saanson ki hasrat se pighal jaane ka mausum
aaya hai teri aanch main jal jaane ka mausum
hum ko nahin maloom tha ishq ka aghaz
yaadon main kahin door nikal jaane ka mausum
lagta hai ke chehre pe tere thehar gaya hai
yak lakht kayein rung badal jaane ka mausum
aye shehar tasalli tere mashkoor hain hum
aaya hi nahin ke sambhal jaane ka mausum
yeh shehar-e-tamanna bhi anokha hai ke is per
barsaat main bhi rehta hai thal jaane ka mausum
chehre pe agarche hai mere subah ka ujaala
aankhon main magar shaam ke dhal jaane ka mausum

Comments
Post a Comment