Skip to main content

Posts

Showing posts from October, 2011

zindagi se yahi gila hai mujhe

zindagi se yahi gila hai mujhe tu bahaut der se mila hai mujhe humsafar chaiye,hujum nahin ek musafir bhi kafila hai mujhe dil dhadakata nahin sulagata hai wo jo khwahish thi aabila hai mujhe labkusha hoon to is yakeen ke saath katl hone ka hausila hai mujhe kaun jane ke chahtaon pe faraz kya gavaya hai kya mila hai mujhe

zindagi se Darte ho ?

zindagi se Darte ho  zindagi to tum bhi ho, zindagi to hum bi hain  aadami se Darte ho  aadami to tum bhi ho aadami to ham bhi hain  aadami zuban bhi hai, aadami bayaan bhi hai  is se tum nahin Darte  harf aur mani ke rishte haye aahan se aadami hai vaabasta  aadami ke daaman se zindagi hai vaabastaa  is se tum nahin Darte  ankahi se Darte ho  jo abhi ai nahin us ghadi se Darte ho  us ghadi ke aane ki aaghi se Darte ho  pahale bhi to guzare hain  daur naarasaai ke, beriyaa, Khudaai ke  phir bhii ye samajhate ho, hech aazaruumandi  ye shab zubaan bandii, hai rahe Khudaabandii tum yahii samajhate ho, tum magar ye kyaa jaano  lab agar nahin hilate haath jaag uThate hain  haath jaag uThate hain raah kaa nishaan ban kar  nur ki zubaan ban kar  haath bol uThate hain subah ki azaan ban kar  roshani se Darte ho  roshani to tum bhi ho, roshani to ham bhi hain  roshani se Darte ho  s...

Hijr lazim hay to per wasal ka wada kaisa

Hijr lazim hay to per wasal ka wada kaisa Yun khazan rut pe baharon ka libada kaisa Zakhm de kar tu na tum dard ki shidaat pocho Dard to dard hay kam kaisa zyda kaisa

Tum kya jano..?? Karb-e-Tanhai

Tum kya jano..?? Karb-e-Tanhai K tum tou khoye ho mehfilon main Tumhey khabar hi kahan hai meri..?? K kis Azziyat main mubtila hoon Zara sa dekho ae bey khabar tum K Yaad-e-Maazi Barha rahi hain ye Karb mera Magar tumhe kya..?? K tum tou chahat ki waadiyon sey guzar chukey ho Naye jahan main puraney rishtey bhula chukey ho Magar main ab bhi wahiin khari hoon jahan pey chora tha sath tum ney

Yaad-e-maazi main jo ankhon ko saza di jaye

Yaad-e-maazi main jo ankhon ko saza di jaye is say behtar hai k har bat bhula di jye  jis sy thori si bhi umeed zyda ho kabhi aisi har shama sar-e-sham jala di jaaey main nay apnon k rawayyon say ye mehsoos kya dill k angan main bhi diwar utha di jaye main nay yaron k bicharnay say ye seekha "Mohsin" apny dushman ko bhi jeny ki dua di jaye..

Judae dene waly Tum se umeed e wafa kasi

Judae dene waly Tum se umeed e wafa kasi Taaluq toot jaye jub Mohaabat rot jaye jub Tu per rasm e wafa kasi Milan ki iltija kasi Banwar me dobti kishti pe Sahil ke tamana kya Okarte sans hon to Zindagi ke arzoo bhi kya Jo manzil ko chuki hy Us ke per se justujo bhi keaue? Magar dil ne tmhy kis waste se yad rakka hay Tumhy keaue shairi me ajj tak Abad rakka hay Abhi tak me ne keaeu khud ko Buht barbad rakka hay Hawa ke dosh pe keaeu Nahgma e faryad rakka hay Judae dene waly Ashnae ke qasm tum ko Tumhari bewafi Kaj adae ke qasm tum ko Mjy itna bata dena Wafa ki chahaton ki Mashaalan kasy bujate han Nishan kaisay metaty han Bulana ho jinko Bala kaisy bulatay han??

The most beautiful music in the world

The most beautiful music in the world is ur"own heartbeat".. it gives an assurance that u'll survive even when the whole world leaves u ALONE!!

kia bohat zaroori hai...!!

kia bohat zaroori hai...!! Khwab posh aankhon main, Aansoun ka Bhar jana... Hasr'ton k sahil per, Tit'liyon ka Marr jana... Habss ki hawaoun main Khushboun ka Darr jana... Dil k garm sehra main Hashr hi Bapa hona... Dard e la-dawa Hona... Kya bohat Zuroori hai... Ab tera juda Hona...???

Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati.

Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati.. Yadoon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati.. Ab Umar' Na Mosam' Na Woh Rasty Keh Palat-Tay.. Iss Dil Ki Magar Kham Khiyali Nahe Jati.. Aya Koi Aaker Ya Tere Dard Sambhaley.. Hum Sai To Yeh Jageer Sambhali Nahi Jati.. Malum Humay Bhe Haan Bohat Se Tery Qisay.. Har Baat Teri Hum Sai Uchali Nahe Jati.. Humrah Tere Phool Khilati Thii' Jo Dil Mein.. Abb Sham Woh Dard Se Khali Nahe Jati.. Hum Jaan Sai Jayan Ge Tabhi Baat Banay Gi.. Tum Se Tou Koi Rah Nikali Nahi Jati..

Hawa thami thi zaroor lekin

Hawa thami thi zaroor lekin, Wo sham jaisay sisak rahi thi, K zard patton ko andhiyon ne, Ajib qissa suna dia tha, K jis ko sun k tamam pattay, Sisak rahay thay, bilak rahay thay, Janay kis sanihay k gham mein, Shajar jaron se ukhar chukay thay, Bohat talasha tha ham nay tumko, Har ek rasta, Har ek waadi, Har ek parbat, Har ek ghaati, Kahin se teri khabar na ayi, Ye keh k ham nay dil ko taala, Hawa thamay gi to dekh lain gey, Ham us k raston ko dhoond lain gey, Magar hamari ye khush khayali, Jo ham ko barbad kar gayi thi, Hawa thami thi zaroor lekin, Bari hi muddat guzar chuki thi, Hamaray baalon k jangalon mein, Sufaid chandi utar chuki thi, Falak pay taaray nahi rahay thay, Gulaab pyaray nahi rahay thay, Wo jin se basti thi dil ki Basti, Wo log saaray nahi rahay thay, Ye Almiya sab se baala’tar tha, K ham tumharay nahi rahay thay, K tum hamaray nahi rahay thay, Hawa thami thi zaroor lekin, Bari hi muddat guzar chuki thi

Main Is Ummeed Pe Dooba Ke Tu Bacha Lega

Main Is Ummeed Pe Dooba Ke Tu Bacha Lega Ab Iske Baad Mera Imtehaan Kya Lega Yah Ek Mela Hai Waada Kisi Se Kya Lega Dhalega Din To Har Ek Apna Raasta Lega Main Bujh Gaya To Hamesha Ko Bujh Hi Jaaonga Koi Chiraag Nahi Hoon Ke Phir Jala Lega Kaleja Chaahiye Dushman Se Dushmani Ke Liye Jo Be-Amal Ho Wo Badla Kisi Se Kya Lega Main Uska Ho Nahi Sakta, Bata Na Dena Use Sunegaa To Lakiren Haath Ki Apne Woh Sab Jala Lega Hazaar Tod Ke Aa Jaaon Us Se Rishta Wasim Main Jaanta Hoon Wo Jab Chaahega Bula Lega

Hum jo toote to is tarah toote

Hum jo toote to is tarah toote jaise hathon se girr k pathar par koi shafaaf aaiina toote jaise palkon se toot tha aansoo jaise seene main ik kamaan toote jaise umeed ki nazuk daali barg mosam main na gahaan toote jaise aankhon main khwab ki doori waqt e takmeel se ulajh jaye jaise pairon tale zameen nikle jaise sar par yeh asmaan toote jaise ik shaakh pe bharosa kia is pe jitne thay aashiyaan toote jaise wehshat se hosh aa jaye jaise ta dair main dheyaan toote ab jo raiza howay to sochte hain kis nay dekha tha tootna apna hum jo toote to raayegaan toote

Usey barishon ne chura lia, K woh badlon ka makeen tha

Usey barishon ne chura lia, K woh badlon ka makeen tha kabhi murr k ye bhi to daikhta k wajood mera zameen tha Wohi aik sach tha k is k baad sari tohmatain jhoot hain Meray dil ko poora yakeen hy wo Muhabatoon ka ameen tha Usy shoq tha k kisi jazeeray py us k naam ka phool ho Mujhay pyaar krna sikha gya mera dost kitna zaheen tha Kabhi sahiloon py phiro gy tu tumhain sipiyaan ye bataain gi Meri aankh mein jo simat gya wo ashk sb sy haseen tha

Mein Nay Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan

Mein Nay Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan ……..! Jaisy Mahtab Ko Bayant Samandar Chahy…….! Jaisy Soraj Ki Kiran Seep K Dil Mein Utray……! Jaisy Khushbo Ko Hawa Rang Say Hat Kar Chahy…….! Jaisy Pathar K Kalejay Say Kiran Phoot'ti Hai……… Jaisy Ghunchy Khuley Mousam Say Hina Mangty Hein… Jaisy Khwabon Me Kheyalon Ki Kaman Toot'ti Hai….. Jaisy Barish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hein….. Mera Her Khwab Mere Sach Ki Gawahi De Ga…….. Wusa'at E Deed Ne Tujh Se Teri Khwahish Ki Hai…….. Meri Sochon Me Kabhi Dekh Sarapa Apna……….!!! Mein Ne Dunya Se Alag Teri Parastish Ki Hai………!!! Khahish E Deed Ka Mousam Jo Kabhi Dhundla Howa Noch Dali Hein Zamano Ki Naqabein Mein Nay…….. Teri Palkon Pe Otarti Hue Subhon K Liye…. Torr Dali Hein Sitaroon Ki Tanabein Mein Nay…. Mein Ne Chaha K Tere Husan Ki Gulnar Fiza…. Meri Ghazalon Ki Qataron Se Dehakti Jaey…. Mein Ne Chaha K Meray Fun K Gulistan Ki Bahar…. Teri Ankhon K Gulabon Se Mehakti Jaey…. Teh to Ye Tha K Sajata Rahy Lafzon K Kanwal!! Mere Khamosh ...

kabhii Aey haqiiqat-e-muntAzir nazar a liibAs-e-majaz meiN

kabhii aey haqiiqat-e-muntAzir nazar a liibas-e-majaz mein  k hazar0n sajde tarap rahe hain teri jabin-e-niyaaz Mein  Tarab ashna-e-kharosh ho tu nawa hai mahram-e-g0Sh ho  wo suRur kya k chaya hua ho sukut-e-paRda-o-saaz meiN  tu bacha bacha k na rakh ise tera aiina hai wo aiina  k shikaSta ho to aziiz tar hai nigah-e-Aiina-saaz mein  dam-e-tauf kar mak-e-shsmma na ye kaha ke wo asr-e-kohan  na terii hikayat-e-soz mein na meri hadiis-e-gudaz mein Na kahin jahan mein Aman mili j0 Aman mili to kahan mili  mere jurm-e-khana kharab ko tere Afv-e-bana-nawaz mein na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan  na wo gaznawi mein tarap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein  J0 main sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se aany lagi sada  tera dil to hai sanam-aashana tujhe kya milega namaz mein

WO CHAND RAATON KI CHANDNI KO, JO HAM NE JAANA TO BEWAFAI

WO CHAND RAATON KI CHANDNI KO, JO HAM NE JAANA TO BEWAFAI UDAS ANKHON MAIN ROSHNI DI, MILI JO HAM KO TO BEWAFAI MILA WO JB BHI MILA NA MIJH SE, KHIZA K PATON K KAFILON SA JO ABR MANGA TO ABR BAKSHA, SILA HAMARA TO BEWAFAI JO WAQT KI DASTARAS SE NIKLAY, TO ISHQ KI SARZAMEN PE AAE CHALE THE HANS KR JO MERI PALKON PE, CHAL KE DEKHA TO BEWAFAI WO HE PARI TO PARE RAHE PHR, YAHAN HUMAIN KYN SATATI HE PHR? USAY TO JANA HAY BECH PARIYON KAY, MIJHKO DEGI TO BEWAFAI KISI NE KAB YE KAHA HE KIS SE, K ZINDAGI TO HASEEN RUT THI MIJHE BHI DEKHO ZMANAY SARAY KO, BANT-TA HON TO BEWAFAI WO PHOL KALIYAN WO CHAND JUNGNO, WO RUNG E MEHFIL WO MARMARI SA UDHAR LENE TO HM BHI POHNCHAY, JO JHOLI DEKHI TO BEWAFAI KAHAN KI LAILA WO KON MAJNU, KAHANI ACHI SUNAI TUMNE MAGAR JO SAMJHO YE ISHQ WALON K, BECH MAIN THI TO BEWAFAI KAHA JO GHALIB NE EK GHAZAL MAIN, K JAO WO BEWAFA HI TEHRA ANA SE MAJBOR HO K JEETA, MILI BHI USKO TO BEWAFAI HAR EK KI QISMAT MAIN BEWAFAI, LIKHI KE SHAYAD KAHEN BHI DEKHO WO GIRTAY PATON KO ...

Meri Maut Hai Meri Hamsafar Meri Zindagi Bhi Ajeeb Hai

Meri Maut Hai Meri Hamsafar Meri Zindagi Bhi Ajeeb Hai Meray Charo'n Tarrf Hai Jalwa Garr Teri Be Rukhi Bhi Ajeeb Hai Mera Dard Hai Lab E Aashna Teri Ranjisho'n K Azaab Say Meray Shair Hain Meray Chara Garr Meri Dil Lagi Bhi Ajeeb Hai Jo Hai Ta'ana Zann Meri Zaat Par Mujhay Unsay Koi Gila Nahee'n Mujhay Jaan Say Hain Azeez Tarr Meri Dosti Bhi Ajeeb Hai Mai Lahoo Jigar Say Guzar Kar, Tujhay Naql Karta Hoo'n Warq Warq Hai Qalam Ki Nauk Say Mukhtasar Teri Aagahee Bhi Ajeeb Hai Mai Peher Ki Tapti Hawao'n Say, Karhi Dhoop Mai Kharha Be Khabar Saray Reh-Guzar Tera Muntazar, Meri Be Basi Bhi Ajeeb Hai

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hia

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hia K jese tujh ko banaya gaya hai mere lye Tu ab se pehle sitaron mian bas rahi thi kahin Tujhay zameen pe bulaya gaya hai mere lye Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai K ye badalti nigahen mere amanat hain Ye geso’on ki ghani chaon hain mere khatir Ye hont or ye banhen mere amanat hain Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai K jese bajti hai shehnaiyan se rahon main Suhaag raat hai ghonghat utha raha hon main Simat rahi hai tu sharma k apni bahon main Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai K jese tu mujhay chahe gi umer bhar yun hi K lute gi mere taraf pyar ki nazar yun hi Main janta hon tug her hai magar yun hi Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai

Sakoot-e-Sham main goonji sada udasi ki

Sakoot-e-Sham main goonji sada udasi ki K hai mazeed udasi dawa udaasi ki Amoor-e-Dil main, Kisi teesre ka dakhal nahi Yahan faqat tere chalti hai ya udaasi ki Bohat shareer tha main or hansta phirta tha Phir ik faqeer ne de di dua udaasi ki Chiragh-e-Dil ko zara ehtiyaat se rakhna K aaj raat chale gi hawa udaasi ki Bohat Dino se mulakaat hi nahi "Mohsin" Kahin se kher khabar le k aa udassi ki

Wo jo ek khwaab si raat te ..

Gham e dauraan ne bhi seekhe hain gham e jaana k chalan

Gham e dauraan ne bhi seekhe hain gham e jaana k chalan wohi sochi huwi chaalein , wohi be sakhta pan wohi iqrar mein inkar k lakhoon pehlu wohi honton pe tabassum wohi abruu pe shikan kis ko dekha hai k pindar e nazar k ba wasaf ik lamhe k liye ruk gayee dil ki dharkan kon si fasal mein is baar millay hain tujh se k na parwa e giraibaan hai na fikr e daman ab to chubhti hai hawa baraf k maidaanon ki un dinon jism k ehsas se jalta tha badan aisi sooni to kabhi sham e ghareeban bhi na thi dil bujhe jate hain aye subha e tairgy e watan

Koi dewar rehne do faqat ezhar karne do..

کوئی دیوار رہنے دو فقط اظہار کرنے دو سفر میں ساتھ چل کر بھی ہمیں اُس پار رہنے دو نہ آنکھوں میں سماؤ تم نہ ہم کو خاک ہونے دو نہ ترسیں تیری قربت کو ہمیں بے باک رہنے دو ہمیں اشعار میں لکھو مگر نہ گنگناؤ تم کتابوں میں کہیں رکھ کر ہمیں پھر بھول جاؤ تم سنو تم سے یہ کہنا ہے سفر میں دھول ہونے تک کوئی بھی بھول ہونے تک مجھے تم مانگ لینا بس دعا مقبول ہونے تک

Aa Ja K Abhi Zabt Ka Mausam Nahi Guzra

Aa Ja K Abhi Zabt Ka Mausam Nahi Guzra Aa Ja K Paharron Pe Abhi Baraf Jammi Hai Khusboo K Jazeeron Se Sitaaron Ki Haddon Tak Is Shehar Mein Sab Kuch Hai Bas Ek Teri Kammi Hai

Na wajood apna, na rooh apni

Na wajood apna, na rooh apni   Bas ik tamasha yeh zeest thehri  Na dil lagi main sakoon paya  Na aashqi main qarar paya   Na wasl lamhay hi raas aaye   Na firaaq hi ghum guzaar paaye   Ajab yeh chahat k marhalay hain  Na jeet paaye na haar paaye  Na hi yaadon ki dhund utri   Na dil k daaman ko jhaar paaye  Na aankhain   khawabon ko dhoond paaien,   Na khawab aankhon ko dhoond paay

Chalo kuch dair hanstey hain

Chalo kuch dair hanstey hain Mohabbat per inayat per, K be bunyad batain hain, Sabhi rishtay sabhi naatey, Zarurat ki hain Ejaaden, Kahin koi nahi marta kisi k wastay jaana, K sub hai phair lafzon ka, Hai saara khel harfon ka, Na hai mehbob koi bhi, Mohabbat na zmaney main, Pra'ey bhi hain phir apney, Agr hai kuch khzaney main, K is jazbay pay ab aksar sabhi jumlay say kastay hain, Chalo kuch dair hanstay hain... Usi ko yad krtay hain, Jisay hum zeest kehtey thay, K lena saans bin jis k hamain ek jurm lagta tha, K sung jis k her ek lamha khush-o-khurm lagta tha, Jisay hum zindgi kehtey, Jisay thay sha'iry kehtey, Ghazal ka Qafiya tha jo, Nazm ka jo k unwan tha, Wo lehja jb bdalta tha qyamat khez lagta tha, Waqt say agay chalta tha, Bla ka tez lagta tha, Jo saya bun k rahta tha, Juda ab is k rastay hain.... Chalo kuch dair hanstay hain.. Chalo kuch dair hanstay hain...

Ghar yahi hal hay saqi tere me khany ka....

  گر یہی حال ہے ساقی تیرے مے خانوں کا ڈھیر لگ جائے گا ٹوٹے ہوئے پیمانوں کا قحط دنیا میں ہےاب ایسے مسمانوں کا زور جو توڑ دیا کرتے تھے طوفانوں کا کوئی خالد ہے نہ طارق ہے نہ ابن قاسم راستہ صاف ہے بڑھتے ہوئے شیطانوں کا جس جگہ چاہو جہاں چاہو بہا دو اس کو خون اس دور میں سستا ہے مسلمانوں کا جن کے ہوتے ہوئے لُٹ جائیں غریبوں کے مکان مرثیہ آؤ پڑھیں ایسے نگہبانوں کا

Mizaj barham khafa sa lehja..

مزاج برہم خفا سا لہجہ اُداس چہرہ ناراض آنکھیں وجہ جو پوچھی میں نے اُس سے ?جان میری۔۔۔! اُداس کیوں ہو کیوں ہو برہم ناراض کیوں ہو بھر کے اُچھلیں آنکھیں اس کی لڑکھڑا کے گلے لگا کر مجھ سے بولی: "کہاں گئے تھے?کیوں گئے تھے? مجھے بتاؤ تمھارے بن جو بے بسی تھی علاج اس کا بتا کے جاتے تم جو بچھڑو کہاں میں ڈھونڈوں سراغ اپنا بتا کے جاتے تمہیں پتا تھا تمہارے بن میں ایک پل بھی رہ نہیں سکتی چاہے بچھڑے دنیا ساری تیری جدائی سہہ نہیں سکتی تمہیں قسم ہے اب نہ جانا مر جاؤں گی تمہارے بن میں چلو اب مجھ سے وعدہ کر لو کہیں بھی جاؤ کبھی بھی جاؤ ساتھ مجھ کو لے کے جانا پھر سے مجھ کو سزا نہ دینا تمہیں قسم ہے

Meri zindagi ke chiraagh ka

Meri zindagi ke chiraagh ka, Ye mizaaj koi naya nahi, Kabhi roshni kabhi tareeki, Na jala huwa na bhuja huwa, Mujhay aap kyun na samajh sakay, Ye apne dil se puchiyeh, Meri dastaan e hayaat ka, Har warq warq khula huwa, Mujhy humsafar bhi mila koi, Tou meri tarah hi luta huwa, Kabhi manzilon se hata huwa, Kabhi qafilon se luta huwa, Mujhy ek gali mein para huwa, Kisi bad naseeb ka khat mila, Kahin khoon e dil se likha huwa, Kahin ansuon se mita huwaa!!

Udaas tehreer parhke meri

Udaas tehreer parhke meri, Mere sanam muskura na dena, Yeh akhri khat mein likh raha hoon, Khayal karna jala na dena, Guzar rahi hai tmhari kese, Bichar ke humse rula ke hum ko, Haqiqaton ko zarur likhna, Anaa ki khatar chupa na dena, Koi jo puchay kidhar gaya voh, Jo teri mehfil ka tha sahara, Jo furqaton ka sabab banay thay, Kisi bashar ko bata na dena, Mein mar bhi jaun tou muskurana, Ehsaas e ghum ki na chot khana, Jo qurb e ghum se nigahein bheegain, Tou rukh se aanchal hata na dena, Lahu se tehreer kraha hun, Mein apni saari kahani asif, Jo phaar bhi di tou paas rakhna, Hawa mein tukray ura na dena!

Itna he yaad rak mujay

اتنا ہی یاد رکھ مجھے جیسے کسی کتاب میں بیتے دنوں کے دوست کا اک خط پڑا ہوا ملے....!!! لفظ مٹے مٹے سے ہوں رنگ اڑا اڑا سہی لیکن وہ اجنبی نہ ہوں اٹھ کر تیرے گلے لگے....!!! بھولے ہوے تمام سکھ بیتے دنوں کی سب کتھا تجھ سے کہے اور رو پڑے .....!!! اتنا ہی یاد رکھ مجھے جیسے کسی کتاب میں بیتے دنوں کے دوست کا اک خط پڑا ہوا ملے

Kal mila waqt to zulfein teri suljha doonga

Kal mila waqt to zulfein teri suljha doonga, Aaaj uljha hoon zara waqt ko sulajhane mein, Yun to sulajh jatee hain uljhi zulfein, Umar kat jati hai waqt ko sulajhane mein.

Main Apni Raton Ki Fursaton Me Tujhy Manaon To Maan Jana

Main Apni Raton Ki Fursaton Me Tujhy Manaon To Maan Jana, Agar Kisi Din Main Apny Ansu Jo Le K Aaon To Maan Jana, Ye Ek diL Hi Tumhy Dia Tha So Is Ko Tum Ne Hi Tor DaLa, Shikasta DiL Ki Jo Kirchion Ko Smet Laon To Maan Jana, Tu Khush Nhi Hai Meri BaQa Per To Sirf Itna Bata, Teri Khushi K Liye Jo SooLi Pe Muskraon To Maan Jana, Tu Badguman Hai Meri Wafa Pr To Sirf Aik Bar Azma Le, Jo Haar Jaon To LouT Jana,Jo Jeet Jaon To Maan Jana.

Itni muddat baad mile ho!

  Itni muddat baad mile ho! Kin sochon main gum rehte ho? Itne khayef kyon rehte ho? Her aahat se darr jaate ho Taiz hawa ne mujh se poocha Rait pe kya likhte rehte ho? Kaash koi humse bhi pooche Raat gaye tuk kyon jaage ho? Main darya se bhi darta hoon Tum darya se bhi gehre ho! Koun si baat hai tum main aisi Itne ache kyon lagte ho? Peeche mur ker kyon dekha tha Patthar ban ker kya takte ho? Jaao jeet ka jashan manaao! Main jhoota hoon, tum suche ho Apne sheher ke sub logon se Meri khatir kyon uljhe ho? kehne ko rehte ho dil main! Phir bhi kitne door khare ho Raat humain kuch yaad nahin tha Raat bohot hi yaad aaye ho Humse na poocho hijr ke qisse Apni kaho ab tum kaise ho? Mohsin tum badnaam bohot ho Jaise ho, phir bhi ache ho.

Pani Ankh Main Bhar K Laya Ja Sakta Hai

  Pani Ankh Main Bhar K Laya Ja Sakta Hai Ab Bhi Jalta Sheher Bachaya Ja Sakta Hai Aik Mohabat Aur WoH Bhi Nakam Mohabat Lekin Is Se Kam Chaleya Ja Sakta Hai Dil Par Pani Piny Ati Hain Umeeden Is Chashmy Main Zeher Milaya Ja Sakta Hai Mujh Benam Se Pujhty Hain Farhad-o-Majnoo Ishq Main Kitna Naam Kamaya Ja Sakta Hai Phatta Puran Khwab Hai Mera Phir Bhi Tabish Is Main Apna Aap Chupaya Ja Sakta Hai.

Khayal e yar ko har waqt robaro rakna..

خیال ِ یار کو ہر وقت روبرو رکھنا ہمارا کام ھے زخموں سے گفتگو رکھنا خزاں رسیدہ رتوں میں بہار کے نغمے کہاں کی عقل تھی اپنی یہ آرزو رکھنا یہی اک سانحہ ھے اپنی زندگی کے ساتھ نہیں نصیب میں جو اس کی جستجو رکھنا قدم قدم پہ کڑی آزمائشیں ھیں یہاں بچا بچا کے زمانے سے*آبرو رکھنا

Apna Ehsas mar na jaye kahin

Apna Ehsas mar na jaye kahin Dard had se Guzar na jaye kahin Un ko dekhey hoye hoi Sadyan Un ka Chehra bikhar na jaye kahin Ab k Awaz doon to aa jana Dil Deewana Sudhar na jaye kahin Un ka Wada to hai magar Dil ko Darr hai k kafir mukar na jaye kahin Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin Meri Dunya hai Dard ki Surat Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin Khak se Aab tak to aa pohnchey Ab yeh Darya Utar na jaye kahin Yeh Mohabbat b ek Bala theri Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin Is liye Muskuraye phirta hoon Un ki Aankh b na bhar jaye kahin Dil se guzra to hai magar Saqi Apni Jaan se guzar na jaye kahin

Zamaney beet jaingey

  Zamaney beet jaingey Usey ahsas honey tak Hamarey khaak honey tak Usey jo zulm tha karna To phir mazboot hasti ko mazalim k liye chunta K main to yunn bhi nazuk hun Zara si baat pa main toot kar bikhri hi jati hun Wo ye sub kyun nahi samjha...??? Kyun apni be-hissi main aaj wo madhosh betha hai...?? Kyun apni zaat main gum hai..?? Usey koi to batlaye... K hum pal pal bhikhartey hain Yunhi din raat honey tak Zamaney beet jaingey Usey ahsas honey tak hamarey khaak honey tak

Naseehat roz bikti hy, Aqeedat roz bikti hy

  Naseehat roz bikti hy, Aqeedat roz bikti hy Tumharay shehar mein logo muhabat roz bikti hy Amir-e-Shahir ka abi mohtaj hy mazhab Abhi mulla k fatwoon mein shariat roz bikti hy Hmaray khoon ko bhi wo kisi din baich dalay ga Kharidaroon k jhurmat mein adaalat roz bikti hy Na-jany lutf kiya milta hy un ko roz biknay mein Tawaif ki trah logo qyaadat roz bikti hy Kbhi masjid k mimber pr, kbhi hujray ma chhup chhup k Meray waaiz k lehjay mein qayamat roz bikti hy Bari lachaar hein Jan jabinain in ghariboon ki K majbori ki manddi mein ibadat roz bikti hy

Nazar mein zulmat, badan mein thandak, jamal kitna ajeeb sa tha

Nazar mein zulmat, badan mein thandak, jamal kitna ajeeb sa tha, mein uski chahat mein ghar se nikla to haal kitna ajeeb sa tha, na meine usko khatoot likhay, na usnay meri panaah chahi, dono ko apni be'khudi pay malaal kitna ajeeb sa tha, wo apni raton men chaand dekhay, mein apni raton men usko sochun, badaltay lamhon mein soch ka ye wisaal kitna ajeeb sa tha, safar akelay hi kaat logay? mene poocha to ro diya wo, sawaal kitna ajeeb sa tha, jawaab kitna ajeeb sa tha.

Beautiful dreamer, wake unto me

Beautiful dreamer, wake unto me, Starlight and dewdrops are waiting for thee; Sounds of the rude world heard in the day, Lull'd by the moonlight have all pass'd away! Beautiful dreamer, queen of my song, List while I woo thee with soft melody; Gone are the cares of life's busy throng. Beautiful dreamer, awake unto me! Beautiful dreamer, awake unto me! Beautiful dreamer, out on the sea, Mermaids are chaunting the wild lorelie; Over the streamlet vapors are borne, Waiting to fade at the bright coming morn. Beautiful dreamer, beam on my heart, E'en as the morn on the streamlet and sea; Then will all clouds of sorrow depart, Beautiful dreamer, awake unto me!

Its just a bad day.

Its just a bad day  Not a bad life... 

Enjoy The little things in life.

Enjoy The little things in life. For one day you may look back and realize they were the big things......

Yai juki juki ankhain Yai ruka ruka lehja

Yai juki juki ankhain Yai ruka ruka lehja Lub pe bar bar aaky Totta hua feqra Ghard mai uti palkain Dhoop se tapa chehra Sir jukae aya hay Ek Umer ka bola Dila hazar kehta hay Hath taam lun uska Choom lun ye pashani Lotnay na dun tanha Koe dil se kehta hay Sary harf jhotay han Aitebar mat karna Aitbar mat karna

Memories sometimes behave in a crazy way.

Memories sometimes behave in a crazy way. They leave u alone, when u are in a crowd & when u are alone they stand along with u like a crowd

zahan-e-aadamiiyat par maslahat ke pahare hain

zahan-e-aadamiiyat par maslahat ke pahare hain  log jitne muKhlis hain zaKhm utne gahare hain  phool hain yahaan kaanTe, jism hain yahaan patthar  kis jahaan ke baasi the, kis nagar men Thahare hain  zindagii ka darvaaza khaT_khaTa ke dekhaa hai  is makaan ke maalik, mar chuke ya bahare hain  mujrim-e-muhabbat hai sher kii adaalat men  soch ke salaasal hain, dard ke kaTahare hain  kis ke tan kii rangiinii mauj_zan hai seene men  aaNkh bhii gulaabii hai, ashk bhii sunahare hain  bhiigtii hawaaon ke dosh par chale aao  ghaas ke samaNdar par sabz-sabz lahareN hain  kaise maiN adab kii had phaaNd kar piyoon ''Shahid''  ras bharii un aaNkhoN par jab hayaa ke pahare hain

Main zara door haton pass bulati jaye..

میں ذرا دور ہٹوں پاس بلاتی جائے موت بھی کیا ھے مرا سوگ مناتی جائے ایک اک کرکے ہوئے جاتے ھیں پیارے رخصت ایک اک کرکے سبھی یار اٹھاتی جائے جانے کیا ھے کہ ہوئی جاتی ھیں آنکھیں بوجھل جانے کیا ھے کہ کوئی چیز رلاتی جائے اس سے تو لگتا ھے اب اگلی مری باری ھے جس طرح شام مرا سوگ مناتی جائے کھل اٹھا چاند کفن میں بھی ترے چہرے کا چین کی نیند ترا روپ سجاتی جائے کاٹتی جائے ہواؤں کو طنابیں فرحت توڑتی جائے سفر دھول اڑاتی جائے

Tujay hay Mashq e sitam ka malal wasy he..

تجھے ہے مشق ستم کا ملال،ویسے ہی ہماری جان یہ جاں تھی وبال ویسے ہی چلا تھا ذکر زمانے کی بے وفائی کا تو آگیا ہے تمہارا خیال ،ویسے ہی ہم آگئے ہیں تہہ دام تو نصیب اپنا وگرنہ اس نے تو پھینکا تھا جال،ویسے ہی میں روکنا ہی نہیں چاہتا تھا وار اس کا گری نہیں مرے ہاتھوں سے ڈھال ویسے ہی لو اب کہ جی کا زیاں ہو گیا تو کیا رونا کہا تھا شیشہ دل مت اچھال،ویسے ہی نہیں کہ اس کو مری شاعری نے شہرت دی وہ جان جاں تو رہا بے مثال،ویسے ہی مجھے بھی شوق نہ تھا داستاں سنانے کا فراز اس نے بھی پوچھا تھا حال،ویسے ہی

Kahaniyan ab badal gae han

کہانیاں اب بدل گئی ہیں جو سچ تھا اب جھوٹ ہوگیا ہے جو ان میں سورج بنا ہوا تھا،وہ شب کی تایک وادیوں میں اُترگیا ہے نہ کوئی تحریر جاگتی ہے ،نہ اب کوئی حرف بولتا ہے نہ آنکھ رستوں کو دیکھتی ہے ،نہ راہ منزل سے آشنا ہے وہ سارا منظر بدل گیا ہے نہ اب زباں کی ہتھیلیوں پر دعا ٹھہرتی ہے نیکیوں کی ہوا نے برباد کر کے رکھ دیں انائیں معصوم تتلیوں کی نہ اب گلابوں میں وہ مہک ہے جو رہ سے بھٹکے مسافروں کو ٴ بہار موسم کی بستیوں کا پتا بتائے نہ اب وفاکی وہ بستیاں ہیں جو تھکنے والوں،جو اپنے پیاروں کی رہ گزر سے بچھڑنے والوں کو حوصلہ دیں انہیں دعا دیں یہ ساری باتیں کہانیاں ہیں نہ اب وہ آنکھیں ہیں جن میں خوابوں کے سارے موسم گلاب موسم بنے ہوئے تھے نہ اب وہ شامیں ہیں جن میں تیری فریب باتیں رفیق لگتی تھیں ذہن و دل کو نہ اب وہ دل ہے نہ دل کی گلیوں میں وہ لہو ہے جو زندگی بن کے دوڑتا تھا جو شاعری بن کے پتھروں میں گداز خوشبو بکھیرتا تھا وہ سارا منظر بدل گیا ہے نہ وصل کا کوئی خواب باقی،نہ اب وہ حرف سخن رہا ہے کہانیاں اب بدل گئی ہیں تمھارے جانے کے بعد یوں ہے جو خواب آنکھوں میں چاہتوں کا یقین ...

Apni ankhon k sabhi ashk baha kr sona

Apni ankhon k sabhi ashk baha kr sona Tum meri yaad ka hr deep bujha kr sona Ek sitara bhi mere khiyal ka baqi na rahey Chandni shabb k nishanaat mita kr sona Darr lgta hai k ye neend kahin cheen na ley Tera hr roz mere khawab mein aa kr sona Baad mein log gira dein gey to koi baat nahi Her taraf piyar ki dewaar uthaa kr sona Subah hotey hi tere shehr se jana hai mujhe Aaj ki raat zara mujh ko mana kr sona...!!

huzuur aap kaa bhii ehataraam karataa chaluun

huzuur aap kaa bhii ehataraam karataa chaluun  idhar se guzaraa thaa sochaa salaam karataa chalun nigaah-e-dil kii aaKhirii yahii tamannaa hai  tumhaarii zulfon ke saaye mein shaam karataa chaluun  unhen ye zid ki mujhe dekh kar kisii ko na dekh  meraa ye shauq ki sab se salaam karataa chaluun  ye mere Khvaabon kii duniyaa nahin, sahii lekin  ab aa gayaa hun to do din kayaam karataa chalun  tumhaare husn se jaage tamaam hangamen  main do hii lafzon mein qissaa tamaam karataa chalun merey kalaam kii "Shadab" saadagii achchhii ....!  avam sun ke maze len main naam karta chalun