Skip to main content

Posts

Showing posts from September, 2012

Kaash main tere bun-e-gosh mein bunda hota

Kaash main tere bun-e-gosh mein bunda hota Raat ko bekhabri mein jo machal jata main To tere kaan se chup chaap nikal jata main Subha ko girtey jab teri zulfon se baasi phool Mere kho jaaney pe hota tera dil kitna malool Tu mujhe dhoondti kis shoq se ghabrahat mein Apney mahkey huey bistar ki, har ik silwat mein Junhi karteen teri narm unglyaan mehsoos mujhe Milta is gosh ka phir gosha-e-maanoos mujhe Kaan se tu mujhe hargiz na utaara karti Tu meri judaai kabhi na gawaara karti Yoon teri qurbat-e-rangeen ke nashey mein madhosh Umr bhar rehta meri jaan main tera halqa bagosh

Behky behky hooye andaz-e-byan hoty hain

Behky behky hooye andaz-e-byan hoty hain Ap hoty hain to phir hosh kahan hoty hain Hont paband hain mafoom byan hoty hain Koi samjhy to ye Aansu bhi zuban hoty hain Yaad hai teri nigahon ka badalna mujh ko Aisy andaz qyamat mein kahan hoty hain Kyun shab-e-gham na jalaoon teri yaadon k chiragh Un sy roshan meri manzil k nishan hoty hain Gham hai baqi to kisi roz khushi bhi ho gi Phool bhi khaak k pehlu mein jawan hote hain..

Kub Os Ka Visaal Chahye Tha ?

Kub Os Ka Visaal Chahye Tha ????? Bas Ik Khayaal Chahye Tha………….. Kub Dil Ko Jawab Se Garz Thee ???  Honton Ko Sawaal Chahye Tha……. Ek Chehra Saada Tha Jo Ham Ko…. Be Masl-o-Misaal Chahye Tha…….. Ik Qarb Mein Zaat-o-Zindagi Hain.. Mumkin Ko Muhaal Chahye Tha….. Mein Kia Hun Bas Ik Malaal-e-Maazi Os Shaks Ko Haal Chahye Tha………… Hum Tum Jo Bichar Gaye Hain Hum Ko Kuch Din Tou Malaal Chahye Tha.......!!!

mujhe tum yaad aate ho

mujhe tum yaad aate ho khayalon main sawalon main muhabat k hawalon main tumhe awaz deta hon tumhe wapis bulata ho yon khud ko azmata hon koi jab nazam kahta hon use unwan deta ho mujhe tum yaad aate ho chandne k asamne tumhare yaad hole se koi sarghooshe karte ha ye palken bheegjate ha do anso toot girte hain main ankho ko jhukata ho bazahir muskurata hoo fakat itna kahta hoo mujhe kitna satate ho mujhe q yaad aate ho..??

Sooch samajh lena qadam uthane se pehle

Sooch samajh lena qadam uthane se pehle, kahi kho na jao manzil ane se pehle, mukhlis dost se mehroom na ho jao kahi, ye sooch lena usse azmane se pehle, apne daman ko phoolo se sajaye rakhna, phool sare chun lena khazan ane se pehle, tmhare seene bhi dharakta hai ek dil, ye sooch lena kisi ka dil dhukane se pehle, umer bhur koon kiss k liye rota hai aye dost, Loog sirf ansoo bhahate han dafnane se pehle.
Sitaron se kaho Ab raat bhar hum un se baaten kar nahi sakte K ab hum thak gaye Janna..! Humen jee bhar k sona hai Kisi ka raasta takne ka yaara bhi nahi hum ko Musaafir agaya to teek hai lekin Nahi aata to na aaye En ankhon main zara bhi roshni baaki nahi shayed Wagarna teerigi hum ko yun gheere main nhi leti Mager ye sab.. Azal se likha dia tha ,,likhne wale ne Sitaron se kaho behter hai humko bhool he jain Humen araam krna hai Zaroree kaam krna hai..!

saanson ki hasrat se pighal jaane ka mausum

saanson ki hasrat se pighal jaane ka mausum aaya hai teri aanch main jal jaane ka mausum hum ko nahin maloom tha ishq ka aghaz yaadon main kahin door nikal jaane ka mausum lagta hai ke chehre pe tere thehar gaya hai yak lakht kayein rung badal jaane ka mausum aye shehar tasalli tere mashkoor hain hum aaya hi nahin ke sambhal jaane ka mausum yeh shehar-e-tamanna bhi anokha hai ke is per barsaat main bhi rehta hai thal jaane ka mausum chehre pe agarche hai mere subah ka ujaala aankhon main magar shaam ke dhal jaane ka mausum

Dil DhaRakne Ka Sabab Yaad Aay

Dil DhaRakne Ka Sabab Yaad Aaya Wo Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya Aaj Mushkil Tha Sambhalna Ay Dost TU Musibat Main Ajab Yaad Aaya Din Guzra Tha Bari Mushkil Se Phir Tera Waada-e-Shab Yaad Aaya Tera Bhula Hua Paimaan-e-Wafa Mar Rahenge Gar Ab Yaad Aaya Phir Loog Nazar Se Guzre Phir Koi Sheher-e-Tarab Yaad Aaya Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate Laikin Jab Wo Rukhsat Howa Tab Yaad Aaya Baith Kar Saaya-e-Gul Main ‘Nasir’ Hum Bohat Roye Wo Jab Yaad Aaya  

Insha ji Utho ! ab kooch karo, is shahar mein ji kaa lagana kyaa

Insha ji Utho ! ab kooch karo, is shahar mein ji kaa lagana kyaa vahshii ko sukuuN se kyaa matlab, jogii kaa nagar meN Thikaanaa kyaa is dil ke dariidaa-daaman ko dekho to sahii, socho to sahii jis jholii meN sau chhed hue us jholii ko phailaanaa kyaa shab biitii, chaaNd bhii Duub gayaa, zanjiir paRii darvaaze meN kyuN der gaye ghar aaye ho, sajnii se karoge bahaanaa kyaa us husn ke sachche motii ko ham dekh sakeN, par chhuu na sakeN jise dekh sakeN par chhuu na sakeN vo daulat kyaa vo Khazaanaa kyaa us ko bhii jalaa dukhte hue man, ik sholaa laal bhabhuukaa ban yuN aaNsuu ban beh jaanaa kyaa, yuN maaTii meN mil jaanaa kyaa jab sha’hr ke log na rasta dekheN, kyuN ban meN na jaa bisraam kare'N diivaanoN kii sii na baat kare, to aur kare diivaanaa kyaa

meray dil ki hai yehi arzoo mujhay tohi bus mila karay

meray dil ki hai yehi arzoo mujhay tohi bus mila karay yoohi chaahay mujh ko taamam umar na shikaitain na gila karay meri chahtain, meri khwahishain meri zindagi hai teraay liye meri Rab say yehi dua hai bus..tujhay koi na mujh say juda karay meray khwaab meray ye rut jagay meri neend bhi hai teray liye meri zindagi jo bachi hai ab; teray naam is ko khuda karay mujhay zindagi say gila nahi mujay tujh say bus yehi aas hai mai bhi chahoon tujh ko sada yoohi tu wafa karay ya jafa karay ye woh faaslay hain meray sanam jinhay koi bhi na mita saka ye to feslay hain naseeb kay inhay kasay koi mita karay meri zindagi mai khizaan hai bus na bahar kabhi asaki yehi ashq mera naseeb hain koi gul khushi ka khila karay

Andaz ho bahoo teri awaz-e-paa ka tha

Andaz ho bahoo teri awaz-e-paa ka tha. Dekha nikal k ghar se to jhonka hawa ka tha. Utha ajab tazad se insan ka khameer, Aadi fana ka tha to pujari baqaa ka tha. Is rishta-e-lateef k israr kya khulen, Tu samny tha aur tasawar khuda ka tha. Toota tou kitny aaina khano peh zad pari, Atka hua galy men jo pathar sadaa ka tha. Chhup Chhup k roun aur sar-e-anjuman hansoon, Mujh ko ye mashwra mere dard aashna ka tha. Dil raakh ho chuka to chamak aur barh gai, Ye teri yad thi k amal kemiya ka tha. Is husn-e-ittifaq pe lut k bhi shaad hoon. Teri razaa jo thi, wo taqaza wafa ka tha. Heran hoon k daar se kaisy bacha Nadeem, Wo shakhs to ghareeb-o-ghayoor intihaa ka tha.

Mujhay itna pyar na do Baba

Mujhay itna pyar na do Baba, Kal jitna mujhay naseeb na ho, Ye jo maatha chuma kertey ho. Kal is per shikan ajeeb na ho Main jab bhi roti hon Baba Tum ansoo poncha kertey ho Mujhay itni dooor na chor aana Main roun aur tum kareeb na ho Meray naz uthatey ho Baba Meray laad uthatey ho Baba Meri choti choti khwahish per Tum jan lutatey ho Baba Kal aisa na ho ik nagri mein Mein tanha tum ko yaad karon, Aur ro ro ker faryad karon Ay Allah meray Baba sa, Koi pyar jataney wala ho Mera Naz Uthaney Wala Ho..!!!!

Usy kehna Yeh Duniya hai...!

Usy kehna Yeh Duniya hai...! ... ... Yahan Har Shakhs Matlab ki... ... ... Haddon Tak sath chalta hai...! ... ... Jonhi Mausam Badalta hai...! ... ... Muhabbat k Sabhi Daaway...! ... ... Sabhi Qasmein...! Sabhi Waaday...! ... ... Achanak Tout jaty hain...! ... ... Usy kehna...! Yeh Duniya hai...! ... ... Yahan Har Morr pe Apni...! ... ... Sada Ankhen Khuli rakhna...! ... ... Koi Kitna b Acha ho...! ... ... Koi Kitna b Sacha ho...! ... ... Magar Aitbar Mat karna...! ... ... Usy kehna...! Ye Duniya hai...! ... ... Yahan pe Piyar Mat karna..!

Sitaron se kaho

Sitaron se kaho Ab raat bhar hum un se baaten kar nahi sakte K ab hum thak gaye Janna..! Humen jee bhar k sona hai Kisi ka raasta takne ka yaara bhi nahi hum ko Musaafir agaya to teek hai lekin Nahi aata to na aaye En ankhon main zara bhi roshni baaki nahi shayed Wagarna teerigi hum ko yun gheere main nhi leti Mager ye sab.. Azal se likha dia tha ,,likhne wale ne Sitaron se kaho behter hai humko bhool he jain Humen araam krna hai Zaroree kaam krna hai..!

Gurub-e-sham hi se Khud ko yun mahasus karata hun

Gurub-e-sham hi se Khud ko yun mahasus karata hun Ki jaise ik diya hun aur hava ki zad pe rakha hun Chamakati dhup tum apane hi daman main na bhar lena Main sari rat peron ki tarah barish main bhiga hun Koi TuTa hua rishta na daman se ulajh jayai Tumhare sath pahali bar bazaron main nikala hun Yai kis avaz ka bosa mere honThon pe kanpa hai Main pichhali shab sadaon ki halavat bhul baiTha hun Bichhar ke tum se main ne bhi koi sathi nahi DhunDha Hujum-e-rahguzar main dur tak dekho akela hun

Zindagi tujh se mil kar zamana hua

Zindagi tujh se mil kar zamana hua A tujhe aj ham maikade le chalen Rat ke nam honThon ke saGar likhen Apani ankhon men kuchh rat-jage le chalen Kya hassin log hain Ankh ahon ki hain aur lab pankhari In ki araish-e-Khal-o-Khat ke liye Apani ankhon ke ham aine le chalen Ajanabi chehare men dost banate nahi Rishte-naton ki chandi barasti nahi Qurbaten sohabaten jin ki yad ayengi Aise kuchh doston ke pate le chalen Un ki ankhon ne jalate sulagate hue Manzaron ke siva kuchh bhi dekha nahi Chehara-e-afsos ke sakinon ke liye Phul-o-Khushbu saba zam-zamen le chalen Zindagi tujh se mil kar zamana hua

Raqeeb sara nan awrrama ph shar dh yaar kusa ke

Raqeeb sara nan awrrama ph shar dh yaar kusa ke, Muzi dy sa jorr karry andokhar dh yaar kusa ke, Ph sro veno ba sry shi nan dh yaar dh kusey laarey, V jang ba khunarray ph mazigar dh yaar kusa ke, Lh josha ph ghurzang da husaini vena me tan ke, Dera 6 di lakhkarey dh shamar, dh yaar kusa ke, Laman me dh zwanai ph thumatuno bande rang shwa, Zh shuma ph nazar dh hr nazar dh yaar kusa ke, Da gata ph tawaan dagha dastur dy dh azal na, Ph meena ke shi sar 6 warkrri sar dh yaar kusa ke, Har zrrh 6 me gatalo zh dh zrruno gata war wam, Us hair dy maa ~SARDAR~ na daa hunar dh yaar kusa ke.

Ab tou dil ye karta hai

Ab tou dil ye karta hai.. Ek DIn tou aisa hO.... SAath beth KAr RAbb sey HUm DOno DUa mangaiN... EK SAath Jeeney ki.., Ek SaAth MArney KI... ZIndAGI ke raaSton Par SUng sung Chalney kI... AUr jab hum DUa MAngain Apney Meharbaan Rabb seY IS TrAh DUa mangain ke EK HaAth Tera ho ek haath mera hO....

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho, Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho.. Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa, Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho.. Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ?? Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ??? Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay, tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho.. ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ? her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .
Na Mohabbat Na Dosti Ke Liye, Waqt Rukta Nahi Kisike Liye.. Dil Ko Apne Sazaa Na De Yun Hi, Is Zamane Ki Berukhi Ke Liye.. Kal Jawani Ka Hashr Kya Hoga, Soch Aaj Do Ghadi Ke Liye.. Har Koi Pyar Dhundta Hai Yahan, Apni Tanha Zindagi Ke Liye.. Waqt Ke Saath Saath Chlta Chale, Yahi Behtar Hai Aadmi Ke Liye..!!

Kal raat janay kea hua

Kal raat janay kea hua.. Kuch dair pehlay nend sy.. Kuch ashk milnay aa gy.. Kuch khuwab b to0tay huay.. Kuch log b bholay huay.. Kuch rasta bhatke hui.. Kuch gard main lepti hui.. Be'rabt si sochain kaye.. Ek shaks ki yadain kaye.. Phr dair tak jaga rha.. Soch0n main gum betha rha.. Ungli say thanday farsh par.. Ek naam bs likhta rha.. Kal raat he wo raat thi.. Kuch dair pehly nend sy.. Main dair tak ro0ta rha..!!

Tumhari qabr par main Faateha Parhne nhi aya..!

Tumhari Qabr per... Tumhari qabr par main Faateha Parhne nhi aya..! Mujhey Maloom tha, Tum Mer nhi saktey Tumari Maut ki Sachi Khabar Jis ne Uraayi thi, Wo Jhoota tha..! Wo Tum Kab they Koi Sookha hoa Patta, Hawa me Gir ke Toota tha Meri Aankhen... Tumarey Manzaro'n me Qaid hen ab tak Main Jo bhe Dekhta hon...Sochta hon Wo...Wohi hai Jo Tumari Nek-Naami aur Bad-Naami ki Duniya thi Kaheen Kuch bhe Nhi Badla..! Tumarey Hath, Meri Unglion'n me Saans letey hen.. Main Likhney ke ley jab bhe Qalam-Kaghaz Othata hon Tumen Behta hoa main Apni hee Kursi me Pata hon...! Badan me mere, Jitna bhe Lahoo hai Wo Tumari.. Laghzisho'n, Na-kaamiyon ke sath Behta hai Meri Awaz me Chup ker, Tumara Zehan Rehta hai Meri Beemaariyon me Tum Meri La-chaariyon me Tum Tumari Qabar per jis ne Tumara Naam Likha hai Wo Jhoota hai...! Tumari Qaber mein, Main Dafan hon Tum Zinda ho...! Miley Fursat kabhi to.... Faateha Parhne chale Ana...!!!!

manzilain bhi ye shakesta bal o par bhi dekna

منزلیں بھی، یہ شکستہ بال و پر بھی دیکھنا تم، سفر بھی دیکھنا، رختِ سفر بھی دیکھنا حال ِدل تو کُھل چکا اس شہر میں ہر شخص پر ہاں مگر اس شہر میں اک بے خبر بھی دیکھنا راستہ دیں یہ سُلگتی بستیاں تو ایک دیں قریۂِ جاں میں اترنا، یہ نگر بھی دیکھنا چند لمحوں کی شناسائی مگر اب عمر بھر تم شرر بھی دیکھنا، رقص ِشرر بھی دیکھنا جس کی خاطر میں بُھلا بیٹھا تھا اپنے آپ کو اب اسی کے بھول جانے کا ہُنر بھی دیکھنا یہ تو آدابِ محبّت کے منافی ہے عطا روزن ِدیوار سے بیرون ِدر بھی دیکھنا عطا الحق قاسمی

Sham k saaey jo suraj ko chupany niklay

Sham k saaey jo suraj ko chupany niklay, Hum diye le k andheron ko jalany niklay, Aur to kon tha jo jurm-e- baghawat karta, Aik hum hi the jo ye rasm nibhany niklay, Shaher mein, dasht mein, sehra mein bhi tujh ko paya, Aey gham-e-yaar tery kitnay thikanay niklay, Chand Nikla To Main Logo'n Se Lipat Kar Roya, Gham K Aansoo Thay Jo Khushiyon K Bahany Nikley...!!

kabhi mujh ko saath lekar, kabhi mere saath chal kar

kabhi mujh ko saath lekar, kabhi mere saath chal kar woh badal gaye achaanak meri zindagi badal kar huye jis pey meharaban tum koi Khush nasib hoga meri hasaratein to nikalin mere ansuuon mein Dhal ke teri zulf-o-rukh kay qurban dil-e-zaar dhuundhata hai wahi champai ujaale wahi suramai dhundalake koi phool bun gaya hai koi chaand koi taara joh chiraag bujh gaye hain teri anjuman mein jal ke mere dosto khudara mere saath tum bhi dhuundo woh yahin kahin chhupey hain mere ghum kaa rukh badal kay teri bejhijhak hansi say na kisi kaa dil ho mailaa yeh nagar hai aainon kaa yahaan saans le sambhal ke !

Zary Zary se tera zikar bayan hota hay

ذرے ذرے سے ترا ذکر بیاں ہوتا ہے کتنا پر نور و دلکش وہ سماں ہوتا ہے جستو جو بھی کرے اس پہ عیاں ہوتا ہے وہ جو دھڑکن کی طرح دل میں نہاں ہوتا ہے اور جو ملنا ہو تو جبرائیل کے پر جلتے ہیں لا مکانوں سے پرے تیرا مکاں ہوتا ہے ہر کسی کو تیرے ہونے کا دلاتا ہے یقیں ایک اک ذرے میں جو تیرا نشاں ہوتا ہے جس پہ کھل جائیں تری شانِ کریمی کے رموز اس کی تنہائی میں آباد جہاں ہوتا ہے...!!! یاد کرتا ہے اسی وقت یہ خود غرض تجھے جب بھی پڑ جائے مصیبت یا پریشاں ہوتا ہے مجھ پہ احسان ہے ورنہ تو اے ربِ عزت ترا ارمان سے کب ذکر بیاں ہوتا ہے...!!!

Ye ghazai ye tere pur israr bandai

يہ غازی ، يہ تيرے پر اسرار بندے جنھيں تو نے بخشا ہے ذوق خدائی دو نيم ان کی ٹھوکر سے صحرا و دريا سمٹ کر پہاڑ ان کی ہيبت سے رائی دو عالم سے کرتی ہے بيگانہ دل کو عجب چيز ہے لذت آشنائی شہادت ہے مطلوب و مقصود مومن نہ مال غنيمت نہ کشور کشائی

agar yahi haal raha saaqi tere mai khano ka

agar yahi haal raha saaqi tere mai khano ka dhair lag jayega tootey hoye paimaano ka Qehat dunya mai hai ab aise musalmano ka zor jo tor diya karte thai toofano ka  koi khalid haina tariq haina ayyubi na ibn-e-Qasim Rasta saaf hai barhte hoye shaitano ka jisey chaho jahan chaho baha do isko khoon is daur mai sasta hai musalmano ka jinke hotey hoye lut jayen gahreebon k makan wo zalim karte hain wada ROTI,KAPRE aur MAKANO ka.

Wo musaafr Jinhen manzil sy Mohabt hi nhi

Wo musaafr Jinhen manzil sy Mohabt hi nhi, Kia kisi Raah pe do Gaam bi chal sakty hyn? Wo Gulstaan Jinhen Phoolo’n ki zarurat hi nhi, Kia Bahaaron ki Adaaon pe machal sakty hyn? Wo Zamarudd Jinhen Uf’aa sy kadurat hi nhi, Kia kbi Zahr ki Taseer badal sakty hyn? Ghair Mumkin hy magr Mere musalsal Aansu, Geet bn kr meri Aankhon se Ubal sakty hyn.

Manzil ka kahin naam-o-nishaan nahi

Manzil ka kahin naam-o-nishaan nahi Ab tareeq zindagi main koi armaan nahi Teri dariya dilli bhi dekhli ai sangdil katil Masiha banke chhala aur gumaan nahi Hisaab-e-duniya jab khuda ne poocha mujhse Sisak ke main saaket rahi koi bayaan nahi Bujh gaya dil ka deeya saari raat jalte-jalte Shab-o-sehar ki baatein dil main rahi ayaan nahi Munh chupa ke kafan main akhri safar par chali Ai khuda baqsh de tu main nafarmaan nahi Chund phoolon ki mohtaaj thi meri zindagi Daman main kaante hi kaante hai gulistaan nahi

Main Talkhi’e Hayat Se Ghbra K P Gya

Main Talkhi’e Hayat Se Ghbra K P Gya Gham ki Sayah Rat Se Ghbra K P Gya Itni Daqeeq Shay Koi Kese Smjh Sky? Yazdan K Wayat Se Ghbra K P Gya Chalky Hwy Thy Jam Pareshan Thi Zulfe Yar Kch Aise Hadsat Se Ghbra K P Gya Main Admi Hun Koi Frishta Nhi Huzoor Main Aj Apni Zat Se Ghbra K P Gya Dunya’e Hadsat Hy Ik Dard Nak Geet Dnya K Hadsat Se Ghbra K P Gya Kanty To Khair Kanty Hain In Se Gila Hi Kya? Phoolon Ki Wardat Se Ghbra K P Gya SAGHAR Wo Keh Rahy Thy P Lijye Huzoor! Un Ki Guzarishat Se Ghbra K P Gya *.*

Ae Ishq Na Ched Aa Aa Ke Humein

Ae Ishq Na Ched Aa Aa Ke Humein Hum Bhooley Hoon Ko Yaad Na Kar Pehle Hi Bahut Nashad Hai Hum Tu Aur Humein Nashad Na Kar Qismat Ka Sitam Hi Kafi Hai Ye Taza Sitam Iijaad Na Kar Yun Zulm Na Kar Bedaad Na Kar Raaton Ko Uth Uth Kar Rote Hain Ro Ro Ke Dua’ein Karte Hain Aankhon Mein Tasavvur, Dil Mein Khalish Sar Dhunte Hain Aahein Bharte Hain Ai Ishq Ye Kaisa Rogg Laga Jeete Hain Na Zalim Marte Hain In Khwabon Se Yun Azaad Na Kar Jis Din Se Bandha Hai Dhyan Tera Ghabraye Huye Se Rehte Hain Har Waqt Tasavvur Kar Kar Ke Sharmaye Huye Se Rehte Hain Kumhlaye Huye Phoolon Ki Tarah Kumhlaye Huye Se Rehte Hain Pamaal Na Kar Bedaad Na Kar Ae Ishq Humein Barbaad Na Kar Ae Ishq Humein Barbaad Na Kar

Ho chuka ab kisi ka wo

Ho chuka ab kisi ka wo Kabhi meri ZINDAGI tha wo kon bhulta hai PEHLI MUHABBAT Meri sari khushi tha wo Phoolon ki tarha muskurata tha Mere honton Ki hansi tha wo Baad barson dekha tha usay Aaj b utna hi haseen tha wo Zindagi jis k naam kar di Afsos log kehte hain ajnabi tha wo.

Ek TaZa HiKAYET hy sun lo tuo inayet hy

Ek TaZa HiKAYET hy sun lo tuo inayet hy.. Ek shakhs co CHAHA tha apnon ki tarah hum ny ! Ek shakhs co SAMJHA stha, phoolon ki tarah hum ny ! Ek shakhs co DEKHA tha, taaron ki tarah hum ny Wo shakhs QaYamaT tha, kiya uski karen baatein ! Din usi k liye paida , Bus ussi ki thi raatein ! Rang uska sharabi tha! Zulmi shararat mein, lagta b tumhi sa tha ! kya uski kren baaten. PhiR !!! wo ek roz humse, Dastoor -e- mohabat mein ! apnon ki tarah rootha ! phoolon ki tarah TooTA ! khuwaabon ki tarha dooba hum ne tuo boht chaha, wo hum co na mil paya ! tum kis liye chonky ho? tum kis liye chonky ho? kAB ziKr tumhara he, kAB tumse takaza he, kAB tumse shikayat he, BUS !!! EK TaZa , Ek TaZa HiKAYET hy…

Usay kehna! Bazahir to

Usay kehna! Bazahir to hawaein badli badli hein! Chaman bhi badla badla hay! Magar DIL mein! Tumhari yaad ka mosam nahi badla! Teri chahat k phoolon ki! Abhi khushbu nahi bhikhri! Meray ander tumhari zaat ka! Ehsas baqi hay! Tumharay dam se meri zindgi ki! Saans baqi hay! Usay kehna! K mosam to bdaltay rehtay hein yonhi Kabhi mosam badalnay se Ye aankhin nam nahi hoti K teray door janay se, Muhabbat kam nahi hoti.

Irada Jo Bhi Karta Hoon Bil Aakhir Tor Deta Hoon

Irada Jo Bhi Karta Hoon Bil Aakhir Tor Deta Hoon Main Apnay Apko Mushkil Main Tanha Chor Deta Hoon Hunar Ab Aa Gaya Mujhko Wafao'n Ke Parakhnay Ka Dikhaway Ki Har Ek Chahat Main Wapis Mor Deta Hoon Najanay Zid Hai Ye Kaisi Ana Main Aur Mohabbat Main Talluq Torta Hai Wo Main Phir Se Jor Deta Hoon Wo Lamhay Uski Qurbat Ke Mujhay Jab Yad Atay Hain Phir Apnay Sabar Ka Daman Bhi Aksar Chor Deta Hoon Uljhti Hai Kahani Jab Wafao'n Aur Jafao'n Ki Kamal-E-Zabt Se Us Ko Naya Ek Mor Deta Hoon...!!!

Huzoor Aap ka bhi aihteRaam karta chaloon

Huzoor Aap ka bhi aihteRaam karta chaloon Edhar se ghuzra tha soocha salam karta chaloon Nigah-o-Dil ki yahi akheri tamanna hay Tumhari Zulf kay saaye main shaam karta chaloon Unhain yeh zid, keh mujhay daikh kar kisi ko na daikh Mera yeh shooq keh sub say kalaam karta chaloon Yeh meray khwaboon ki Duniya nahin sahi laykin Ab aa gaya hoon to dau din qayaam karta chaloon

Tum Khafa Kyun Ho?

Tum Khafa Kyun Ho? Tumhein Mujhse Gila Kya Hai? Achanak Be-rukhi Itni? Batao Toh HUa Kya Hai, Manaon Kis Tarah Tumko? Mujhe Itna Toh Bata Do, Agar Ab Ho Sakay Tumse, Toh Yeh Ehsaan Kardo, Meri Manzil Hai Muhabbat, Mujhe Manzil Pe Poncha Do, Tumhari Aankh Mein Ansu, Mujhe Achay Nahi Lagtay, Tumharay Naram Honton Pe, Gilay Acchay nahi Lagtay, Tumharay Muskuranay Se, Mera Dil Bhi MUskurata Hai, Tumharay Ruth Janay Se, Mera Dil Toot Jata Hai.....!!!!

Ghussy me jo Nikhra he, Us Husn ka kya kehna!

Ghussy me jo Nikhra he, Us Husn ka kya kehna! kuchh Dair abhi Hum se Tum Yoonhi khhafa rehna! Is Husn k Sho'ly ki Tasveer bna lein Hum, In Garm Nigaahon ko Seeny se laga lein Hum. Pall bhar isi Aalam me Ae Jaan-e-Ada rehna! kuchh Dair abhi Hum se Tum Yoonhi khhafa rehna! Pehly bhi Haseen theen Tum lekin yeh Haqeeqat he, Woh Husn Museebat tha, Yeh Husn Qayaamat he! Samaan-e-Qaza ho Tum, Samaan-e-Qaza rehna! kuchh Dair abhi Hum se Tum Yoonhi khhafa rehna ...!

Aye Ishq Tu ne Tou Rula K Rakh Diya

Aye Ishq Tu ne Tou Rula K Rakh Diya, Puchh Meri Maa Se Kitni LadLi Thi Main..

Kabhi Jo Ehsas Ho Tum Ko Ke Tum Acha Nahin Karte

Kabhi Jo Ehsas Ho Tum Ko Ke Tum Acha Nahin Karte Jo Mujh Ko Yun Rulate Ho Lahoo Mera Jalate Ho Agar Is Aag Main Jal Kar Main Ek Din Raakh Ho Jaun Mujhe Dil Se Bhula Dena Samandar Main Baha Dena Magar Ye Yaad Rakhna Tum Khuda Se Ye Dua Karna! K Jo Acha Lage Tum Ko Wo Tum Jaisa No Ho Hargiz Warna Tum Bhi Rooge Mujhe Jaisey Rulate Ho Kabhi Jo Ehsas Ho Tum Ko….!

Mohabat Ki Yehi Taarif hy

" Mohabat Ki Yehi Taarif hy " * Azal sy hy Mohababt Maavra Lafzo'n ki Maala sy.. Magr ye bhi Haqeeqat hy! Mohabat Soch k Aakhash par Baadal ki Soorat men, Sadaa Parwaz karti hy.. Kabhi Barish k Boondo'n men Simat kar Dil ki Dharti par, Utarti hy...... Bikharti hy.. Adaa ly kar Saba sy ye, Gulabo'n sy ye Mehk ly kar.. Dhanak sy Rang ly kar Or Sitaro'n sy Chamak ly kar, Hasee'n Aanchal Banati hy.. Isi Aanchal sy phir Khwabo'n k Kachy Ghar Banati hy.. Mohabat Aazmati hy.. Kabhi ye Shair Ban kr Lafz ki Hurmat Barrhati hy.. Kabhi Ye Saaz Ban kar Dheery Dheery GunGunati hy....!

Teri aankhein bari gehri

Teri aankhein bari gehri, Bohat hi khoobsoorat hain, Agar ijazat ho... to Mein kuch dair,,, In mein jhank ker dekhon K mujh ko chand ki manind,,, Jheelon mein utarna Lutf deta hai...!!!

Pagal larki

khwab Rehteh The Jo Kabhi Palkon Pe

khwab Rehteh The Jo Kabhi Palkon Pe, Moti Bankar Aankhon Se Gir Gaye, Daav Par Hote Hain Dil O Jaan Yaha, Pyar Ka Yeh Saude Mehenge Pad Gaye, Dhundhle Raaste, Manzil Bhi Anjaani Si, Rukte Kadam Phir Aage Badh Gaye, Na Mili Humeh Manzil Aur Na He Saathi, Hum Yuhe Rahon Per Bhatakteh Reh Gaye, Na Jeet Hui, Na Haari Baazi Humne, Kabhi Khudse, Kabhi Kismat Se Lad Gaye, Na Samjhe Hum Ke Hamari Wafa Ka Anjaam Yeh Kyun Hua, Yuhi Rote, Khade Hum Reh Gaye…

Raat Soyi To Par Nind Meri Aankho Se Door Hi Rahi

Raat Soyi To Par Nind Meri Aankho Se Door Hi Rahi, Palke Band Ki To Thi Par Unme Tumhara Hi Khawab Raha, Na Chahte Huye Bhi Chhaya Raha Muj Par, Tumhari Baato Ka Ek Nasha, Or Dhadkanome Tumhara Hi Nam Gunjata Raha, Har Sans Ke Sath, Jitna Bhi Chaha Tumhari Socho Se Bhagna, Utna Hi Tum Mere Karib Aate Gaye, Tumhari Baato Me Khoti Huyi Ye Diwani, Chupchap Se Piglati Rahi Shama Ke Mom Ki Tarah….

Mera har lafz kehta hai Mujhe Tum se Mohabbat hai

Mera har lafz kehta hai Mujhe Tum se Mohabbat hai. Meri har Saans kehti hai Mujhe Tum se Mohabbat hai. Main jab dekh k Tum ko Naye Duniya basati hon. Ya jab bhi khobsorat khuwobon main Apnay pal betati hon. Mera har khuwab kehta hai Mujhe Tum se Mohabbat hai. Yeh sach hai main kabhi Tum se kuch keh nahi paye. Tum se izhar-e-Muhabbat kabhi kar nahi paye. Mere Hum-Dum Meri Muskan kehti hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.

Teri Talaash Main Mera Wajood Hi Na Raha

Teri Talaash Main Mera Wajood Hi Na Raha.. Tab'ah Kar Gai Meri Has'ti Ko Aarzoo Teri..

Khuda kare ke mohabbat mein woh maqam aye

Khuda kare ke mohabbat mein woh maqam aye, Kisi ka naam loon lab pe tumhara naam aye, Tera pyar mere gesu’yon ki uljhan ho, Tumhare wasty dil ka chiragh roshan ho, Seher-e-nazar se mile zulf leke shaam aye, Mere khayalon ki tasveer hu’bahu ho tum, Mere huzoor nigahon ki aarzu ho tum, Isi tarah se nigah uthey sallam aye, Jahan talak yeh haseen gungunati shaam chale, Nazar nazar se mile, dil se dil ki baat chale, Hamare dil ki tarap kuch to apne kaam aye..

Bekaar hai har aik hunar shart laga le

Bekaar hai har aik hunar shart laga le, Kuch us pe nahi ho ga asar shart laga le, Me shart lagana to nahi chahta lekin, Tu zid hi kiye jaye hai gar shart laga le, Yeh moja-e-khushbu, yeh hawaon ka taranum, Hai us ki yehi raah guzar shart laga le, Ab waqt bohat taiz bohat taiz chale ga, Lamhaat ko lag jayen pe par shart laga le, Jitna bhi tu chahe nazar andaaz kiye ja, Palte gi meri simt nazar shart laga le, Ay jaan_e_wasi kesi ana kesa kesa khasara, Me jaan k haaron tu agar shart laga le

Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha

Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha Har Simt Usi Ka Tazkara Tha Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha Main Us Ki Ana Ka Aasra Tha Woh Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha Main Dhoop K Bina Bhe Jal Raha Tha Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha Us Nay Toh Laboon Ko See Liya Tha Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad Raatoun Ko Tamam Jaghta Tha Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo Baatoun Main Toh Shehad Gholta Tha Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Laikin Woh Meri Ragoon Main Gunjta Tha Us Nay Jo Kaha, Kya Woh Dil Nay Inqaar Ka Kis Main Hosla Tha Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey Masjid Main Chiraagh Jal Raha Tha Mat Pooch Hijaab K Qareenay Woh Mujh Say Bhi Kam Hi Khul Saka Tha Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan Woh Bhi Merey Dil Say Kuch Khafa Tha Main Bhi Tha Dara Hua Sa Laikin Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha Ek Khoof Sa Hijar Ki Rutoon Ka Dono Pay Moheet H...

Meri zindagi mujhe ye bata

Meri zindagi mujhe ye bata muje bhool kar tujhe kya mila Meri hasraton ka hisab de dil tor kar tujhe ka mila Tere char din k pyar se mujhe umr bhar ka gham mila Main toot kar bikhar gaya mujhe tor kar tujhe kya mila Meri zindagi mujhe ye bata meri zindagi mujhe ye bata Mujhe bhool kar tujhe kya mila muje bhool kar tujhe kya mila

Yahi buht hai ke dil usko dhond laya hai

Yahi buht hai ke dil usko dhond laya hai, kisi ke sath sahi wo nazar to aya hai

Na karoon yaad tumhen to neend nahi ati

Na karoon yaad tumhen to neend nahi ati..  Samjh nahi ata raat neend k liye hy,ya teri yaad k liye.
Mery Dard ki jo dvaa kry koi esa shaks hua kry,,, Wo jo be-pnnaah udaas ho magr Hijar ka na gilaa kry... Barhy us ka gum to qraar kho dy wo mery gum k khyal sy Uthen hath apny ley to phr b mery ley he dua kry... Braa shoor hy mery shehar men kisi ajnabi k nazool ka.. Wo meri he JAAN na ho kahen koi kuch to ja k pta kry..!!

Khamoshi bol uthe, to har nazar paighaam ho jaye

Khamoshi bol uthe, to har nazar paighaam ho jaye Ye sannata agar had se badhe to kohraam ho jaye Sitare mashalen le kar mujhe bhi dhoondne niklain Mein rasta bhool jaoon to junglon mein shaam ho jaye Men wo adam-e-guzeda' n hoon jo tanhai k sehra men Khud apni chaap sun kar larza bar-andaam ho jaye Misaal aisi hai is daur-e-khirad k hosh mandon ki Na ho daaman mein zar'ra aur sehra naam ho jaye Shakeeb apne tarruf ke liye ye baat kaafi hai Hum is se bach ke chalte hen jo rasta aam ho jaye...!!

Kisi ko hum sy hen chand shikvaay, kisi ko be-had shikayten hen

Kisi ko hum sy hen chand shikvaay, kisi ko be-had shikayten hen  Hmary hesy men sirf apni safaiyan hen, vazahten hen, Kisi ka maqrooz men nahi par mery gareeban py hath sab k  Koi meri chahton ka dusman ,kisi ko darkaar chahten hen Men dosron ki khushi ki khatir gubaar ban k bikhar gya hon... Magr kisi ny ya haq na mana k meri b kuch zrorten hen....!!!

Udaas shaam kise khawaab main dhali tu hai

Udaas shaam kise khawaab main dhali tu hai Ye he bohat hai k taza hawa chali tu hai Jo apni shaak se bahar abhi nahi aae Nae bahaar ki zamen wahi tu hai Dhoaan tu jhoot nahi boolta kabhi yaroun Hamaray shehar main basti koe jali tu hai Kise k ishq main hum jan se gaey lekin Hamary naam se rasm-e-wafa chali tu hai Hazaar band hon dair-o-haram k darwazay Meray liye meray mehboob ki gali tu hai..!!!

Mera munsif tha koe hukam sonata mujhko

Mera munsif tha koe hukam sonata mujhko main jo mujrim tha tah-e-khaak milata mujko choriye baat muqaddar pe na dalain aisay usko chahat thi tu pher apna banata mujhko eak hasrat se nigahon main utar aae hai aaenay he main kabhi aks dikhata mujhko choor deta ya koe rabt barhata mujh se faisla jo bhe kia tha tu batata mujhko umar gozri hai meri dhoop[ main jaltay jaltay wo kise rooz tu aanchal main chopata mujhko Raaz aankhoun se zara boojh tu halka hota apna gham de k kise rooz rolata mujhko

Mujh ko dhoondh Leta hai nit naye Bahane se

Mujh ko dhoondh Leta hai nit naye Bahane se Dard ho gaya waqif mere har thikaane se Chal dia maseeha bhi dard sonp kar apne Baaz woh nahi aata mujh ko aazmane se Kuch kahen to ruswaai, chup rahen to sodaai Dil nahi nikal paata aise taane baane se Ab nazar nahi uthti us ki bazam main hum par Hum qadar ganwa bethay roz aane jane se Ek gham gusaar diya sath kab talak deta Ho gayi hai khamoshi us ke doob jane se Ek do ki baat nahi an-ginat samaite hain Kab yeh dil sanbhalta hai ek gham bhulane se Sar jhukaye Maazi se khud ko khojta hai koi Or kya milega tumhen is ghareeb khane se Bolo kya maza paaya zindagi se tum ne Khalish Ajnabi rahe khud se, Ajnabi zamane se..

Wo beirada hi sahi, Titlioon mein rehta hai

Wo beirada hi sahi, Titlioon mein rehta hai Ke mera dil to meri muthioon mein rehta hai Mein apne hath se dil ka ghala daba doon gi Mere khilaaf yahi shazishoon mein rehta hai Bacha ke khud ko ghuzrna mahaal lagta hai Tamam shehar mere rastoon mein rehta hai Meri kitaab-e-Mohabbat mein uska ziker nahi Wo khush khayal ghalat fehmioon mein rehta hai

Humien hamraah chalne ka hunar ata to hai lekin

Humien hamraah chalne ka hunar ata to hai lekin Mohabbat mein buhat dushwar hota hai badn sansoon ki hidat se pigltay hoon Magr dil badgumani ke ghubaar alood rastoon per nikal jaien Jahan khawhishien bhi hath maltien hoon nadamat se Inhi besimat lamhoon mein diloon per yeah bhi khul jaye Mohabbat aur samjhote mein kitna farq hota hai Wahien humraah chalne ka hunar dum torde deta hai

Durd itna hai ke her rag mein hai mehshar barpa

Durd itna hai ke her rag mein hai mehshar barpa Aur sakoon aisa ke mar janay ko jee chahta hai

Wiraan Sa Ujjrra Sa Tanha Koi Shakhs

Wiraan Sa Ujjrra Sa Tanha Koi Shakhs Kal Raat Akaile Mein Shayad Kuch Warq Jala Raha Tha.. Uthte Huwe Sholon Mein Khud Bhi Ik Shola Nazar Aa Raha Tha.. Jhatak Raha Tha Sar Woh Aansu Baha Raha Tha.. Aise Mein Kisi Ne Guzarte Huwe Pucha... Pagal! Kitaab Jala Rahe Ho..? Tarap Kar Bola Nahi...Khuwab..

Har Janib Samander Hai

Har Janib Samander Hai Kinaara Q Nahi Milta ??? Mere Dil Yeh Bata Mujh Ko Sahara Q Nahi Milta ??? Mujhe Is Sheher Mein Hazaaron Log Milte Hein Jise Mein Dhondne Nikla Hoon Woh Pyaara Q Nahi Milta ??? *Jise Chaha* *Jise Dekha* *Jise Socha* *Jise Likha* * Mere Khuda Mera Us Se Sitaara Q Nahi Milta ???

Jaan say maar day mujhay laikin

Jaan say maar day mujhay laikin, Chorr janay ka mujh pay zulam na kar

Rait pay thak k gira hoon to hawaa poochti hai

Rait pay thak k gira hoon to hawaa poochti hai,  Aap is dasht main kiyon aye thay wehshat k baghair.