Ek moamma hai samajhne ka, na samjhaane kaa
zindagii kaahe ko hai, Khwaab hai diivaane kaa
khalq kahtii hai jise dil tere diivaane kaa
ek gosha hai yeh duniyaa isii viiraane kaa
dil se poNhchii to hai aaNkhoN meN lahuu kii buundeN
silsila shiishe se miltaa to hai paimaane kaa
hamne chhaanii hai bohat dair-o-haram kii galiyaaN
kahiiN paaya na Thikaana tere diivaane ka
har nafs umr-e-guzishtaa ki hai mayyat Faani
zindagi naam hai mar mar ke jiye jaane kaa

Comments
Post a Comment