Skip to main content

Hawa thami thi zaroor lekin

Hawa thami thi zaroor lekin,
Wo sham jaisay sisak rahi thi,
K zard patton ko andhiyon ne,
Ajib qissa suna dia tha,
K jis ko sun k tamam pattay,
Sisak rahay thay, bilak rahay thay,
Janay kis sanihay k gham mein,
Shajar jaron se ukhar chukay thay,
Bohat talasha tha ham nay tumko,
Har ek rasta,
Har ek waadi,
Har ek parbat,
Har ek ghaati,
Kahin se teri khabar na ayi,
Ye keh k ham nay dil ko taala,
Hawa thamay gi to dekh lain gey,
Ham us k raston ko dhoond lain gey,
Magar hamari ye khush khayali,
Jo ham ko barbad kar gayi thi,
Hawa thami thi zaroor lekin,
Bari hi muddat guzar chuki thi,
Hamaray baalon k jangalon mein,
Sufaid chandi utar chuki thi,
Falak pay taaray nahi rahay thay,
Gulaab pyaray nahi rahay thay,
Wo jin se basti thi dil ki Basti,
Wo log saaray nahi rahay thay,
Ye Almiya sab se baala’tar tha,
K ham tumharay nahi rahay thay,
K tum hamaray nahi rahay thay,
Hawa thami thi zaroor lekin,
Bari hi muddat guzar chuki thi

Comments

Popular posts from this blog

Roshni mizajon ka kya ajab muqadar hay

روشنی مزاجوں کا کیا عجب مقدر ہے زندگی کے رستے میں بچھنے والے کانٹوں کو ...راہ سے ہٹانے میں ایک ایک تنکے سے .... آشیاں بنانے میں خوشبوئیں پکڑنے میں ....گلستان سجانے میں عمر کاٹ دیتے ہیں !!!....عمر کاٹ دیتے ہیں اور اپنے حصّے کے پھول .....بانٹ دیتے ہیں کیسی کیسی خواہش ہو قتل کرتے جاتے ہیں ...درگزر کے گلشن میں ابر بن کر رہتے ہیں ...صبر کے سمندر میں کشتیاں چلاتے ہیں یہ نہیں کے ان کو اس روز و شب کی کاہش کا کچھ صلہ نہیں ملتا مرنے والی آسوں کا خون بہا نہیں ملتا زندگی کے دامن میں جس قدر بھی خوشیاں ہیں سب ہی ہاتھ آتی ہیں سب ہی مل بھی جاتی ہیں ....وقت پر نہیں ملتیں !!!!....وقت پر نہیں آتیں یعنی ان کو محنت کا اجر مل تو جاتا ہے لیکن اس طرح جیسے قرض کی رقم کوئی قسط قسط ہو جائے اصل جو عبارت ہو پس نوشت ہو جائے فصل گل کے آخر میں !!!....پھول ان کے کھلتے ہیں ان کے صحن میں سورج !!!....دیر سے نکلتے ہیں

Ye kamyabian ye izzat ye naam tum se hain

Ye kamyabian ye izzat ye naam tum se hain Khuda ne jo bi diya hain maqam tum se hain Tumhare dam se hain mere laho main kilthe ghulab Mere wajood ka sara nizam tum se hain Kahan bisat jahan aur main kamsin wa nadan ye mere jeet ka sab aihtemam tum se hain jahan jahan hain meri dushmani sabab main hoon jahan jahan hain mera aihteram tum se hain

chalo ek kaam karte hein

Chalo ek kaam karte hein phir apnee nazm ko janam tumhare naam karte hein mohabbat naam hai khud ko kisi ke naam kardena wafa kee shahrah pe zindagi kee shaam kardena ye apne aap hee barbad aur abad hoti hai mohabbat har tarha kee qaid se azad hotee hai daleelen lakh dee jaein kabhi qayal naheen hatee mohabbat ke safar mein umr bhee hayel naheen hotee kisi be naam jazbe se kisi khwahish se hotee hai mohabbat abr ka mausam ho to barish se hotee hai waja koi bhi ho kaisa hi mausam ho koi rut ho mohabbat jab hi hojai mohabbat jis se ho jai kabhi dil lag sa jata hai kabhi wahshat si hoti hai mohabbat jab bhi hotee hai usee shiddat se hoti hai chalo ek nazm likhte hain chalo ek kaam karte hai phir apnee nazm ko janam tumhare naam karte hain