Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2011
Raat ke pursakoon lamhoon mein Jab kabhi teri yaad ati hai Us ghardi Khuda-e-barter se Teri Khushioon ki bheek mangta hoon Mein dua goo hoon tere saray ghum Meri kismat mein saray aa jaien Mere hisay ki mumkana Khushiyan Tere hisay mein sari aa jaien.

December Jab bhi ata hai

December Jab bhi ata hai wo pagli... phir se beety mosumo'n ki talkhion ko yad karti ha purana card perhti hai k jis main os ne likha tha Main Lauton ga December main Nai Kapry bnati hai wo sara ghar sjati hai December k her ik din ko wo gin gin ker bit'tati hai junhi 15 guzarti hai wo kuch kuch toot jati hai magar phir bi purani albumo'n ko khol ker mazi bulati hai !!! nahi maloom ye osko k beety waqt ki khushian Bohat takleef deti hain mehaz dil ko jalati hain... yunhi din beet jaty hain December laut jata hai magar wo Khush feham larki... dobara se calendar main December k maheeny k safhy ko mord ker, phir se Phir se December ke sahar main Doob jati hai k akhir os ne likha tha.... Main Lauton ga December main

December ab bhi Tera muntazir Hay .!

December .... ab bhi Tera muntazir Hay .! woh Lamhay........ Soch Ki Dahleez Pay Tehray Hoy hain ! December K mahenay main Hazaroon Saal Pahlay Jab Teray Waday K Honatoon Ne meri Ankhoon Say Behtee Zindagi K Honth Choomay Thay ! meri Bayrang Batoon K Kinaray Tum Nay Kwabon K Sahary or Ashkon K Sitaray Rakh Diye Thay ! aur ....... Hawa Ko apni Chahat Ki Hifazat Kaa Ishara Kar Diya Thaa ! Hawa Ki Khunkiyon main ab Bhi Teri naram batain aahatoon Kaa Jaal Buntee Hian ! Sama'at ....ab Bhee Teray Qahqahon Kaa Shoor Sunti Hay ! Khayal ab Tak Tumhari Ungliyon Say meray Dil K Surkh Ansoo Pochta Hay! Nigahain Baraf K Phelay chamaktay Kenwas Par Jaa-Bajaa Teri Rifaqat Ki Zarorat Paint Karti Hay ! Tehtartay Paniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop Tera Bagair rooti Hay Kahan Hota Hay Too.......?? Muhabat Ki Sulagtei rahguzar K Kinaray Pay December .... ab Bhe Tera muntazir Hay...!!!

Usey kehna December aa gaya hai..

Usey kehna December aa gaya hai.. December k guzartay hi.. Baras ek aur mazi ki ghupa mein doob jaaye ga.. Usey kehna December laut aaye ga.. Magar jo khoon so jaayega jismon mein na jaaye ga.. Usey kehna hawayen sard hain.. Aur zindagi k kohray deewaroN main larzaan hain.. Usey kehna shagoofay tehniyon mein so rahay hain.. Aur un par barf ki chadar bichi hai.. Usey kehna agar sooraj na niklay ga.. To kaisay barf pighlay gi... Usey kehna.. KI... Lot Aaye...!

Manoos Ajnabi Ab k December may

Manoos Ajnabi Ab k December may Main nay bhi kuch khawab sjaye hain apni sard aankho'n may per darr lagta hai kahi yeh meray khawab pghel na jaye Dhoop pernay per....!!

Chandni December ki...

Raat us ney pocha tha Tumko kesi lagti hai Chandni December ki... Saal-o-maah ke baarey may Guftagu key kya maaney Chahey koi manzar ho Dasht ho, samander ho June ho, December ho Dharkano ka har naghma Manzaron pay bhaari hai Saath jb tumhara ho Dil ko ek sahara ho Aisa lagta hai jaisay Ek nasha sa taari hai Lakin uski qurbat mein Kuch nahi kaha mein ney Takti rah gayee mujh ko Chandni December ki

December ab kay aao to...

December ab kay aao to... Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana... Kay jis may jugnoo'n ki kehkashaain jhilmilaati hain... Jahan titlee kay rangoo'n sey fazaain muskuraati hain... Wahan chaaro'n taraf khushboo wafa ki hai... Aur uss ko jo bhi pouron sey Nazar sey chhoo gaya pal bhar Mehek uthaa... December ab kay aao to... Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana... Jahan per rait kay zarey sitaarey hain... Gul-o-bulbul, maah-o- anjum wafa kay istiaarey hain... Jahan dil woo samander hai , jiss kay kaee kinaarey hain... Jahan qismat ki daive muthiyon mein jagmagaati hai... Jahan dhakan ki lay per bey-khudi nagmein sunaati hai... December hum sey na poocho... hamaarey sheher ki baabat... Yahan aankhoun mein guzrey kaarwaan ki gard thehri hai... Labo'n per al-atsh hain, batan mein faaqey pinaptey hein... Muhabbat barff jaisee hai yahaan Aur dhoop kay khaitoun mein ugti hai... Yahan jab subah aati hai Tou shab kay saarey sapney Raakh kay aik dhair ki soorat mein dhaltey h...

Usay kehna DECEMBER lout aya hai..

USAY KEHNA........ usay kehna DECEMBER lout aya hai..... hwayen sard hain ......... aur vaadiyan bhi dhund main gum hain...... paharon ne braf ki shaal phir se ourh rakhi hai....... Sbhi rastay tumhari yaad main pur nam se lagtay hain..... Jinhain sharf e musaafat tha..... wo saray cards,wo perfume,wo chhoti c diary...... wo terris...... wo chaye jo ham ne saath main pee thi..... tumhari yaad lati hain...... Tumhain wapis bulati hain....... usay kehna k dekho yun stao na...... DECEMBER lout aya hai..... suno tum lout ao na......

Ajanabi Khauf Fizaon Men Basa Ho Jaise

Ajanabi Khauf Fizaon Men Basa Ho Jaise sahar ka shahar hi asebzada ho jaise rat ke pichale pahar ati hain avazen si dur sahara men koi chikh raha ho jaise dar-o-divaar pe chai hai udasi aisi aaj har ghar se janaza sa utha ho jaise muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabaab magar dukh to chehare ki lakiron pe saja ho jaise Ahmad Kamal

Phulon Ki Tahaniyon Pe Nasheman Banaye

Phulon Ki Tahaniyon Pe Nasheman Banaye bijali gire to jashn-e-charagan manaye kaliyon ke ang ang men mitha sa dard hai bimar nikahaton ko zara gudgudaye kab se sulag rahi hai javani ki garm rat zulfen bikher kar mere pahalu men aye bahaki hui siyah ghataon ke sath sath ji chahata hai sham-e-abad tak to jaye sun kar jise havas men Thandak si a base aisi koi udas kahani sunaye raste pe har qadam pe Kharabat hain "Adam" ye hal ho to kis tarah daman bachaye

Phulon Ki Arzu Mein Bare Zakhm Khaye Hain

Phulon Ki Arzu Mein Bare Zakhm Khaye Hain lekin chaman ke Khar bhi ab tak paraye hain us par haram hai Gam-e-dauran ki talKhiyan jisake nasib mein teri zulfon ke saye hain mahashar mein le gai thi tabiyat ki sadagi lekin bare Khulus se ham laut aye hain aya hun yad bad-e-fana unako bhi `Adam` kya jald mere sikh pe iman laye hain

Maikada Tha Chandani Thi Main Na Tha

Maikada Tha Chandani Thi Main Na Tha ik mujassam bekhudi thi main na tha ishq jab dam torata tha tum na the maut jab sar dhun rahi thi main na tha tur par chera tha jis ne ap ko vo meri divangi thi main na tha maikade ke moD par rukati hui muddaton ki tashnagi thi main na tha main aur us Gunchadahan ki arazu arazu ki sadagi thi main na tha gesuon ke saye men aram-kash sar-barahana zindagi thi main na tha dair-o-kaba men "Adam" hairat-farosh do jahan ki badzani thi main na tha

Jo Log Jaan Bujh Ke Nadaan Ban Gaye

Jo Log Jaan Bujh Ke Nadaan Ban Gaye mera Khayal hai ki vo insan ban gaye ham hashr men gaye magar kuch na puchiye vo jaan bujh kar vahaan anjaan ban gaye hansate hain ham ko dekh ke arbaab-e-aagahi ham aap ki mizaaj ki pahachaan ban gaye majhdhaar tak pahunchana to himmat ki baat thi sahil ke aas paas hi tufaan ban gaye insaniyat ki baat to itani hai shaikh ji badqismati se aap bhi insan ban gaye kaante bahut the daaman-e-fitarat men ai "Adam" kuch phul aur kuch mere armaan ban gaye

Ap Agar Ham Ko Mil Gaye Hote

Ap Agar Ham Ko Mil Gaye Hote bag men phul khil gaye hote ap ne yun hi ghur kar dekha honth to yun bhi sil gaye hote kash ham ap is tarah milate jaise do vaqt mil gaye hote ham ko ahal-e-Khirad mile hi nahi varana kuch munfail gaye hote us ki ankhen hi kaj-nazar thin "Adam" dil ke parde to hil gaye hote

Suraj Ki Har Kiran Teri Surat Pe Var Dun

Suraj Ki Har Kiran Teri Surat Pe Var Dun dozakh ko chata hun ki jannat pe var dun itani si hai tasali ki hoga muqabala dil kya hai jan bhi apani qayamat pe var dun ik Khvab tha jo dekh liya nind men kabhi ik nind hai jo teri muhabbat pe var dun "Adam" hasin nind milegi kahan mujhe phir kyun na zindagani ko turbat pe var dun

Vo Baten Teri Vo Fasane Tere

Vo Baten Teri Vo Fasane Tere shagufta shagufta bahane tere bas ek zakhm nazara hissa mera bahaaren teri aashiyane tere bas ek daag-e-sajdaa meri qayenat jabinen teri aastane tere zamir-e-sadaf men kiran ka muqaam anokhe anokhe Thikane tere faqiron ka jamaghat ghari do ghari sharaben teri barakhane tere

Apane Khvabon Men Tujhe Jis Ne Bhi Dekha Hoga

Apane Khvabon Men Tujhe Jis Ne Bhi Dekha Hoga Ankh Khulte Hi Tujhe Dhondhane Nikla Hoga Zindagi Sirf Tere Nam Se Mansob Rahe Jane Kitne Hi Dimagon Ne Ye Socha Hoga

Su-e-maikada na jate to kuch aur bat hoti

Su-e-maikada na jate to kuch aur bat hoti Wo nigah se pilate to kuch aur bat hoti Go hava-e-gulasitan ne mere dil ki laj rakh li Wo naqab khud uthate to kuch aur bat hoti Ye baja kali ne khil kar kiya gulasitan muatar Magar ap muskurate to kuch aur bat hoti

Kat Hi Gai Judai Bhi Kab Yon Hua Ke Mar Gaye

Kat Hi Gai Judai Bhi Kab Yon Hua Ke Mar Gaye Tere Bhi Din Guzar Gaye Mere Bhi Din Guzar Gaye To Bhi Kuch Aur Hai Ham Bhi Kuch Aur Hain Jane Vo To Kidhar Gaya Jane Vo Ham Kidhar Gaye

Taj tere liye ik mazahar e ulfat hi sahi

Taj tere liye ik mazahar e ulfat hi sahi tum ko is wadi e rangin se aqidat hi sahi Mere mahabub kahin aur mila kar mujh se! Bazm e shahi may Garibon ka guzar kya mani sabt jis rah pe hon satawat e shahi ke nishan us pe ulfat bhari ruhon ka safar kya mani Meri mahabub pas e parda e tashir e wafa tu ne satawat ke nishanon ko to dekha hota murda shahon ke maqabir se bahalewali apane tarik makanon ko to dekha hota Anaginat logon ne duniya may muhabbat ki hai kaun kahata hai ki sadiq na the jazbe un ke lekin un ke liye tashir ka saman nahi kyun ke wo log bhi apani hi tarah mufalis the Ye imarat o maqabir ye fasilen, ye hisar mutal qulhukm shahanashahon ki azamat ke sutun daman e dahar pe us rang ki gulakari hai jis may shamil hai tere aur mere ajadad ka Khun Meri mahabub! Unhen bhi to muhabbat hogi jinaki sannai ne bakhshi hai ise shakl e jamil un ke pyaron ke maqabir rahe benam o namud aj tak un pe jalai na kisi ne qandil Ye chamanazar ye jamuna ka kinara ye mahal ye munaqqash dar o diwar,...

Sochata hun ki muhabbat se kinara kart lun

Sochata hun ki muhabbat se kinara kart lun dil ko begana e taragib o tamanna kar lun Sochata hun ki muhabbat hai junun e rasawa chand bekar se behuda Khayalon ka hujum ek azad ko paband banane ki hawas ek begane ko apanane ki sai e mauhum Sochata hun ki muhabbat hai surur e masti isaki tanwir may raushan hai faza e hasti Sochata hun ki muhabbat hai bashar ki fitarat isaka mit jana, mita dena bahut mushkil hai sochata hun ki muhabbat se hai tabinda hayat ap ye shama bujha dena bahut mushkil hai Sochata hun ki muhabbat pe kari sharten hain ik tamaddun may masarrat pe bari shart.en hain Sochata hun ki muhabbat hai ik afasurda si lash chadar e izzat o namus may kafanai hui daur e sarmaya ki raundi hui rusawa hasti daragah e mazahab o ikhlaq se Thukarai hui Sochata hun ki bashar aur muhabbat ka junun aisi bosida tamaddun se hai ik kar e zabun Sochata hun ki muhabbat na bachegi zinda

Musawwir main tera shahakar wapas karane aya hun

Musawwir main tera shahakar wapas karane aya hun Ab in rangin rukhasaron may thori zardiyan bhar de hijab alud nazaron may zara bebakiyan bhar de labon ki bhigi bhigi silwaton ko muzamahil kar de numayan rag e peshani pe aks e soz e dil kar de tabassum afrin chehare may kuch sanjidapan bhar de jawan sine ke makhruti uthanen sarnigun kar de ghane balon ko kam kar de, magar rakhshandagi de de nazar se tamkanat le kar mizaj e ajizi de de magar han bench ke badale ise sofe pe bithala de yahan mere bajaye ik chamakati car dikhala de

Apne sine se lagaye huye ummid ki lash

Apne sine se lagaye huye ummid ki lash Muddaton zist ko nashad kiya hai main ne Tu ne to ek hi sadame se kiya tha do char Dil ko har tarah se barbad kiya hai main ne Jab bhi rahon may nazar aye hariri malabus Sard ahon se tujhe yad kiya hai main ne Aur ab jab ki meri ruh ki pahanai may Ek sunasan si magmum ghata chai hai Tu damakate hue ariz ki shuayen lekar Gulshuda shammen jalane ko chali ai hai Meri mahabub ye hangama e tajadid e wafa

Saza ka hal sunaye jaza ki bat karen

Saza ka hal sunaye jaza ki bat karen Khuda mila ho jinhen wo khuda ki bat karen Unhen pata bhi chalen aur wo khafa bhi na ho Is ehatiyat se kya maza ki bat karen Hamare ahad ki tahazib mayqaba hi nahi Agar qaba ho to band e qaba ki bat karen Har ek daur ka mazahab naya khuda lata Karen to ham bhi magar kis khuda ki bat karen Wafashiyar kai hain koi hasin bhi to ho Chalo phir aj usi bewafa ki bat karen

Chand kaliyan nashat ki chunakar

Chand kaliyan nashat ki chunakar muddaton mahw e yas rahata hun tera milana Khushi ki bat sahi tujhase mil kar udas rahata hun

Mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne

Mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne zamane ab to Khush ho zahar ye bhi pi liya main ne Abhi zinda hun lekin sochata rahata hun Khalwat may ki ab tak kis tamanna ke sahare ji liya main ne Unhen apana nahi sakata magar itana bhi kya kam hai ki kuch muddat hasin Khwabon may kho kar ji liya main ne Bas ab to daman e dil chor do bekar ummido bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liya main ne

Mere Khwabon ke jharokon ko sajane wali

Mere Khwabon ke jharokon ko sajane wali tere Khwabon may kahin mera guzar hai ki nahi puchakar apani nigahon se batade mujhako meri raton ki muqaddar may sahar hai ki nahi Char din ki ye rafaqat jo rafaqat bhi nahi umr bhar ke liye azar hui jati hai zindagi yun to hamesha se pareshan si thi ab to har sans giranbar hui jati hai Meri ujari hui nindon ke shabistanon may tu kisi Khwab ke paikar ki tarah ai hai kabhi apani si kabhi Gair nazar ati hai kabhi ikhalas ki murat kabhi harajai hai Pyar par bas to nahi haimera lekin phir bhi tu bata de ki tujhe pyar karun ya na karun tune Khud apane tabassum se jagaya hai jinhen un tamannaon ka izahar karun ya na karun Tu kisi aur ke daman ki kali hai lekin meri raten teri Khushbu se basi rahati hain tu kahin bhi ho tere phul se ariz ki qasam teri palaken meri ankhon pe jhu

Main zinda hun ye mushtahar kijiye

Main zinda hun ye mushtahar kijiye mere qatilon ko Khabar kijiye Zamin sakht hai asaman dur basar ho sake to basar kijiye Sitam ke bahut se hain radd e amal zaruri nahi chashm e tar kijiye Wahi zulm bar e digar hai to phir wahi zulm bar e digar kijiye Qafas torana bad ki bat hai abhi Khwahish e bal o par kijiye

Ap bewajah pareshan si kyon hain madam

Ap bewajah pareshan si kyon hain madam log kahate hain to phir Thik hi kahate honge mere ehabab ne tahazib na sikhi hogi mere mahaul may insan na rahate honge Nur e saramaya se hai ru e tamaddun ki jila ham jahan hain wahan tahazib nahi pal sakati mufalisi hiss e latafat ko mita deti hai bhuk adab ke sanche may nahi Dhal sakati Log kahate hain to logon pe t’ajjub kaisa sach to kahate hain ki nadaron ki izzat kaisi log kahate hain – magar ap abhi tak chup hain ap bhi kahiye Garibon may sharafat kaisi Nek madam! Bahut jald wo daur ayega jab hamay zist ke adawar parakhane honge apani zillat ki qasam, ap ki azamat ki qasam hamako ta’zim ke mear parakhane honge Hamane har daur may tazalil sahi hai lekin hamane har daur ke chehare ko ziya bakhshi hai hamane har daur may mehanat ke sitam jhele hain hamane har daur ke hathon ko hina bakhshi hai Lekin in talkh mubahis se bhala kya

Tumhen udas sa pata hun main kai din se

Tumhen udas sa pata hun main kai din se Na jane kaun se sadame utha rahi ho tum Wo shokhiyan, wo tabassum, wo kahkahe na rahe Har ek chiz ko hasrat se dekhati ho tum Chupa chupa ke khamoshi may apani bechaini Khud apane raz ki tashir ban gai ho tum Meri ummid agar mit gai to mitane do Ummid kya hai bas ek pas o pesh hai kuch bhi nahi Meri hayat ki gamgiinion ka gam na karo Gam hayat e gam yak naqs hai kuch bhi nahi Tum apane husn ki ranaion par raham karo Wafa fareb tul hawas hai kuch bhi nahi

Chalo ik bar phir se ajanabi ban jayen ham donon

Chalo ik bar phir se ajanabi ban jayen ham donon Na main tum se koi ummid rakhun dil nawazi ki na tum meri taraf dekho galat andaz nazaron se na mere dil ki dharakan larakharaye meri baton may na zahir ho tumhari kashmakash ka raz nazaron se Ta`arruf rog ho jaye to us ko bhulana behatar ta`alluq bojh ban jaye to us ko torana achcha wo afsana jise takamil tak lana na ho mumakin use ek khubasurat mor dekar chorana achcha Chalo ik bar phir se ajanabi ban jayen ham donon Tumhen bhi koi ulajhan rokati hai peshakadami se mujhe bhi log kahate hain ki ye jalawe paraye hain mere hamarah bhi rusawaiyan hain mere mazi ki tumhare sath bhi guzari hui raton ke saye hain

Kabhi kabhi mere dil may Khayal ata hai...

Kabhi kabhi mere dil may Khayal ata hai... Ke zindagi teri zulfon ki narm chaon may guzarane pati to shadab ho bhi sakati thi ye tirgi jo meri zist ka muqaddar hai teri nazar ki shuaon may kho bhi sakati thi Ajab na tha ke main begana e alam ho kar tere jamal ki ranaiyon may kho rahata tera gudaz badan teri nim bar ankhen inhin hasin fasanon may maho rahata Pukaratin mujhe jab talkhiyan zamane ki tere labon se halawat ke ghunt pi leta hayat chikhati phirati barahana sar, aur main ghaneri zulfon ke saye may chup ke ji leta Magar ye ho na saka aur ab ye alam hai ke tu nahi, tera Gam, teri justaju bhi nahi guzar rahi hai kuch is tarah zindahi jaise ise kisi ke sahare ki arazu bhi nahi Zamane bhar ke dukhon ko laga chuka hun gale guzar raha hun kuch anjani guzargahon se muhib saye meri simt barate ate hain hayat o maut ke purhaul Kharazaron se

Jab kabhi un ke tawajjo may kami pai gai

Jab kabhi un ke tawajjo may kami pai gai az sar e nawa e dastan e shauq doharai gai Bik chuke jab tere lab phir tujh ko kya shikawa agar zindagani bada o sagar se bahalai gai Ai gam e duniya tujhe kya ilm tere waste kin bahanon se tabiyat rah par lai gai Ham karen tark e wafa achcha chalo yun hi sahi aur agar tark e wafa se bhi na ruswai gai Kaise kaise chashm o ariz gard e gam se bujh gaye kaise kaise paikaron ki shan e zebai gai Dil ki dharakan may tawazzun a chala hai khair ho meri nazaren bujh gain ya teri ranai gai Un ka gam un ka tasawwur un ke shikawe ab kahan ab to ye baten bhi ai dil ho gain ai gai

Hawas nasib nazar ko kahin qarar nahi

Hawas nasib nazar ko kahin qarar nahi main muntazir hun magar tera intazar nahi Hamin se rang e gulistan hamin se rang e bahar hamin ko nazm e gulistan pe ikhtiyar nahi Abhi na cher mohabbat ke git ae mutarib abhi hayat ka mahaul khushgawar nahi Tumhare ahd e wafa ko ahad main kya samajhun mujhe khud apani mohabbat ka aitabar nahi Na jane kitane gile is may muztarib hai nadim wo ek dil jo kisi ka gilagusar nahi Gurez ka nahi qayal hayat se lekin jo soz kahun to mujhe maut nagawar nahi Ye kis maqam pe pahuncha diya zamane ne ki ab hayat pe tera bhi ikhtiyar nahi

Chand maddham hai asman chup hai

Chand maddham hai asman chup hai nind ki god may jahan chup hai Dur wadi may dudhiya badal jhuk ke parbatko pyar karate hain dil may nakam hasaraten lekar ham tera intazar karate hain In baharon ke saye may a ja phir mohabbat jawan rahe na rahe zindagi tere na muradon par kal talak meharaban rahe na rahe Roz ki tarah aj bhi tare subah ki gard may na kho jayen a tere gam may jagati ankhen kam se kam ek rat so jayen Chand maddham hai asman chup hai nind ki god may jahan chup hai

Tera Khayal dil se mitaya nahi abhi

Tera Khayal dil se mitaya nahi abhi bedard main ne tujh ko bhulaya nahi abhi Kal tune muskura ke jalaya tha Khud jise sine a wo charag bujhaya nahi abhi Gardan ko aj bhi tere bahon ki yad hai chaukhat se teri sar ko uthaya nahi abhi Behosh hoke jald tujhe hosh a gaya main badanasib hosh may aya nahi abhi

Tumhari mast nazar agar idhar nahi hoti

Tumhari mast nazar agar idhar nahi hoti nashe may chur fiza is kadar nahi hoti Tumhin ko dekhane ki dil may arazuen hain tamhare age hi aur unchi nazar nahi hoti Khafa na hona agar bar ke tham lun daman ye dil fareb Khata jan kar nahi hoti Tumhare ane talak ham ko hosh rahata hai phir usake bad hamay kuch Khabar nahi hoti

Ye husn tera ye ishq mera

Ye husn tera ye ishq mera Rangin to hai badnam sahi Mujh par to kai ilzam lage Tujh par bhi koi ilzam sahi Is rat ki nikhari rangat ko Kuch aur nikhar jane de zara Nazaron ko bahak jane de zara Zulfon ko bikhar jane de zara Kuch der ki hi taskin sahi Kuch der ka hi aram sahi Jazbat ki kaliyan chunana hai Aur pyar ka tohfa dena hai Logon ki nigahen kuch bhi kahen Logon se hamay kya lena hai Ye Khas ta`alluq apas ka

Wo subah kabhi to ayegi

Wo subah kabhi to ayegi In kali sadiyon ke sar se jab rat ka anchal dhalakega jab dukh ke badal pighalenge jab sukh ka sagar jhalakega jab ambar jhum ke nachega jab dharati nagme gayegi Wo subah kabhi to ayegi Jis subah ki Khatir jug jug se ham sab mar mar ke jite hain jis subah ke amrit ki dhun may ham zahar ke pyale pite hain in bhuki pyasi ruhon par ik din to karam faramayegi Wo subah kabhi to ayegi Mana ke abhi tere mere aramanon ki qimat kuch bhi nahi mitti ka bhi hai kuch mol magar insanon ki qimat kuch bhi nahi insanon ki izzat jab jhuthe sikkon may na toli jayegi Wo subah kabhi to ayegi Daulat ke liye jab aurat ki ismat ko na becha jayega chahat ko na kuchala jayega, izzat ko na becha jayega apani kali karatuton par jab ye duniya sharmayegi Wo subah kabhi to ayegi Bitenge kabhi to din akhir ye bhuk ke aur bekari ke tutenge kabhi to but akhir daulat ki ijaradari ke jab ek anokhi duniya ki buniyad uthai jayegi

Jab bhi do ansu nikal kar rah gaye

Jab bhi do ansu nikal kar rah gaye Dard ke unawan badal kar rah gaye Kitani fariyaden labon par ruk gain Kitane ashk ahon may dhal kar rah gaye Rukh badal jata meri taqadir ka Ap hi tewar badal kar rah gaye Khul ke rone ki tamanna thi hamay Ek do ansu nikal kar rah gaye Zindagi bhar sath dena tha jinhen Do qadam hamrah chal kar rah gaye Tere andaz e tabassum ka fusun Hadise pahalu badal kar rah gaye

Hazar gardish e sham o sahar se guzaren hain

Hazar gardish e sham o sahar se guzaren hain Wo qafile jo teri rahguzar se guzaren hain Abhi hawas ko mayyassar nahi dilon ka gudaz Abhi ye log muqam e nazar se guzaren hain Har ek naqsh pe tha tere naqsh e pa ka guman Qadam qadam pe teri rahguzar se guzaren hain Na jane kaun si manzil pe ja ke ruk jayen Nazar ke qafile diwar o dar se guzaren hain Kuch aur phail gain dard ki kathin rahen Gam e firaq ke mare jidhar se guzaren hain Jahan surur mayyassar tha jam o mai ke bagair Wo maikade bhi hamari nazar se guzaren hain

Nazar may Dhal ke ubharate hain dil ke afasane

Nazar may Dhal ke ubharate hain dil ke afasane Ye aur bat hai duniya nazar na pahachane Ye bazm dekhi hai meri nigah ne ki jahan Bagair shama bhi jalate rahe hain parawane Ye kya bahar ka jauban hai ye kya nashat ka rang Fasurda maikade wale udas maikhane Mere nadim teri chashm e iltafat ki Khair Bigar bigar ke sanwarate gaye hain afasane Ye kis ki chashm e fusunsaz ka karishma hai Ki Tut kar bhi salamat hain dil ke butkhane

Tujh ko ate hi nahi chupane ke andaz abhi

Tujh ko ate hi nahi chupane ke andaz abhi Mere sine may hain larzan teri awaz abhi Us ne dekha hi nahi dard ka agaz abhi Ishq ko apani tamannaon pe hai naz abhi Tujh ko manzil pe pahunchane ka hai dawa hamdam Mujh ko anjam nazar ata hai agaz abhi Kis qadar gosh bar awaz hai khamoshi e shab Koi nala ki hai fariyad ka ka darbaz koi Mere chehare ki hansi rang e shikasta mera Tere ashkon may `tabassum` ka hai andaz abhi

Sau bar chaman mahaka sau bar bahar ai

Sau bar chaman mahaka sau bar bahar ai Duniya ki wahi raunaq dil ki wahi tanhai Har dard e muhabbat se ulajha hai gam e hasti Kya kya hamay yad aya jab yad teri ai Dekhe hain bahut ham ne hangame muhabbat ke Agaz bhi ruswai anjam bhi ruswai Ye bazm e muhabbat hai is bazm e muhabbat may Diwane bhi saudai farzane bhi saudai

Ye kya ke ek jahan ko karo waqf e iztarab

Ye kya ke ek jahan ko karo waqf e iztarab Ye kya ke ek dil ko shakeban na kar sako Aisa na ho ye dard bane dard e lazawal Aisa na ho ke tum bhi mudawa na kar sako Shayad tumhen bhi chain na aye mere bagair Shayad ye bat tum bhi gawara na kar sako Kya jane phir sitam bhi mayassar ho na ho Kya jane ye karam bhi karo ya na kar sako Allah kare jahan ko meri yad bhul jaye Allah kare ke tum kabhi aisa na kar sako Mere siwa kisi ki na ho tum ko justaju Mere siwa kisi ki tamanna na kar sako

Tum meri ankh ke tevar na bhula paoge

Tum meri ankh ke tevar na bhula paoge Ankahi bat ko samajhoge to yad aunga Ham ne Khushiyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe Safah-e-zist ko palatoge to yad aunga Isiandaz men hote the mukhatib mujh se Khat kisi aur ko likhoge to yad aunga Sard raton ke mahakate hue sanaton men Jab kisi phul ko chumoge to yad aunga Ab tere ashk main honthon se chura leta hun Hath se Khud inhen ponchoge to yad aunga Shal pahanayega ab kaun disambar men tumhen

Dayar-e-Gair men kaise tujhe sada dete

Dayar-e-Gair men kaise tujhe sada dete Tu mil bhi jata to tujhe ganva dete Tumhin ne ham ko sunaya na apana dukh varana Dua vo karate ke ham asaman hila dete Hamen ye zom raha ab ke vo pukarenge Unhen ye zid thi ke har bar ham sada dete Vo tera Gam tha ke tasir mere lahaje ki Ke jis ko hal sunate use rula dete Tumhen bhulana hi aval to dastaras men nahin Jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete Tumhari yad ne koi javab hi na diya Mere Khayal ke ansu rahe sada dete Samaton ko main ta umr kosata Syed Vo kuch na kahate magar honth to hila dete

Marun to main kisii chehare mein rang bhar jaaun

Marun to main kisii chehare mein rang bhar jaaun `Nadeem` kaash yahii ek kaam kar jaun Ye dasht-e-tark-e-muhabbat ye tere qurb kii pyaas Jo izaa.N ho to terii yaad se guzar jaun Meraa vajuud merii ruuh ko pukaarataa hai Terii taraf bhii chalun to Thahar Thahar jaun Tere jamaal kaa paratau hai sab hasiinon par Kahan kahan tujhe DhunDhun kidhar kidhar jaun Main zindaa thaa ki teraa intazaar Khatm na ho Jo tuu milaa hai to ab sochataa hun mar jaun Ye sochataa hun ki main butparast kyun na huaa Tujhe qariib jo paun to Khud se Dar jaun Kisii chaman mein bas is Khauf se guzar na huaa Kisii kalii pe na bhule se panvdhar jaun Ye ji mein aati hai taKhliiq-e-fan ke lamhon mein Ki Khun ban ke rag-e-sang mein utar jaun

Kis ko qaatil main kahun kis ko masiihaa samajhun

Kis ko qaatil main kahun kis ko masiihaa samajhun Sab yahan dost hii baiThe hain kise kyaa samajhun Vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqiin hotaa thaa Ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhun Dil jo TuuTaa to kaii haath duaa ko uThe Aise maahaul mein ab kis ko paraayaa samajhun Zulm ye hai ke hai yaqtaa terii begaanaaravii Lutf ye hai ke main ab tak tujhe apanaa samajhun

Lab-e Khaamosh se afshaa hogaa

Lab-e Khaamosh se afshaa hogaa Raaz har rang mein rusvaa hogaa Dil ke saharaa mein chalii sard havaa Abr gulzaar pe barasaa hogaa Tum nahin the to sar-e-baam-e-Khayaal Yaad kaa koi sitaaraa hogaa Kis tavaqqo pe kisii ko dekhe.n Koi tum se bhi hasin kyaa hogaa Ziinat-e-halqaa-e-aaGosh bano Duur baiThoge to charchaa hogaa Zulmat-e-shab mein bhii sharmaate ho Dard chamakegaa to phir kyaa hogaa Jis bhii fankaar kaa shaahakaar ho tum Us ne sadiyon tumhien sochaa hogaa Kis qadar karb se chaTakii hai kalii ShaaKh se gul koi TuuTaa hogaa Umr bhar roye faqat is dhun mein Raat biitii to ujaalaa hogaa Saarii duniyaa hamien pahachaanatii hai Koii ham-saa bhii na tanhaa hogaa

Jab teraa hukm milaa tark muhabbat kar dii

Jab teraa hukm milaa tark muhabbat kar dii Dil magar is pe vo dharhakaa ki qayaamat kar dii Tujh se kis tarah main izhaar-e-tamannaa karataa Lafz suujhaa to maanii ne baGaavat kar dii Main to samajhaa thaa ki lauT aate hain jaane vaale Tuune jaakar to judaaii merii qismat kar dii Mujh ko dushman ke iraadon pe bhii pyaar aataa hai Terii ulfat ne muhabbat merii aadat kar dii Puchh baiThaa hun main tujh se tere kuche kaa pataa Terii haalat ne kaisii terii surat kar dii

Kaun kahataa hai ke maut aaii to mar jaunga

Kaun kahataa hai ke maut aaii to mar jaunga Main to dariya hun samandar mein utar jaungaa Tera dar chhor ke main aur kidhar jaungaa Ghar mein ghir jaunga sahara mein bikhar jaungaa Tere pahaluu se jo uThuu.Ngaa to mushkil ye hai Sirf ik shaKhs ko paunga jidhar jaungaa Ab tere shahar mein aaunga musaafir kii tarah Saayaa-e-abr kii maanind guzar jaungaa Teraa paimaan-e-vafaa raah kii diivaar banaa Varna socha tha ke jab chahunga mar jaungaa Chaaraasaazon se alag hai meraa mayaar ke main ZaKhm khaunga to kuch aur sanvar jaungaa Ab to Khurshiid ko Dube hue sadiyan guzarin Ab use Dhudhane main taa-ba-sahar jaungaa Zindagi shamma ki manind jalata hun `Nadeem` Bujh to jaunga magar subah to kar jaungaa

Gul teraa rang churaa laaye hain gulzaaron mein

Gul teraa rang churaa laaye hain gulzaaron mein Jal rahaa hun bhari barasaat kii bauchhaaron mein Mujh se kataraa ke nikal jaa magar ai jaan-e-hayaa Dil kii lau dekh rahaa hun tere ruKhasaaron mein Husn-e-begaanaa-e-ehasaas-e-jamaal achchhaa hai Gunche khilate hain to bik jaate hain baazaaron mein Zikr karate hain teraa mujh se baaunavaan-e-jafaa Chaaraagar phuul piro laaye hai.n talvaaron mein ZaKhm chhup sakate hain lekin mujhe fan kii saugaundh Gam kii daulat bhii hai shaamil mere shaahakaaron mein Mujh ko nafarat se nahiin pyaar se masluub karo Main to shaamil hun mohabbat ke gunaahgaaron mein

Ab tak to nur-o-niKhat-o-rang-o-sadaa kahun

Ab tak to nur-o-niKhat-o-rang-o-sadaa kahun Main tujh ko chhu sakun to Khuda jane kya kahun Lafzon se un ko pyaar hai mafhuum se mujhe Vo gul kahen jise main teraa naqsh-e-paa kahun Ab justajuu hai terii jafaa ke javaaz kii Jii chaahataa hai tujh ko vafaa aashnaa kahun Sirf is ke liye ke ishq isii kaa zahuur hai Main tere husn ko bhii sabuut-e-vafaa kahun Tuu chal diyaa to kitane haqaaiq badal gaye Najm-e-sahar ko marqad-e-shab kaa diyaa karun Kyaa jabr hai ke but ko bhii kahanaa pare Khudaa Vo hai Khudaa to mere Khudaa tujh ko kyaa kahun Jab mere munh mein merii zubaan hai to kyun na main Jo kuchh kahun yaqin se kahun barmalaa kahun Kyaa jaane kis safar pe ravaan hun azal se main Har intahaa ko ek nai ibtidaa kahun Ho kyun na mujh ko apane mazaaq-e-suKhan pe naaz Gaalib ko kaainaat-e-suKhan kaa Khudaa kahun

Ret se but na banaa ai mere achchhe fan_kaar

Ret se but na banaa ai mere achchhe fan_kaar EK lamhe ko Thahar mai.n tujhe patthar laa dun Main tere saamane ambaar lagaa dun lekin Kaun se rang kaa patthar tere kaam aayegaa SurKh patthar jise dil kahatii hai bedil duniyaa Yaa vo pattharaai hui ankh ka nilaa patthar Jis mein sadiyon ke tahayur ke pare hon Dore Kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii Jis pe haq baat bhii patthar kii tarah giratii hai Ik vo patthar hai jise kahate hain tahaziib-e-safed Us ke mar mar mein siyah Khuun jhalak jaataa hai Ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar Haath mein teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai Jitane mayaar hain is daur ke sab patthar hain Sher bhii raqs bhii tasviir-o-ginaa bhii patthar Mere ilhaam teraa zahan-e-rasaa bhii patthar Is zamaane mein har fan kaa nishan patthar hai Haath patthar hain tere merii zuban patthar hai Ret se but na banaa ai mere achchhe fan_kaar

Shaam ko subah-e-chaman yaad aai

Shaam ko subah-e-chaman yaad aai Kis kii Khushbuu-e-badan yaad aai Jab Khayaalon mein koi mor aaya Tere gesuu kii shikan yaad aai Yaad aaye tere paikar ke Khutuut Apanii kotaahii-e-fan yaad aai Chaand jab duur ufaq par Duubaa Tere lahaje kii thakan yaad aai Din shuaaon se ulajhate guzaraa Raat aai to kiran yaad aai

Wo koi aur na tha chand Khushk patte the

Wo koi aur na tha chand Khushk patte the Shajar se TuT ke jo fasl-e-gul pe roye the Abhi abhi tumhen socha to kuch na yad aya Abhi abhi to ham ek-dusare se bichare the

Zist azar hui jati hai

Zist azar hui jati hai Sans talawar hui jati hai Jism bekar hua jata hai Ruh bedar hui jati hai Kan se dil mein utarati nahin bat Aur guftar hui jati hai Dhal ke nikali hai haqiqat jab se Kuch purasrar hui jati hai Ab to har zakhm ki munhband kali Lab-e-izahar hui jati hai Phul hi phul hain har simt `nadem` Rah dushwar hui jati ha

manzar ke ird-gird bhii aur aar paar dhund

Manzar ke ird-gird bhii aur aar paar dhund aa’ii kahaaN se aaNkh meN ye be-shumaar dhund kaise na us kaa saaraa safar raaygaaN rahe jis kaarvaan-e-shauq kii hai rahguzaar dhund hai ye jo maah-o-saal kaa melaa lagaa hu’aa kartii hai is meN chhup ke meraa intizaar dhund aaNkheN vo bazm, jis kaa nishaaN dolte chiraagh dil vo chaman, ke jis kaa hai rang-e-bahaar dhund kamre meN mere Gham ke sivaa aur kuch nahiiN khirkii se jhaaNktii hai kise baar-baar dhund firdaus-e-gosh thehraa hai mubham saa ko’ii shor nazaargii kaa shah’r meN hai aitbaar, dhund naaTak meN jaise bikhre hoN kirdaar jaa-ba-jaa “Amjad” fizaa-e-jaaN meN hai yuN be-qaraar dhund

Rooh ki baat kary jism ke taiwar daiky

Tarash kar mere bazoo uran chor gaya

Shab guzari ka mujay bhi hunar aya hay koi

شب گزاری کا مجھے بھی ہنر آیا ہے کوئی میرے ماتھے پہ ستارہ ابھر آیا ہے کوئی جیسے اس قافلہِ نم سے کوئی رہ گیا ہو رنج کرتا ہوا دریا اِدھر آیا ہے کوئی میری آنکھوں کا تسلسل تیری آنکھیں ہی نہ ہوں تیری آنکھوں میں بھی روتا نظر آیا ہے کوئی اپنے مہمان کی خاموشی بھی اب توڑ ذرا دیکھ دنیا! تیری آواز پر آیا ہے کوئی یہ بتانا ذرا مشکل ہے کہ دیکھا کیوں ہے میں نے دیکھا ہے جہاں تک نظر آیا ہے کوئی میں بھی خوش ہوں میرے شولے میں تماشا تو ہوا روشنی دیکھ کے مجھ میں اتر آیا ہے کوئی

SHARBATI KAANCH KI TOOTI HU NAAZUK CHOORI.....

SHARBATI KAANCH KI TOOTI HU NAAZUK CHOORI...... aik aanchal say bandha hai sab kuch aik tasweer aur tasweer peh bheegay huye hont aik sandal ki unaabi pencil aik beyrabt ka ukhra hua khat aik adad card jis ko chooney say teri yaad chali aati hai aur is card main rakhi hui akloti palak jis say maanoos duaaon ki mahak aati hai kisi gumnaam say shaair ka adhura misra aik paazaib say bichra hua ujla mauti aik murjhai hui zard chanbali ki kali jis main ab bhi teri zulfon kay bhanwar liptay hain aik boseeda sa question paper jis kay konay peh likha naam abhi taaza hai sharbati kaanch ki tooti hui naazuk choori aik toota hua halka sa gulabi naakhun aik gadla sa tissue paper bhi jis peh mehkay huye ashkon kay nishaan zinda hain yahi daulat hai yahi kuch hai asaasa mera

Kabhi Kabhi Dil Yeh Sochta Hai

Kabhi Kabhi Dil Yeh Sochta Hai Na Jaane Hum Be-Yaqeen Logon Ko Naam Haider Se Rabt Kyun Hai Hakeem Jaane Woh Kaisi Hikmat Se Aashna Tha Shajee' Jaane Kay Badr-o-Khyber Ki Fatah Mandi Ka Raaz Kya Tha Aleem Jaane Woh Ilm Ke Kaun Se Safeenon Ka Na Khuda Tha Mujhy To Bas Sirf Yeh Khabar Hai Woh Mere Maula Ki Khushbuon Mein Racha Basa Tha Woh In Kay Daman-e-Atifat Mein Pala Barha Tha Aur Us Kay Din Raat Mere Aaqa Ki Chashm-e-Abroo-o-Jumbish-e-Lab K Muntazir Thay Woh Raat Ko Dushmanon Ke Narghe Mein So Raha Tha To Un Ki Khatir Jidal Mein Sar Se Paon Talak Surkh Ho Raha Tha To Un Ki Khatir So Us Ko Mehboob Janta Hoon So Us Ko Maqsood Manta Hoon Sa'adtein Us K Naam Se Hain Mohabbaton Kay Sabhi Gharanon Ki Nisbatein Us k Naam Se Hain

Siyaah hijr gaya, zard intezaar gaye

Siyaah hijr gaya, zard intezaar gaye Kissi ka dard gaya dard ke hisaar gaye Udaas raat, khizaan humsafar, safar gumnaam Tere khayal ke mausam humein tho maar gaye Na jaan bharakti hai apni, na raakh hote hain Humein ye kaisi museebat mein tum utaar gaye Ajeeb dushman-e-jaan tha ke bin lare jeeta Ajeeb jung thi hum jis mein haar gaye

Ye Meri Kitaab-e-Hayaat Hai, Isse Dil Ki Aankh Se Parh Zara

Ye Meri Kitaab-e-Hayaat Hai, Isse Dil Ki Aankh Se Parh Zara Main Warq Warq Tere Saamne, Tere Ru-Ba-Ru, Tere Paas Hoon Ye Teri Umeed Ko Kya Hua, Kabhi Tu Ne Ghor Nahin Kiya Kissi Shaam Tu Ne Kaha Tho Tha Teri Saans Hoon Teri Aas Hoon

ab kaanch uthany pr jaain tum hath hamara le jana

ab kaanch uthany pr jaain tum hath hamara le jana jab khud ko tanha pao to tum sath hamara le jana jab samjho jeet muqadar hy or rasty hain dushwar bohat na chahty b tum keh dena be'baak sahara le jana kab sath hamara choota hy na sath hamara chooty ga ik muskurahat apni de jana or jan Hamari le jana

muhabbat hi nahi hy zindagi ka aakhri maqsad

muhabbat hi nahi hy zindagi ka aakhri maqsad muhabbat aag hy jo zindagi ko raakh krti hy bahati hy samundar me hamari zindagani ko urati hy hawaon me hamari hr kahani ko jalati hy hamari zindagi k sab saheefon ko gira deti hy humko phr ksi fanoos ki manind tarapny k sabi manzar theher k dekha krti hy judai k sabhi lamhon me hamare sath hoti hy dikhati hy in ankhon ko nye kuch khwab ye phr se sarabon k sabhi sapny hamari or krti hy labon ko ik nai boli b phir ye daan krti hy nigahon me nye sapny sama kr shaad krti hy zehen ko aagahi k dard se abaad krti hy agr tum bhaagna chaho agr tum loutna chaho to yadon k parindon ko hamare sath krti hy muhabbat hi nahi hy zindagi ka aakhri maqsad muhabbat aag hy jo zindagi ko raakh krti hy

Muhabbat Rooth Jaye To Usay Hathon Main Lelena

Muhabbat Rooth Jaye To Usay Hathon Main Lelena Bohat Hi Pas Kar K Tum Usay Jane Nahi Dena Woh Daman Bhi Churaye To Usay Tum Qasam De dena Dilon K Muamlon Mein To Khataein Ho Hi Jati Hain Tum In Khataon Ko Bahana Mat Bana Lena Muhabbat Rooth Jaye To Usay Jaldi Mana Lena

Muhabbat diary hargiz nahin hai

Muhabbat diary hargiz nahin hai Jis mein tum likho Keh kal kis rang kay kapray pehan'nay hain Kaun si khushboo lagani hai Kis say kya baat kehni, aur kya baat chupaani hai Kahaan kis pair kay saaye talay milna hai? Mil kar poochna hai Kya tumhein mujh say muhabbat hai Yeh farsooda sa jumla hai Magar phir bhi yeh jumla Dareechon, Aanganon, Sarkon, Gali kochon mein, Chobaron mein Chaubaron ki tooti seerhiyon main Har jaga koi kisi say keh raha hai Kya tumhein mujh say muhabbat hai Muhabbat diary hargiz nahin hai Jis mein tum likho Tumhein kis waqt, kis jagha, Kis say milna hai, kis ko chor jaana hai Kahaan per kis tarha ki guftugoo karni hai ya khamoosh rehna hai Kis ke saath kitni door tak jaaana hai aur phir kab laut aana hai Kahaan aankhein milaana hai kahaan palkein jhukaana hain Ya yeh likho keh ab ki baar jab woh milnay aye aga Tu us ka haath apne haath mein lay kar Dhanak chehray pay roshan jagmagati raqs karti uski aankhoon mein utar jeyenge Aur phir gulshan-o-sehra ke beecho...

Tumhyn jo bysabab mjsay

Tumhyn jo bysabab mjsay Khafa hone ki adat hy Ye aghaz-e-judai hy Ke andaz-e-muhabbat hy Wafa k rang mein daikho Jafa achi nahi hotei Kisi se pyar mein itni Ana achi nahi hoti Yeh sb khny k baatein hein Nibhata kon hy inko Chalo ab daikh lety hain Manata kon hy kisko

Bel akhir Ziest k qabel bna hun

Bel akhir Ziest k qabel bna hun Baray mushkil se patar dil bana hun Wo aye hain sra pa -e-jism ban kar Me gbra k mujasma e dil bna hun Yahan maqtool hi tehray hain mujrim yahi kuch soch kr qatel bana dun Bara muhtaat hun mehfil me teri Teri jaanen se so ghafel bana hun Me kha kr tokrein teri gali ki Bara murshed bna kamel bna hun koi Smje ga kya mujko Me khud apne liye mushkil bana hun

hamara dill saweray ka sunehra jaam ho jaye

hamara dill saweray ka sunehra jaam ho jaye chiraghon ki tarah aankhain jlain jb sham ho jaye ujaalay apni yadon k hamaray sath rehnay do na janay kis gali me zindgi ki shaam ho jaye tujhay maloom hy us ka thikana phir kahan ho ga prindaa aasman chhoonay me jab nakaam ho jaye smandar k safar me is tarah hum ko sadaain do hawaain tez hon or kashtiyon me shaam ho jaye

barasti boond chun chun kar koyi gajra bana deyna

barasti boond chun chun kar koyi gajra bana deyna merey haathon main balon main kabhi baarish saja deyna kisi khushboo ka an deykha sa aanchal aurh loon sar sey gulabon kuch lamhey ko tum mujhey apni adaa deyna wo merey haath par honton ko rakhey piyaas ke dukh main issi khaatir haatheli par koyi dariya bana deyna bikharti dhoop sa cherey main behtey aab par dekhon zara paani main apney aks ka manzar milaa deyna main bhar loon haath ka piyalaa sunheri dhoop kirnon sey merey sooraj ko dariya key kinarey par bulaa deyna ussi key haath rakh deyna baharon key sabhi mousam mujhey titli key par dey kar baharon ki duaa deyna meri aankahin jaga key tum jo merey khuwaab parhtey ho suno ! janey sey kuch pehley meri aankhain sulaa deyna

Bus ek baat nahi thi ,sub ka dard decimber tha

بس اک میری بات نہیں تھی، سب کا درد دسمبر تھا برف کے شہر میں رہنے والا اک اک فرد دسمبر تھا پچھلے سال کے آخر میں بھی حیرت میں ہم تینوں تھے اک میں تھا، اک تیرا غم تھا، اک بے درد دسمبر تھا

Hogaye jawan bachy bori ho rahi hay maa

ہو گئے جواں بچے، بوڑھی ہو رہی ہے ماں بے چراغ آنکھوں میں خواب بو رہی ہے ماں روٹی اپنے حصّے کی دے کے اپنے بچوں کو صبر کی ردا اوڑھے،بھوکی سو رہی ہے ماں سانس کی مریضہ ہے پھر بھی ٹھنڈے پانی سے کتنی سخت سردی میں کپڑے دھو رہی ہے ماں غیر کی شکایت پر، پھر کسی شرارت پر مار کر مجھے، خود بھی رو رہی ہے ماں

Sakoot e lub mari baat se bhi zyada hay

سکوتِ لب میری بات سے زیادہ ہے تیرا فراق ملاقات سے زیادہ ہے یہ اک شکست جو ہم کو ہوئی محبت میں زمانے بھر کی فتوحات سے بھی زیادہ ہے

Ye Ghazi, Ye Tere Purisrar Bande

Ye Ghazi, Ye Tere Purisrar Bande Jinhain Tu Ne Bakhsha Hai Zuaq-e-Khudai   Do-Neem In Ki Thoukar Se Sehra-o-Darya Simat Kar Pahar In Ki Haibat Se Ray Do Alam Se Karti Hai Baigana Dil Ko Ajab Cheez Hai Lazzat-e-Ashnayi Shahadat Hai Matloob-o-Maqsood-e-Momin Na Maal-e-Ghanimat Na Kishwar Kushayi Khayaban Mein Hai Muntazir Lala Kab Se Qaba Chahye Iss Ko Khoon-e-Arab Se Kiya Tu Ne Sehra Nasheenon Ko Yakta Khabar Mein, Nazar Mein, Azan-e-Sehar Mein Talab Jis Ki Sadiyon Se Thi Zindagi Ko Woh Souz Iss Ne Paya Inhi Ke Jigar Mein Kushad-e-Dar-e-Dil Samajhte Hain Iss Ko Halakat Nahin Mout In Ki Nazar Mein Dil-e-Mard-e-Momin Mein Phir Zinda Kar De Woh Bijli Ke Thi Na’ara-e-‘LA TAZAR’ Mein Aza’im Ko Seenon Mein Baidar-e-Kar De Nigah-e-Musalman Ko Talwar Kar De!