Skip to main content

Ab Jo Bichry Hain To Ehsas Huwa Hay Hum Ko

Ab Jo Bichry Hain To Ehsas Huwa Hay Hum Ko
Dard Kya Hota Ha Tanhai Kisy Kehty Hein..
Char-Soo Goonjti Ruswai Kisy Kehty Hein..
Ab Jo Bichry Hain To Ehsas Huwa Hay Hum Ko

Koi Lamha Ho Teri Yaad Mein Kho Jaty Hein
Ab To Khud Ko Bhi Muyassar Nahi Aa Paty Hein
Raat Ho Din Ho Tere Piyar Mein Hum Behty Hein
Dard Kya Hota Hay Tanhai Kisy Kehty Hein
Ab Jo Bichry Hein To Ehsas Huwa Hay Hum Ko..

Jo Bhi Ghum Aay Usy Dil Pe Saha Karty Thy
Ek Wo Waqt Tha Hum Mil Ke Raha Karty Thy
Ab Akely Hee Zamany K Sitam Sehty Hein..
Dard Kya Hota Hay Tanhai Kisy Kehty Hein
Ab Jo Bichry Hein To Ehsas Huwa Hay Hum Ko..

Hum Nay Khud Apny Hee Rasty Mein Bichaye Kanty
Ghar Mein Phoolon Ki Jaga Lay k Sajaye Kanty
Zakham Is Dil Mein Basaye Huwy Khud Rehty Hain
Dard Kya Hota Hay Tanhai Kisy Kehty Hein
Ab Jo Bichry Hein To Ehsas Huwa Hay Hum Ko..

Yoon To Duniya Ki Her Ek Cheez Haseen Hoti Hay
Piyar Se Barh Ke Magar Koi Nahi Hoti Hay
Rasty Rok K Her Ek Se Yehi Kehty Hein
Dard Kya Hota Hay Tanhai Kisy Kehty Hein
Ab Jo Bichry Hain To Ehsas Huwa Hay Hum Ko
Dard Kya Hota Ha Tanhai Kisy Kehty Hein..
Char-Soo Goonjti Ruswai Kisy Kehty Hein..
Ab Jo Bichry Hain To Ehsas Huwa Hay Hum Ko

Comments

Popular posts from this blog

Roshni mizajon ka kya ajab muqadar hay

روشنی مزاجوں کا کیا عجب مقدر ہے زندگی کے رستے میں بچھنے والے کانٹوں کو ...راہ سے ہٹانے میں ایک ایک تنکے سے .... آشیاں بنانے میں خوشبوئیں پکڑنے میں ....گلستان سجانے میں عمر کاٹ دیتے ہیں !!!....عمر کاٹ دیتے ہیں اور اپنے حصّے کے پھول .....بانٹ دیتے ہیں کیسی کیسی خواہش ہو قتل کرتے جاتے ہیں ...درگزر کے گلشن میں ابر بن کر رہتے ہیں ...صبر کے سمندر میں کشتیاں چلاتے ہیں یہ نہیں کے ان کو اس روز و شب کی کاہش کا کچھ صلہ نہیں ملتا مرنے والی آسوں کا خون بہا نہیں ملتا زندگی کے دامن میں جس قدر بھی خوشیاں ہیں سب ہی ہاتھ آتی ہیں سب ہی مل بھی جاتی ہیں ....وقت پر نہیں ملتیں !!!!....وقت پر نہیں آتیں یعنی ان کو محنت کا اجر مل تو جاتا ہے لیکن اس طرح جیسے قرض کی رقم کوئی قسط قسط ہو جائے اصل جو عبارت ہو پس نوشت ہو جائے فصل گل کے آخر میں !!!....پھول ان کے کھلتے ہیں ان کے صحن میں سورج !!!....دیر سے نکلتے ہیں

Ye kamyabian ye izzat ye naam tum se hain

Ye kamyabian ye izzat ye naam tum se hain Khuda ne jo bi diya hain maqam tum se hain Tumhare dam se hain mere laho main kilthe ghulab Mere wajood ka sara nizam tum se hain Kahan bisat jahan aur main kamsin wa nadan ye mere jeet ka sab aihtemam tum se hain jahan jahan hain meri dushmani sabab main hoon jahan jahan hain mera aihteram tum se hain

chalo ek kaam karte hein

Chalo ek kaam karte hein phir apnee nazm ko janam tumhare naam karte hein mohabbat naam hai khud ko kisi ke naam kardena wafa kee shahrah pe zindagi kee shaam kardena ye apne aap hee barbad aur abad hoti hai mohabbat har tarha kee qaid se azad hotee hai daleelen lakh dee jaein kabhi qayal naheen hatee mohabbat ke safar mein umr bhee hayel naheen hotee kisi be naam jazbe se kisi khwahish se hotee hai mohabbat abr ka mausam ho to barish se hotee hai waja koi bhi ho kaisa hi mausam ho koi rut ho mohabbat jab hi hojai mohabbat jis se ho jai kabhi dil lag sa jata hai kabhi wahshat si hoti hai mohabbat jab bhi hotee hai usee shiddat se hoti hai chalo ek nazm likhte hain chalo ek kaam karte hai phir apnee nazm ko janam tumhare naam karte hain