Wo adaye dilbari ho k nawaye ashiqana
Jo dilon ko fatah kerle wohi fatah e zamana
Ye tera jamal e kamil ye shabab ka zamana
Dil e dushmana salamat dil e dostan nishana
Kabhi husn k tabiyat na badal saka zamana
Wohi naz e beniyazi wohi shan e khusruana
Mein hon us maqam per ab k faraq o wasl kese
Mera ishq bhi kahani tera husn bhi fasana
Mere zindagi tu guzari tere hijr k sahare
Mere maut ko bhi pyare koi chahye bahana
Tere ishq ki karamat ye ager nahi tu kya hai
Kabhi be adab na guzra mere pas se zamana
Tere douri o hazori ka hai ajeb alam
Abhi zindagi haqeqat abhi zindagi fasana
Mere hamsafeer e bulbul mera tera sath he kya
Main zameer e dasht o darya, tu aseer e ashiyana
Main woh saaf he na kehdon jo hai farq mujh mein tujh mein
Tera dard dard e tanha, mera gam gam e zamana
Tere dil k toutne per hai kisi ko naz kya kya
Tujhe aey jigar mubarak ye shikast e fatehana !!!
Comments
Post a Comment