کہ زندگی میں جو پھر کسی سے دغا کرو گے تو رو پڑو گے میں جانتا ہوں میری محبت اُجاڑ دے گی تمہیں بھی ایسے کہ چاند راتوں میں اب کسی سے ملا کرو گے تو رو پڑو گے

Younhe bay sabab na phira karo kisi sham ghar bhi raha karo

Younhe bay sabab na phira karo kisi sham ghar bhi raha karo Yeh ghazal ki sachi kitab hay isay chuke chuke parha karo Koi hath bhi na milaye ga jo galay milo gey tapaak se yeh naye mizaj ka shehar hay zara faslay se mila karo Abhi rah main kai morr hain koi aye ga koi jaye ga Tumhain jisne dil se bhula diya usay bhoolnay ki dua karo Mujhay ishtehar si lagti hain yeh muhabbat ki kahaniyaan jo kaha nahi voh suna karo jo suna nahi voh kaha karo Kabhi husn-e-parda nasheen bhi zara ashiqaana libas main Jo main bun sanvar k kaheen chaloon mere sath tum bhi chala karo Nahi bay hijab voh chand sa k nazar ka koi asar na ho Usay garmee-e-shoq se bari dair tak na taka karo Yeh khizaan ki zard si shaal jo udaas pairr k pass hay yeh tumharay ghar ki bahar hay isay ansoon se hara karo

Mere chara ghar tujay kya khabar...

میرے چارہ گر میرے درد کی تجھے کیا خبر تو میرے سفر کا شریک ہے نہیں ہم سفر؟ میرے چارہ گر،میری چارہ گر میرے ہاتھ سے تیرے ہاتھ تک وہ جو ہاتھ بھر کا تھا فاصلہ ....کئی موسموں میں بدل گیا اسے ناپتے اسے کاٹتے ...میرا سارا وقت نکل گیا نہیں جس پہ کوئی بھی نقشِ پا میرے سامنے ہے !!!....وہ رہ گز میرے چارہ گر،میرے چارہ گر !میرے درد کی تجھے کیا خبر یہ جو ریگ دشت فراق ہے میرے راستے میں بچھی ہوئی ...کسی موڑ پہ یہ رُکے کہیں یہ جو رات ہے میرے چار سو ...مگر اس کی کوئی سحر نہیں ...نہ چھاوںہے نہ ثمر کوئی میں نے چھان دیکھا شجر شجر میرے چارہ گر،میرے چارہ گر !!!میرے درد کی تجھے کیا خبر

Guzre hoye taweel zamany ke bad bhi

Guzre hoye taweel zamany ke bad bhi dil man raha wo chor ke jany ke bad bhi pehlo main reh ke dil ne diya hay buht faraib rakka hay usko yaad bulany ke bad bhi

Tu ne daika hy khabi chand pe behta hoa pani

Tu ne daika hy khabi  chand pe behta hoa pani main ne diaka hay ye manzar us ke rukhsar pe aksar

Koi shai palat kar wapas nhi ati

Koi shai  palat kar wapas nhi ati sewaye mosamon ke kash tum bhi mosam  hote..

Meri aankhon k samandar main jalan kaisi hai

Meri aankhon k samandar main jalan kaisi hai aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai ab kisi chhat pe charaghon ki roshni bhi nahin ab tere sheher ki galiyon main ghhutan kaisi hai barf k roop main dhal jaaenge saare rishte mujh se pouchho k mohobbat ki agan kaisi hai main tere wasal ki khuwahish ko naa marne dunga mosam_e_hijr k lehje main thakan kaisi hai regzaaron main jo bunti rahi kaanton ki rida usski majboor si aankhon main kiran kaisi hai mujhe maasoom si larki pe taras aata hai usse dekho tau mohobbat main magan kaisi hai

Gali mai dard k purzay talash karti thi

Gali mai dard k purzay talash karti thi meray khatoot k tukhrhay talash karti thi BHulay kon aziat pasandian uski khushi k dhair mai sadmay talash karti thi Ghuma phira k bat karti thi judai ki Hamesha hijr k harbay talash karti thi Duain karti thi ujhrhay huay mazaron par Barhay ajeeb saharay talash karti thi Mujhay to aj badlon nay bataya hai ........ Wo lot anay k rastay talash karti thi

MAIN UDAAS RASTA HOON SHAAM KA,TERI AAHATON KI TALASH HAI,

MAIN UDAAS RASTA HOON SHAAM KA,TERI AAHATON KI TALASH HAI, YEH SITARE HAIN BUJHE BUJHE, MUJHE JUGNUOON KI TALASH HAI, WOH JO EK DARIYA THA AAG KA,SABHI RASTON SE GUZAR GAYA, TUMHE KAB SE RET KE SHEHAR MEIN ,NAYE BARISHON KI TALASH HAI, NAYE MAUSAMO KI UDANO KO,ABHI ESKE KOI KHABAR NAHI, TERE AASMA KE JAAL KO,NAYE PANCHIYON KI TALASH HAI, MERE DOSTON NE SIKHA DIYA,MUJHE APNE JAAN SE KHELNA, MERI ZINDAGI TUJHE KYA KHABAR,MUJHE KATILON KI TALASH HAI, TERI MERI EK HAI MANZIL,WOH HI JUSTAJU WO HI HAI AARZO, MERE DIL, TUJHE DOSTON KI TALASH HAI,MUJHE DUSHMANO KI TALASH HAI.

Azeez Itna Hi Rakhi Ke Jee Sambhal Jaye,

Azeez Itna Hi Rakhi Ke Jee Sambhal Jaye, Ab Is Kadar Bhi Na Chaho Ke Dam Nikal Jaye, Mile Hai Yun To Bahut Aao Ab Milein Yun Bhi, Ke Rooh Garmi-E-Anfaas Se Pighal Jaye, Mohabbaton Mein Ajab Hai Dilon Ka Dhadaka Sa, Ke Jaane Kaun Kahan Raasta Badal Jaye, Rahe Wo Dil Jo Tamanna-E-Taazaa Tar Mein Rahe, Khusha Wo Umr Jo Khwabon Hi Mein Bahaal Rahe, Main Wo Charag-E-Sar-E-Rehguzar-E-Duniya Hoon, Jo Apni Zaat Ki Tanhaiyon Mein Jal Jaye, Har Ek Lehja Yehi Aarzu Yehi Hasrat, Jo Aag Dil Mein Hai Wo Sher Mein Bhi Dhal Jaye...

Palat aao K khuwaabon ki zameenon per

Palat aao... Palat aao K khuwaabon ki zameenon per Kisi duniya ka shehzaada Kai qirnon Kai sadiyon say Tumhaari yaad ki chaaon mein betha hua hai Isay Izn-e-huzoori do K us ki munjamind berfaab aankhon mein Khushi ki tittliyaan utrein Palat aao K ab bhi sheher ki galiyaan Tumhaaray paaoon ki hiddat pay merti hein Tumhein aawaaz dayti hein Diye her aanay waalay say tumhaara poochtay hein Or Derwaazay ..... Tumhaari aahaton mein gum Mager tum ! Dooriyo k sheher say bhi door bethay ho Jahaan aawaaz bhi jaanay say derti hai Palat aao K ab bhi raastay ummeed ki khushboo say mehkay hein K tunhaai ..... Hamaari rooh k saahil pay jab bhi been kerti hai Tumhaara naam layti hai Hawa jab gungunaati hai To is k surmai honton say Teray sung huway lamhon ki Khushboo uraati hai Palat aao ..... K ab hum devtaaon ki terhan khaamosh reh reh ker Tumhaaray hijr k aazaar seh seh ker Bohat hi thak chukay hein Hamein ab neend k lambay safer per lout jaana hai Jahaan hum nay Zamaanay ki nigaahon say paray Ik ...

Kaun Rok Sakta Hai

Kaun Rok Sakta Hai Laakh zabt-e-khowahish ke Beshumar daawey hon Unko bhool janey ke Bepanah iraaday hon Aur is mohabbat ko tark kar ke jeeny ka Faisla sunany ko Kitny lafz sochay hon Dil ko uski aahat pey Barmala dharkney sy Koun rok sakta hai Phir wafa ke sehra mein khushboun ko choonay ki Justuju mein rehnay se Rooh tak pighalnay sy Nangay paun chalnay se Koun rok sakta hai Aansuon ki barish mein chahay Dil ke haathon mein Hijr ke musafir ke paun tak bhi choo aao Jis Ko Lot Jana Hai Usko Door jany Se Rasta Badlnay sy Door Jaa Nikalnay Se Koun Rok Sakta hai...

Abi lmhy nai bikhry,

Abi lmhy nai bikhry, Abi mosam nai bichry, Mery kmry ki thandak mein, Abi kuck dhoop baqi hay, Meri dairy k kuch sfhy, Abi kuch keh nai paey, Mery aangan k sb pody, Abi b gungunaty hain, Mery beyjaan honton pr, Abi muskaan wesi hy, Kisi k loat aney ka abi imkaan baqi hy, DECEMBER ik bat bolon main, Agr tum maan jao, DECEMBER thehr jao, DECEMBER thehr jao…..

Na umang Dil me rahi koi

Na umang Dil me rahi koi Na zehen me koi sawal hy Ye jo gardishain hain hayat pr Meri Khwahishon ka kamal hy Main ne kb kaha Main Haseen hon Ya muhbbaton ka Ameen hon Meri guftagu mera Aaina Mera Zooq meri Misaal hy

Tum Apna Ranj-O-Ghum Apni Pareshani

Tum Apna Ranj-O-Ghum Apni Pareshani Mujhe De Do Tumhain Ghum Ki Kasam Is Dil Ki Viraani Mujhe De Do Ye Mana Main Ksi Kaabil Nahi Hun In Nigahon Me Bura Kya Hy Agr Ye Dukh Ye Hairani Mujhe De Do Main Dekhon To Sahi Dunia Tumhain Kese Satati Hy Koi Din K Lye Apni Nighe'bani Mujhe De Do Wo Dil Jo Main ne Manga Tha Mgr Ghairon Ne Paya Bari pur'Kaif Hy Agr Usaki Pashemani Mujhe De Do

Dil k kehne pe jab lary tum thy

Dil k kehne pe jab lary tum thy phir zamane se Q dary tum thy naqsh thy hath ki lakeeron me dastaras se mgr pary tum thy lakh phaila simat na paye tum dil ki oqaat se bary tum thy hum ne jis rah ka intekhab kiya us k hr moor pr khary tum thy ik sharar-e-guman ki manind dhyan ki raakh me pary tum thy jany kis leher me tha main sar'shaar jany kis mouj me hary tum thy hath k lamas se chalak uthy jaam ki trah bhary tum thy kya tha jis me ulajh gya tha main jany kis baat pr ary tum thy

Andheri raat k lamhy tamam hony tak

Andheri raat k lamhy tamam hony tak Tujhe hi sOchty hain subha se shaam tak Main aisa jism hon jis ki rooh b tu hy Adhuri zaat hon main tere Naam hony tak Teri awaz sun na lon to dil nahi lagta Tarpty rehta hon tujh se hum'kalam hony tak Teri nazar ki qeemat pe bik raha hy koi Usy khareed ly to mehngy daam hony tak Ishq ki aag jo seeny me lga betha hon Sulagti rehti hain neendein haraam hony tak

Kabi Shikaston k Dukh Uthaye to Us Se pochon

Kabi Shikaston k Dukh Uthaye to Us Se pochon Wo Meri Manind jo Toot jaye to Us Se pochon Usy b koi Sitara ManziL se door kr de Usy b Rasta nazar na aye to Us Se pochon Safar me Wo b ksi kary Imtehan se guzry Usy b yon koi azmaye to Us Se pochon Meri trha Din charhy tak wo b na Soye Usy b shab bhar na Neend aye to Us Se pochon Usy MOHABBAT me kon sa Dukh diya hy Main ne Kabi Nazar se Nazar milaye to Us Se pochon

Faraib-e-zaat se niklo

Faraib-e-zaat se niklo jahan k saanihy dekho Haqeeqat munkashif hogi kabi to aainy dekho Wohi ik ajnabi jis se ta'luk sar'sari sa tha Hamary dil me hoty hain usi k tazkry dekho Likha hy waqt ne ye b ajab apne muqadr me Palatna hi nahi jisko usi k rasty dekho Humain samhjo na khush itna labon ki muskurhat se Hamari ankh me pehle hazaron hadsy dekho Thaky haary se bethe thy mgr teri sadaa sun kr Shiksta pa chaly aye hamary hoosly dekho

JAB TERI KALAAI ME

JAB TERI KALAAI ME CHORIYAN KHANAKTI HAIN JAB SHAREER PALKON KI PAYALAIN CHANAKTI HAIN JAB FIZA KA SAN'NATA KHUD SE GUN'GUNATA HY KON YAAD AATTA HY...?? JAB TERI NIGHAHON ME DONO WAQT MILTY HAIN JAB TALAB KI RAHOON ME KHUL K PHOL KHILTY HAIN JAB KHYAL KA PANCHI KHOOF SE SAR'SARATA HY KON YAAD AATA HY...?? AJNABI SI AAHAT PR JAB B DIL DHARAK JAYE JAB B GUFTGU KHUD SE HALAQ ME ATAQ JAYE DIL ME CHOOR SA KOI JAB B MUSKURATA HY KON YAAD AATA HY...?? JAB B GHUP ANDHERE ME BIJLIYAN CHAMAKTI HAIN JAB SAJY KAMARON ME ANDHIYAAN LAPAKTI HAIN JAB RAGOON ME ANJANA KHOOF SIR'SARATA HY KON YAAD AATA HY...?? KHWAHISHON KI BASTI ME WEHMON K MAILY ME BE'KARAAN UDASI ME HUM SABHI AKELE HAIN KHUD SE DIL DHARAKTA HY KHUD SE DOOB JATA HY KON YAAD AATA HY...?? KON YAAD AATA HY...??  

Barish Ki Barasti Boondon Ne

Barish Ki Barasti Boondon Ne Jab Dastak Di Darwaze Pr Mehsoos Hua Tum Aaye Ho Andaz Tumhare Jesa Tha Hawa K Halky Jhonky Ki Jb Aahat Paai Khirki Pr Mehsoos Hua Tum Guzry Ho Ehsas Tumhare Jesa Tha Main Ne Girti Boondon Ko Rokna Chaha Hathon Pr ek Sard Sa Phir Ehsas Howa Wo Lams Tumhare Jesa Tha Tanha Main Chala Phr Barish Me Tab Ek Jhonky Ne Saath Diya Main Samjha Tum Ho Sath Mere Wo Saath Tumhare Jesa Tha

Hum to met jayange ay arz e watan lakin tum ko,

Hum to met jayange ay arz e watan lakin tum ko, zinda rehna hay qayamat ki sahar hone tak  

We are both strangers at the start….

We are both strangers at the start…. Learn to accept as friends…. As days pass by we became entwined…. We laugh together and shared the good times…. We shed tears when were down…. We build a foundation and dreams as high as the sky…. We cherish that times we spend together…. We thought it will last forever, till the end of time…. I made a mistake and you judged me and set me aside…. You became silent and never speak up…. What shall i do, to say sorry for you…. we were like strangers…. Can we make a new start……

Tere harf e lub ka talasam ta mere aab o tab main reh gaya..

تیرے حرف و لب کا طلسم تھا، میری آب و تاب میں رہ گیا وہ کسی گلاب کا جسم تھا، جو میری کتاب میں رہ گیا میری بات بات میں روشنی، میرے حرف حرف میں دلکشی تو میرا شریکِ وصال ِجاں، میری ہر کتاب میں رہ گیا کوئی پھول کھل کے بکھر گیا، کوئی بات بن کے بگڑ گئی نہ سوال کوئی لبوں پہ ہے، نہ گلہ جواب میں رہ گیا دل ِخوش گماں تیری خیر ہو، تو ہے پھر یقیں کی صلیب پر تجھے پھر کسی سے شکایتیں، تو اسی عذاب میں رہ گیا تجھے کیا ملا دل ِمبتلا، نہ کوئی دعا نہ کہیں وفا مگر ایک عرصۂِ رائیگاں، جو تیرے حساب میں رہ گیا وہ جو میرا عہدِ جمال تھا، وہ جو میرا شہر ِخیال تھا کہ اب اس کا ذکر ِکمال بھی، کہیں حرف و خواب میں رہ گیا

Ja ke samandar ke kinary

Ja ke samandar ke kinary tum apne Hatho main pani utha lena jitna tum uthalo wo tumhari  chahat  or jo utha na sako wo hamari chahat

Hijar ki raat dal gae mohsin

Hijar ki raat dal gae mohsin Ab to dil se kaho sambal jaye

Raat dalny lagi hay sapnon main

Raat dalny lagi hay sapnon main aag sulgao abgenon main dil ushaaq ki khabar lena phool kelte han en maheenon main..

andari raat me rehte to kitna acha ta

andari raat me rehte to kitna acha ta hm apni zat me rehte to kitna acha ta dukon ne bant liya hay tmhare bad hamy tmhary hat me rehte to kitna acha ta

Yaad Aatay Hain To Kuch Bhi Nahi Karnay Detay

Yaad Aatay Hain To Kuch Bhi Nahi Karnay Detay,,, Achay Logon Ki Yehi Baat Buri Lagti Hai... 

jany keaue itni se bat pe dharkan ruk se gae

jany keaue itni se bat pe dharkan ruk se gae,  bus zara tasawur he to keya ta uske bagair jeeny ka...

Mujhe khabar thi woh mera nahin paraya tha ,

Mujhe khabar thi woh mera nahin paraya tha , Per dharkanon ne Usi ko Khuda banaya tha , Main khawab khawab jise doondhta phira barson Woh ashk ashk meri aankh mein samaya tha .......

Roshni ke baab banty jaynge...

روشنی کے باب بنتے جائیں گے زخم جب مہتاب بنتے جائیں گے چشمِ نم میں ڈوبنا چاہیں اگر سینکڑوں گرداب بنتے جائیں گے عشق جن کی زندگی میں ڈھل گیا لوگ وہ نایاب بنتے جائیں گے دوست بن کر جو ملیں گے راہ میں درد کے اسباب بنتے جائیںگے ہار بانہوں کا گلے میں ڈال کر ہم تری محراب بنتے جائیں گے تابِ نظارہ جو پیدا ہوگئی اور بھی بیتاب بنتے جائیں گے تیرے عکس ِناز سے اے دلربا آئینے پر آب بنتے جائیں گے جس قدر ہوں گی جہاں میں نفرتیں خون کے سیلاب بنتے جائیں گے اشک ان کی یاد میں لکھیں گے جو عشق کے آداب بنتے جائیں گے

us waqt to yun lagta hay ab kuch bhi nahi hay

اس وقت تو یوں لگتا ہے اب کچھ بھی نہیں ہے مہتاب نہ سورج نہ اندھیرا نہ سویرا آنکھوں کے دریچوں میں کسی حسن کی جھلکن اور دل کی پناہوں میں کسی درد کا ڈیرا ممکن ہے کوئی وہم ہو ممکن ہے سنا ہو گلیوں میں کسی چاپ کا اک آخری پھیرا شاخوں میں خیالوں کے گھنے پیڑ کی شائید اب آ کے کرے گا نہ کوئی خواب بسیرا اک بیر نہ اک مہر نہ اک ربط نہ رشتہ تیرا کوئی اپنا نہ پرایا کوئی میرا مانا کہ یہ سنسان گھڑی سخت بڑی ہے لیکن میرے دل یہ تو فقط ایک گھڑی ہے ھمت کرو جینے کو ابھی عمر پڑی ہے

Toot kar chahna zarori hay

ٹوٹ کر چاہنا ضروری ہے پیار میں انتہا ضروری ہے ہم تو دریا کے دو کنارے ہیں درمیاں فاصلہ ضروری ہے یہ کڑی شرط ہے محبت کی بے وفا سے وفا ضروری ہے

andieon ke mosam main

andieon ke mosam main lafz ke sahary bi sath chor dete hain aisy mor par akar zindagi se pyary bhi hath chor dete han

zindagi youn hui basar tanha

zindagi youn hui basar tanha qafilaa saath aur safar tanha apne saaye se chaunk jaate hain umr guzri hai is qadar tanha raat bhar bolte hain sannaate raat kaate koi kidhar tanha din guzarta nahin hai logon mein raat hoti nahin basar tanha hamne darvaze tak to dekha tha phir na jaane gaye kidhar tanha

Main girah mein bandh ke hadsaat,

Main girah mein bandh ke hadsaat, nikal para tairee khoj mein Kahin taar kool ki thi sadak jahan aag bant-ti dhoop thi Kabhi kachi rah ki dhool mein jahan saans laina muhaal tha Sir-e-rizm-e- jaa'n kabhi dil k dard say haar ker Main to khangaoo'n pay mangta phira man-natain Kabhi raat raat basar duaoo'n main ho gaee Kabhi qaaflay mairee aas k kisi dasht-e-yaas main kho gaey Mara pairhan tha phata howa kahi'n gard gard atta howa Main adhooray pan ke saraab main Tujhay dhondta phira dar badar Kisee ajnabi ke diyaar main Koi dukh mila kisee mor pay, koi gham mila kisi chok main Kisi rah guzar ke sakoot main koi dard aa ke dara giya Kabhi chal para, kabhi ruk giya, kisi kashmakash ke ghubar mein Mujhay kia mila tairay piyar mein Main girah main bandh k haadsat Kahi'n gum howa tairee khoj main!!

I love you coz I love you,

I love you coz I love you, I cannot give you a Reason, True Love cannot be defined, It has an Eternal Season. If You ask how much I love you, I might say I cannot explain, Coz my feelings are so intimate, But the Words are so Plain. If You ask me how much I care, I might just say 'so much', Coz there are no words in the Language, That can describe my care as such. If You ask how much I miss you, I might just say 'a lot', Coz when you are away, I feel so lonely, I try to be okay, but I cannot. I don't decorate my feelings with words, I keep my feelings just pure, All I can give you is a promise, I will keep loving you more & more !

Dard itna ta ke us raat dil wahshi ne..

ہارٹ اٹیک درد اتنا تھا کہ اس رات دلِ وحشی نے ہر رگِ جاں سے الجھنا چاہا ہر بُنِ مُو سے ٹپکنا چاہا اور کہیں دور ترے صحن میں گویا پتا پتا مرے افسردہ لہو میں دھل کر حسنِ مہتاب سے آزردہ نظر آنے لگا میرے ویرانۂ تن میں گویا سارے دُکھتے ہوئے ریشوں کی طنابیں کُھل کر سلسلہ وار پتا دینے لگیں رخصتِ فاصلۂ شوق کی تّیاری کا اور جب یاد کی بجھتی ہوئی شمعوں میں نظر آیا کہیں ایک پل، آخری لمحہ تری دلداری کا درد اتنا تھا کہ اس سے بھی گزرنا چاہا ہم نے چاہا بھی ، مگر دل نہ ٹھہرنا چاہا (فیض احمد فیض

Soz e ghum de ke mjy us ne ye irshad kiya

سوزِ غم دے کے مجھے اس نے یہ ارشاد کیا جا تجھے کشمکشِ دہر سے آزاد کیا وہ کریں بھی تو کن الفاظ میں تیرا شکوہ جن کو تیری نگہِ لطف نے برباد کیا دل کی چوٹوں نے کبھی چین سے رہنے نہ دیا جب چلی سرد ہوا، میں نے تجھے یاد کیا اے میں سو جان سے اس طرزِ تکلّم کے نثار پھر تو فرمائیے، کیا آپ نے ارشاد کیا اس کا رونا نہیں کیوں تم نے کیا دل برباد اس کا غم ہے کہ بہت دیر میں برباد کیا اتنا مانوس ہوں فطرت سے، کلی جب چٹکی جھک کے میں نے یہ کہا، مجھ سے کچھ ارشاد کیا مجھ کو تو ہوش نہیں تم کو خبر ہو شاید لوگ کہتے ہیں کہ تم نے مجھے برباد کیا شاعر جوش ملیح آبادی

Agar Bazm-e-Insan main Aurat na hoti

Agar Bazm-e-Insan main Aurat na hoti Khayaalon ki rangeen janat na hoti Sitaaron ke dilkash fasanay na hotay Bahaaron ki naazuk haqeeqat na hoti Jabeenon pe nor-e-musarrat na khilta Nigaahon pe shan-e-muravvat na hoti Ghataaon ki aamad ko sawan taraste Fizaon main behki Baghawat na hoti Fakeeron ko irfan-e-hasti na milta Aza zahidon ko abaadat na milti Musaafir sada manzilon pe Bhatakte Safeenon ko Sahil ki qurbat na hoti Har ek phool ka rang pheeka sa hota Naseem-e-baharan main nighat na hoti Khudai ka insaf khamosh rehta suna hay kisi ki shafaat na hoti by saghar sadeqi

Tu mere paas nahi per bhi sahar hone tak

Tu mere paas nahi per bhi sahar hone tak tere har sans mere jism ko chu  kr guzra qatra qatra tari dedar ki shabnam tapki lamha lamha tari khushbo se muatar guzra

Negah e shoq se hum ne tumhay ek bar daika ta

نگاہِ شوق سے ہم نے تمہیں ایک بار دیکھا تھا کوئی جذبہ تھا پہلی بار جسے بیدار دیکھا تھا وہ جس کے ہونٹ پر ہر دم سجی مسکان رہتی تھی نجانے کیوں اسے میں نے بڑا بیزار دیکھا تھا روز و شب بدلنے میں بھلا کیا دیر لگتی ہے جو تخت و تاج رکھتے تھے انھیں لاچار دیکھا تھا ہم اپنے دوست دشمن کی خبر جو رکھ نہیں پائے اسی نے وار کر ڈالا جسے غم خوار دیکھا تھا

Khamosh ko keaue dad e jafa keaue nhi dete..

خاموش ہو کیوں دادِ جفا کیوں نہیں دیتے بسمل ہو تو قاتل کو دعا کیوں نہیں دیتے وحشت کا سبب روزن ِزنداں تو نہیں ہے مہر و ماہ و انجم کو بُجھا کیوں نہیں دیتے اک یہ بھی تو انداز ِعلاج ِغم ِجاں ہے اے چارہ گروں درد بڑھا کیوں نہیں دیتے منصف ہو اگر تم تو کب انصاف کرو گے مجرم ہیں اگر ہم تو سزا کیوں نہیں دیتے رہزن ہو تو حاضر ہے متاع ِدل و جان بھی رہبر ہو تو منزل کا پتہ کیوں نہیں دیتے کیا بیت گئی اب کے فراز اہل ِچمن پر یاران ِقفس مجھ کو صدا کیوں نہیں دیتے