Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2020

Aaj Halki Halki Barish Hai

Aaj Halki Halki Barish Hai Aaj Sard Hawa Ka RaQs B Hai Aaj Phool Bhi Nikhrey Nikhrey Hain Aaj Un mein Tera Aks B Hai Aaj Badal Kaley Gehrey Hain Aaj Chand Pe Lakhon Pehrey Hain Kuch Tukrey Teri Yadon Ke Bari Der Se Dil Mein Thehry Hain Aaj Zehan Pe Tum Hi Chaye Ho Aaj YAAD Bohat TUM AAye Ho...............

Mohabbat ki pehli barsi

Mohabbat ki pehli barsi  Mere kamray ki tanhaie  Ye bay tarteeb si cheezein  Qalam ki nok per sokhi hui neeli siyahi aur  Ye bikhray huay kaghaz  Guzishta saal ki meri kahani tum se kehtay hain...!  Agarchay tum nahi ho per  Tumhare aakhri jumlay  Mere kamray ki deewaron se sir takratay rotay hain...!  Ye pichlay saal ka maila calendar ab tak latka  Tumhare chor janay ki  Ta'aluq tor janay ki  Usi tareekh pe thehra  Barabar ashk rota hai........! 

woh shakhs ke main jisse mohabbat nahin karta

woh shakhs ke main jisse mohabbat nahin karta hansta hai mujhe dekh ke, nafrat nahin karta ghar walon ko ghaflat pe sabhi kos rahe hain choron ko magar koi malamat nahin karta daite hain ujaale mere sajdon ki gawahi main chhup ke andheron men ibadat nahin karta bhoola nahin main aaj bhi adaab-e-jawani main aaj bhi auron ko nasihat nahin karta

Maqrooz K Bigray Hue Halaat Ki Manind

Maqrooz K Bigray Hue Halaat Ki Manind Majboor K Honton Pe Sawalaat Ki Manind, Dil Ka Teri Chahat Mein Ajab Haal Hua Hai, Sailaab Se Barbaad Makanaat Ki Manind, Main Un Mein Bhataktay Hue Jugnu Ki Tarah Hun, Us Shakhs Ki Aankhein Hain Kisi Raat Ki Manind, Dil Roz Sajata Hoon Main Dulhan Ki Tarah Se, Gham Roz Chalay Aatay Hain Baraat Ki Manind, Ab Yeh Bhi Nahi Yaad K Kiya Naam Tha Uska, Jis Shakhs Ko Manga Tha Manajaat Ki Manind, Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khuwaish, Masoom Se Bachay Ke Khayalaat Ki Manind, Us Shakhs Se Mera Milna Mumkin Hi Na Tha, Main Pyaas Ka Sehra Hoon Woh Barsaat Ki Manind, Samjhao "MOHSIN" Usko K Ab Reham Karay, Dukh Bant'ta Phirta Hai Woh Soghaat Ki Manind