Skip to main content

Posts

Showing posts from April, 2012

junon main shauq ki gehraiyo'n se drta rha

junon main shauq ki gehraiyo'n se drta rha Main apni zat ki sachaiyo'n se drta rha Mohabato'n se shnasa huwa main jis din se Phir us k bad shanasaiyo'n se drta rha Wo chahta tha k Tanha milon to bat kray ...Main kiya karon k main tanhaiyo'n se drta rha Mein regzar tha mujh main bsay thay sanaty…. Isi liye to main shehnaiyo'n se drta rha Main apny bap ka yousuf tha is liye Mohsin Sakon se so na ska Bhaiyo'n se darta rha…..

Chiragh-e-shab ko jese aandhiya achi nhi lagti

Chiragh-e-shab ko jese aandhiya achi nhi lagti, kuch ayse hi hum ko khush fehmiyaa achi nhi lagti.. jinhain sooney k pinjre me ghiza mil jaye chaandi ki, unhain umar bhar phir aazadiyaan achi nhi lagti.. bulandi par pochaaye ga mera hunar mujhko, mujhe kadmo k nechey seerhiyaa achi nhi lagti.. mera g chahta he unko aayenaa dikhaa du, wo jin ko doossro ki khoobiyaa achi nhi lagti....!!

Kabhi jo hum nahee'n hoo'n ge

Kabhi jo hum nahee'n hoo'n ge Kaho kis ko bataao ge? Woh apni uljhanai'n saari? Woh bay-chaini may doobay pal? Woh aankhoo'n may chhupay aa'nsu? Kisay phir tum dikhao ge? Kabhi jo hum nahee'n ho'n ge Bohot bay-chain ho ge tum Bohot tanha raho ge tum Abhi bhi tum nahee'n samjhay..! Humaari an-kahi baatai'n..! Magar jab yaad aaey'n ge Bohot tum ko rulaey'n ge Bohot chaaho gay phir bhi tum Humai'n na bhool pao ge Kabhi jo hum nahee'n hoo'n gay..!

Mein Jab Hawa Ke Iraadon Ko Jaan Leta Hun

Mein Jab Hawa Ke Iraadon Ko Jaan Leta Hun Laray Bagair Hee Phir Haar Maan Leta Hun Giro Ki Yaad Anghootay Se Aanay Lagti Hai Mein Jub Bhee Haath Mein Teer-o-Kamaan Leta Hun Fizaa-e-Sheher Se Aati Howi Hawaaon Ko Mein Saans Lenay Se Pehlay Hee Chhaan Leta Hun Baray Sukoon Se Aksar Zameen Ke Bistar Per Ab Aasmaan Ki Chaadar Bhee Taan Leta Hun Ye Aur Baat Ke Poora Koi Nahee Hota Hamesha Azam Koi Dil Mein Taahn Leta Hun Ye Waaqiya Hai Ke Naaqaam Rehta Hun Aksar Mein Jub Bhee Apna Koi Imtehaan Leta Hun