Skip to main content

Posts

Showing posts from June, 2012

Titlion ka mujhay toota hoa par lagta hai

Titlion ka mujhay toota hoa par lagta hai Dill pe wo naam bhi lkhtay hoe darr lagta hai Raat ayee to sitaroon bhari chadar tani Khoobsurat mujhay soraj ka safar lagta hai Yeh bhi sotay hoe bachay ki tarha hunsta hai Agg main phool ---- frishtoon ka hunar lagta hai Zindagi too ne mujhay kabar se kum di hai zameen Paaon pehlaon to deewar main sir lagta hai Main tere saath sitaaron se guzar sakta hoon Kitna aasaan muhabat ka safar lagta hai

Kabhee aas hai kabhee yaas hai

Kabhee aas hai kabhee yaas hai, Kabhee roshni, kabhee teirgee, Kabhee khaar ban ke chuphe mujhe, Kabhee phool lagtee hai zindigi! Kabhee saaya hai kabhee dhup hai, Kabhee ashk hai aur kabhee hansi, Kabhee khushyaan dil se chalak uthein, Kabhee dukh ki chaadar hai zindigi! Kabhee rang dhanak ke hain chaar soo, Aur pheeki hai berang kabhee, Kabhee maan ki goud ki tarah naram, Aur pahaar si sakht kabhee zindigi! Kabhee hanste hanste rulaati hai, Kabhee rote rote hansaati hai, Kabhee meherbaan kabhee sangdil, Kya ajab hi shae hai ye zindigi! Kabhee khushyaan rimjhim barasti hain, Kabhee ghum ki aandhyaan chalti hain, Kabhee nafraton ki hawa chale, kabhee pyar ka naghma hai zindigi! Kabhee aah hai kabhee waah hai, Kabhee nauhaa hai aur kabhee hansi, Kabhee lagti hai bari pyaari shae, Kabhee baar lagti hai zindigi!!

Kathan Andheron Ki Rahguzar Pe

Kathan Andheron Ki Rahguzar Pe Charagh e Subho Jala Jala k Qasam Se Aankhein b Thak Gayin Hain Tumharey Aansu Chupa Chupa k Yeh Kya Khabar Thi k Aik Chehry Se Kitny Chehry Kasheed Hon Ge Main Thak Gaya Hon Tumhary Chehron Ko Aayiney Mein Saja Saja k Hum Itny Saada Mizaj Kab Thy Magar Saraabon Ki Rahguzar Pe Fareb Deta Raha Zamana Tumhari Surat Dikha Dikha k Ajab Tanasub Se Zehn-o-dil Mein Khyala Taqseem Ho Rahy Hain Magar Muhabbat Si Ho Gayi Hay Tumhein Muhabbat Sikha Sikha k...!!!

Kisi Ke Sath Mein Aur Dil Kisi Ke Sath Raha

Kisi Ke Sath Mein Aur Dil Kisi Ke Sath Raha Ajab Mazaaq Meri Zindagi Ke Sath Raha  Kamal-E-Zabt Tha Mera Woh Ya Muqadar Tha Kinar-E-Aab Bhi Ju Tashnagi Ke Sath Raha  Woh Aik Dukh Jisay Door Chor Aya Tha Tamaam Umer Meri Zindagi Ke Sath Raha  Jo Dil Mein Baat Thi Hontoon Se Kis Tarha Mein In Ki Bazm Mein Ik Bebasi Ke Sath Raha  Abb In Mein Aa Ke Darinday Bhi Ho Gaye Shamil Abb Admi Bhi Kahan Admi Ke Sath Raha  Hansa To Ankh Se Ansoo Nikal Parhay Hamesha Ghum Koi Meri Khushi Ke Sath Raha

Mohabbat kuch nhi hote

محبت کچھ نہیں دیتی سوائے خامشی کے جو رگوں میں بہتی رہتی ہے سوائے ایک ویرانی جو دل پہ چھائی رہتی ہے سوائے درد رسوائی جو چاروں سمت ہوتا ہے سوائے ایک اذیت جو ساری عمر رہتی ہے ہم اپنا سر اٹھا کر چل نہیں سکتے گناہ کرتے نہیں پھر بھی گنھگاروں میں شامل ہیں روایت کے اسیروں کو محبت کچھ نہیں دیتی

Wahi hua na

وہی ہوا نا کہا نہیں تھا کہ عہد الفت،سمجھ کے باندھو نبھا سکو گے؟ مجھے سمے کی تمازتوں سے بچا سکو گے؟ بہت کہا تھا صباحتوں میں بہل نہ جانا مجھے گرا کے سنبھل نہ جانا بدلتی رت میں بدل نہ جانا بہت کہا تھا بہل گئے نا کہا نہیں تھا سنبھل گئے نا وہی ہوا نا بدل گئے نا

Meri pyari udasi

Meri pyari udasi Tum is ke pas bi rehti ho Tum chup rehna……… Kuch mat kehna………. ussay dukh ho ga Woh roo de gi Phir aa ke mujh se pouchy gi Mere hote hoye udas ho tum?

ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mai tha

ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mai tha koi chehra tha mgar chand ki tamseel mai tha yaad krta hun kahan bhul aya hun usay tera chehra jo meri soch ki zambeel mai tha baat kia thi ye mughy achi trha yaad nahi haan tera zikar tha or bri tafseel mai tha koi pegham tha aankhon ka jo aankhon mai raha masla asal tu pegham ki terseel mai tha is naiy nuskhay mai tehreef hui hay werna zikar mera bhi kahin muhabat ki injeel mai tha

Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein

Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein Woh Mere Khoon Ki Tarah Hai Rawaan Dawaan Mujh men, Yeh Be Sabab To Nahi Mujh Men Girya-o-Zaari Koi To Rehta Hai Har Waqt Noha Khwaan Mujh Men, Bas Ek Zalzala Aaya Tha Aur Guzar Bhi Giya Magar Woh Chor Giya Hai Kai Nishaan Mujh Men, Azeez Itna Bhi Kiyon Hai Sakoot-e-Shaam-e-Alam ?? Kahaan Se Aaie Hain Itni Udasiyan Mujh Men ?? Kabhi Main Dard K Darya Men Doob Jata Hoon Kabhi Yeh Dard Uatarta Hai Meri jaan Mujh Men, Ye Kon Baant Giya Mujh Mein Ronaqain Apni ?? Yeh Kon Kar Giya Abaad Ek Jahaan Mujh Mein ?? Main Jab Bhi Haath barhane Lagta Hoon Gulon Ki Taraf To Urne Lagti Hain “Shamsheer” Titliyaan Mujh Mein.

Yeah hai mai-kada yahan rind hain yahan sab ka saqi imaam hai

Yeah hai mai-kada yahan rind hain yahan sab ka saqi imaam hai Yeah haram nahee hahee hai aiy sheikh jee yahan parsaee haraam hai Jo zara si pee k behak gaya usse mai-kaday se nikal do Yahan tung nazar ka guzar nahee yahan ahl e zarf ka kaam hai Koee must hai koee tishna lab to kissi k haath main jaam hai Magar is ka koee karay bhi kiya yeah to mai-kaday ka nizam hai Yeah janab e sheikh ka falsafa hai ajeeb saray jahan se Jo whahan piyo to halal hai jo yahan piyo to haram hai Iss kayenat main aiy jigar koee inqalab uthhay ga phir K buland ho k bhi aadmi abhi khwahishon ka ghulam hai.

I want you to hug me when I get scared....

I want you to hug me when I get scared.....  I want you to kiss me when I act like a kid....  I want you to care for me when... I'm sick....  I want you to listen to me when I wanna say something.... I want you to understand my silence.. ... when I don't have words to  express what I feel....  I want you to be there when I need a friend....  I want you to love me for what I'm. 'n above all  I want you to complete me

Kabhee jo man ke aangan main

Kabhee jo man ke aangan main  Koi ik ashk tanha sa  Dehektay say dukhon par  chan se girta hai  ghubaar uthtaa hai  kuch aise  ke jaise  raigzaaron par  woh pehlee boondh baarish ke  baras ke aik pal main  pyas se behaal dhartee par  ussay sairaab karnay kee jagah  phir se dhuan ban kar  sunehree badliyoun main  jaa ke chup jaaey  woh phir ik baar  mitnay ke liye  tayyar ho jaaey

Pooch Lo Tum Bhi Is Zamane Se

Pooch Lo Tum Bhi Is Zamane Se, Pyar Chupta Nahi Chupane Se , Paas Aate Ho Chhute Ho Baat Karte Ho, Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se, Pyar Dil Me Hai To Lao Zubaan Pe, Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se, Tumhe Na Paana Shayad Behtar Hai, Paa Ke Phir Se Tumhe Ganwane Se... Chalo Ek Dua To Apni Puri Hui, Mil Liye Apne Ek Deewane Se, Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho, Kya Hoga Ye Moti Lutaane Se, Karo Koshish Ki Kurabatein Hi Rahein, Dooriyan Badh Jaati Hai Badhane Se, Kya Sunayein Kisiko Raaz-E-Dil, Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se, Bhool Jao Kar Ke Achha Hai Ehsaan Rehta Nahi Jatane Se..

Mere Ishq Ko Nidhal Kar

Mere Ishq Ko Nidhal Kar Kabhi Hijar Ko Bhi Wisal Kar Meri Ankh Ko Binai De Mere Kalb Ko Ujaal Kar Mujhe Dars De Tu Fana Ka Mera Ishq Mein Bura Haal Kar Mujhe De Saza Koi Sakht Si Mujhe Is Jahan Mein Misal Kar Meri Asal Surat Bigar De Kisi Ishq Ki Bhatti Mein Daal Kar Mujhe Bhi Pila Koi Aisi Shay Kabhi Meri Ankhen Bhi Lal Kar Wo Jo Us Jahan Mein Halal Hai Kabhi Is Jahan Mein Halal Kar Teri Talab Mein Hoon Mein Darbadar Kabhi Is Taraf Bhi Khayal Kar...

Besabab chor diya

Besabab chor diya tum ny koi ILzam dia hota. Meri Khamosh muhabbat ko koi NAAM dia hota, Main mar Q na gayi teri Narazagi sy pehly, Mujhy chorna tha to koi Laqb-E- Budnaam dya hota, Main Umar bhar k liye nahi kehti k mera 7 dedo, Bs jine ko koi dilasa kisi Sham diya hota

koi to aisi barsat ho

koi to aisi barsat ho jo tere sath barse tanha. To roz meri aankhen bhi barasti hain