wohi galiyaa'n, wohi koochay
wohi sardi ka mausam hay
ussi andaaz main apna nizaam-e-zeest barhum hay
mujhay sub yaad hay..
kuch saal pehlay ka yeh qissa hay..
wohi lamha tao veeraanay ka ek aabaad hissa hay..
kisi nay narm lehjay main
kaii sargoshiyaa'n ki thee'n..
kisi ki narm guftaari nay dil ko loariyaa'n di tee'n
kisi nay meri tanhaaii ka saara karb baanta thaa....
kisi nay raat ki chunri main roashan chaand taanka thaa..
wo jis k honay say zindagi naghma-saraaii hay
ussay kehna....
wo bheegi January phir loat aaii hay......

Comments
Post a Comment