Skip to main content

Marun to main kisii chehare mein rang bhar jaaun

Marun to main kisii chehare mein rang bhar jaaun
`Nadeem` kaash yahii ek kaam kar jaun

Ye dasht-e-tark-e-muhabbat ye tere qurb kii pyaas
Jo izaa.N ho to terii yaad se guzar jaun


Meraa vajuud merii ruuh ko pukaarataa hai
Terii taraf bhii chalun to Thahar Thahar jaun

Tere jamaal kaa paratau hai sab hasiinon par
Kahan kahan tujhe DhunDhun kidhar kidhar jaun


Main zindaa thaa ki teraa intazaar Khatm na ho
Jo tuu milaa hai to ab sochataa hun mar jaun

Ye sochataa hun ki main butparast kyun na huaa
Tujhe qariib jo paun to Khud se Dar jaun

Kisii chaman mein bas is Khauf se guzar na huaa
Kisii kalii pe na bhule se panvdhar jaun

Ye ji mein aati hai taKhliiq-e-fan ke lamhon mein
Ki Khun ban ke rag-e-sang mein utar jaun

Comments

Popular posts from this blog

Roshni mizajon ka kya ajab muqadar hay

روشنی مزاجوں کا کیا عجب مقدر ہے زندگی کے رستے میں بچھنے والے کانٹوں کو ...راہ سے ہٹانے میں ایک ایک تنکے سے .... آشیاں بنانے میں خوشبوئیں پکڑنے میں ....گلستان سجانے میں عمر کاٹ دیتے ہیں !!!....عمر کاٹ دیتے ہیں اور اپنے حصّے کے پھول .....بانٹ دیتے ہیں کیسی کیسی خواہش ہو قتل کرتے جاتے ہیں ...درگزر کے گلشن میں ابر بن کر رہتے ہیں ...صبر کے سمندر میں کشتیاں چلاتے ہیں یہ نہیں کے ان کو اس روز و شب کی کاہش کا کچھ صلہ نہیں ملتا مرنے والی آسوں کا خون بہا نہیں ملتا زندگی کے دامن میں جس قدر بھی خوشیاں ہیں سب ہی ہاتھ آتی ہیں سب ہی مل بھی جاتی ہیں ....وقت پر نہیں ملتیں !!!!....وقت پر نہیں آتیں یعنی ان کو محنت کا اجر مل تو جاتا ہے لیکن اس طرح جیسے قرض کی رقم کوئی قسط قسط ہو جائے اصل جو عبارت ہو پس نوشت ہو جائے فصل گل کے آخر میں !!!....پھول ان کے کھلتے ہیں ان کے صحن میں سورج !!!....دیر سے نکلتے ہیں

Ye kamyabian ye izzat ye naam tum se hain

Ye kamyabian ye izzat ye naam tum se hain Khuda ne jo bi diya hain maqam tum se hain Tumhare dam se hain mere laho main kilthe ghulab Mere wajood ka sara nizam tum se hain Kahan bisat jahan aur main kamsin wa nadan ye mere jeet ka sab aihtemam tum se hain jahan jahan hain meri dushmani sabab main hoon jahan jahan hain mera aihteram tum se hain

chalo ek kaam karte hein

Chalo ek kaam karte hein phir apnee nazm ko janam tumhare naam karte hein mohabbat naam hai khud ko kisi ke naam kardena wafa kee shahrah pe zindagi kee shaam kardena ye apne aap hee barbad aur abad hoti hai mohabbat har tarha kee qaid se azad hotee hai daleelen lakh dee jaein kabhi qayal naheen hatee mohabbat ke safar mein umr bhee hayel naheen hotee kisi be naam jazbe se kisi khwahish se hotee hai mohabbat abr ka mausam ho to barish se hotee hai waja koi bhi ho kaisa hi mausam ho koi rut ho mohabbat jab hi hojai mohabbat jis se ho jai kabhi dil lag sa jata hai kabhi wahshat si hoti hai mohabbat jab bhi hotee hai usee shiddat se hoti hai chalo ek nazm likhte hain chalo ek kaam karte hai phir apnee nazm ko janam tumhare naam karte hain