Skip to main content

Tu Hawa K Hath Pe Chahton K Diya Jalane Ki Zid Na Kr

Tu Hawa K Hath Pe Chahton K Diya Jalane Ki Zid Na Kr

Ye Udas Logon K SHehar He,Yahan Muskrane Ki Zid Na Kr

Main hon doston ka dassa hua mera gham hai had say barha huwa,

Me Shikasta Ghar Ki Misal Hon,Mere Pas Ane Ki Zid N Kr


Me Teri Gazal To Nhe Hon Jo Har Ek K Lab Pe Saja Rahon


Me To Ek Misra'ay Dard Hon Mujhe Gunguna'ne Ki Zid Na kr


U Hi Roshni Ki Talab Me Tu Mery Dil Ko Na De Aziyaten


Jo Ksi K Hijar Me Jal BujHa,Usy Phir Jalane Ki Zid Na Kr

Abhi lout ja, abhi waqt hai,abhi jaanbaqi hai jism mein,

tujhey elam hai main kuch nahi,mujhay aazmany ki zid na kar
 

Comments

Popular posts from this blog

Roshni mizajon ka kya ajab muqadar hay

روشنی مزاجوں کا کیا عجب مقدر ہے زندگی کے رستے میں بچھنے والے کانٹوں کو ...راہ سے ہٹانے میں ایک ایک تنکے سے .... آشیاں بنانے میں خوشبوئیں پکڑنے میں ....گلستان سجانے میں عمر کاٹ دیتے ہیں !!!....عمر کاٹ دیتے ہیں اور اپنے حصّے کے پھول .....بانٹ دیتے ہیں کیسی کیسی خواہش ہو قتل کرتے جاتے ہیں ...درگزر کے گلشن میں ابر بن کر رہتے ہیں ...صبر کے سمندر میں کشتیاں چلاتے ہیں یہ نہیں کے ان کو اس روز و شب کی کاہش کا کچھ صلہ نہیں ملتا مرنے والی آسوں کا خون بہا نہیں ملتا زندگی کے دامن میں جس قدر بھی خوشیاں ہیں سب ہی ہاتھ آتی ہیں سب ہی مل بھی جاتی ہیں ....وقت پر نہیں ملتیں !!!!....وقت پر نہیں آتیں یعنی ان کو محنت کا اجر مل تو جاتا ہے لیکن اس طرح جیسے قرض کی رقم کوئی قسط قسط ہو جائے اصل جو عبارت ہو پس نوشت ہو جائے فصل گل کے آخر میں !!!....پھول ان کے کھلتے ہیں ان کے صحن میں سورج !!!....دیر سے نکلتے ہیں

Ye kamyabian ye izzat ye naam tum se hain

Ye kamyabian ye izzat ye naam tum se hain Khuda ne jo bi diya hain maqam tum se hain Tumhare dam se hain mere laho main kilthe ghulab Mere wajood ka sara nizam tum se hain Kahan bisat jahan aur main kamsin wa nadan ye mere jeet ka sab aihtemam tum se hain jahan jahan hain meri dushmani sabab main hoon jahan jahan hain mera aihteram tum se hain

chalo ek kaam karte hein

Chalo ek kaam karte hein phir apnee nazm ko janam tumhare naam karte hein mohabbat naam hai khud ko kisi ke naam kardena wafa kee shahrah pe zindagi kee shaam kardena ye apne aap hee barbad aur abad hoti hai mohabbat har tarha kee qaid se azad hotee hai daleelen lakh dee jaein kabhi qayal naheen hatee mohabbat ke safar mein umr bhee hayel naheen hotee kisi be naam jazbe se kisi khwahish se hotee hai mohabbat abr ka mausam ho to barish se hotee hai waja koi bhi ho kaisa hi mausam ho koi rut ho mohabbat jab hi hojai mohabbat jis se ho jai kabhi dil lag sa jata hai kabhi wahshat si hoti hai mohabbat jab bhi hotee hai usee shiddat se hoti hai chalo ek nazm likhte hain chalo ek kaam karte hai phir apnee nazm ko janam tumhare naam karte hain